aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "khaliifa"
dikhtii haDDiyaa.n kahtii hai aaraam karo abdil kahtaa hai abhii nahii.n abhii to kaam pa.Daa hai sabmagar ek aur hii bolii boltaa hai dimaaGpahle kaun saa tiir maar liyaa thaa aap ne jo ab phir chale hai.n jauhar dikhaanesarau.Te kaa don khote aur sarshaar kaa KHudaa.ii faujdaarii bhiita.Dapte ho.nge qabr me.n pa.De pa.Deaap kii be-qaraariyaa.n dekh karduniyaa hii to badal Daalii aap ne apnii tahriiro.n aur taqriiro.n seaur kyaa kahne hai.n aap kii siyaasat kesoto.n ko jagaa diyaa aap nezer-dasto.n ko uThaa diyaa zabardasto.n ko giraa diyaa aap nesach-much kaa inqilaab hii to barpaa kar ke rakh diyaa aap nechho.D jaane diijiye bahut ho ga.ii janaabsunahre harfo.n me.n likhaa jaa chukaa hai aap kaa naam an-likhii taariiKH me.naap vo hero hai.n ko.ii giit nahii.n gaataa jis kevo gumnaam sipaahii hai.n jise sirfaasmaan kii aa.nkh ne dekhaa hotaa hai daad-e-shujaa.at deteagar aap ke haatho.n vaaqa.ii ko.ii achchhaa kaam sarzad ho gayaa thaa toyaqiinan pataa hogaa us kaa KHudaa kovo is kaa zaruur ajr degaa aap koaur sabr se ba.Dh kar kyaa ho saktaa hai ajrsabr kiijiye zaraadukhtii haDDiyo.n kii bhii sun liijiye zaraais KHaana-KHaraab-e-dil kii maan kar hii to aap hu.e hai.n KHaana-KHaraabhamesha bahkaayaa hai us ne aap koGalat-salat raasto.n par chalaayaa hai aap kojahaa.n chup rahne me.n maslahat thii vahaa.n bolne par uksaayaa hai aap kojab haath ba.Dhaa kar jaam uThaane kaa vaqt thaa toinkisaarii ke chakkar me.n pha.nsaayaa hai aap kozaraa apne badan se pochhiye apnii umr aur phir puuchh kar dekhiye dil seaap sattar ke hai.n naa magar badan kahe gaa saalaur dil bataa.egaa chaaliis saalis dil par KHuun kii gulaabii nehuliya bigaa.D kar rakh diyaa hai achchhe-bhale insaan kaapa.Dhe-likkhe shariif aadmii ko dhakel diyaa haisiyaasat ke qassaab-KHaane me.nbha.ii jis kaa kaam usii ko saaje aur kare to The.ngaa baajeaap kyuu.n pareshaan hote hai.n har barii KHabar parvaise kabhii KHair kii KHabar bhii aa.ii hai vatan-e-aziiz seyaad nahii.n rahaa aap ke to murshid bhii kahte the baar baarvo kaam hamaarii zimmedaarii nahii.n hotaa jis kii anjaam-dahii kaa saamaan na de KHudaaumar-faaruuq ko zeb detaa thaa fikrmand honaafuraat ke kinaare bhuuk se mar jaane vaale kutte ke liyeis liye ki vo the KHaliifa-a-vaqtto kan me.n KHvaah-maKHvaahaap to kotvaal bhii nahii.n kisii shahr keaur chale hai.n puure malak kii fikr karnebalki saarii insaaniyat kaa Gam paal rakhaa hai aap ne tomai.n ne pahle bhii kahaa shaa.iro.n kii bak bak na sunaa kare.n aap ziyaadaba-qaul-e-KHudaa vo to aadii hai.n Galat-bayaanii kehaahaa kaa.nTaa chubhe kisii ko ta.Dapte hai.n ham amiir saare jahaa.n kaa dard hamaare jigar me.n haiaap ko auro.n kii pa.Dii hai.n pahle apnii to nabe.D le.n aapcharity begins at home janaabaa.iye sukuun se baiThe do gha.Diiziyaada der kha.De rahne se aur ba.Dh jaa.egaa ghuTne kaa dardkyaa KHayaal hai sabz chaa.e ke baare me.nyaa phir pii liijiye ThanDaa miiThaa ruuh-afzaasiine aasmaanii mausiiqii baaKH aur motzaarT kiiDhiilaa chho.Diye zaraa a.asaab koso jaa.iye so jaa.iye nii.nd aa jaa.e agarlorii duu.n aap koraat-din gardish me.n hai.n saat aasmaa.nho rahegaa kuchh na kuchh ghabraa.e.n kyaa
musiibat kii KHabre.nsuno shaam vaalo musiibat kii KHabre.ngarebaan daaman talak chaak kar dosaro.n par savaaro.n kii ro.ndii hu.ii KHaak Daaloabuu-qais ko maut ne khaa liyaa haiamiir-e-damishq in dino.n sogvaarii me.n hai.nGamo.n ke a.ndhero.n me.n jak.De hu.ehuzn kii aag se un kaa dil jal gayaaaah buu-qais kii maut ke baar se jhuk ga.e hai.n KHaliifa ke shaaneabuu-qais kyaa thaa tumhe.n kyaa KHabar shaam vaaloabuu-qais ba.De shahsavaaro.n me.n thaavo KHaliifa kaa raaz-aashnaa, bandagaan-e-KHudaa me.n muqarrabyaziid-ibn-e-maisuun kii shab kaa saathiiabuu-qais hi.nda ke pote kaa tanhaa sahaaraavahii surKH bandarjo maisuun apne qabiile se laa.iibahut shauq se naam us kaa abuu-qais rakhaaphir apnii amaanat arab aur ajam ke KHaliifa ko sau.npiiusii saahib-e-taKHt-o-taaj-o-tarab kojise aaj islaam kii paasbaanii kaa puuraa sharaf haiusii kaa aur abuu-qais bandarKHudaa us ko baKHsheuse ghu.D-savaarii me.n aisii mahaarat thii jis kaa bayaa.n karnaa qudrat se baaharkisii shKHs-e-bad-baKHt ne us ke gho.De ko bidkaa diyaaus ke paa.nv rikaabo.n se nikleabuu-qais niiche giraa aur miilo.n talak Thokaro.n par rahaaaah kis be-kasii me.n adam ko sidhaaraamusiibat, musiibatsuno ahl-e-islaamabuu-qais kii maut aisaa ba.Daa saaneha haiki jis kii musiibat se aal-umayya ke qasro.n me.n raakh aur dhu.aa.n bhar gayaa haidu.aa!du.aa kii zaruuratabuu-qais kii maGfirat ke liyeaur yaziid-ibn-e-hi.nda ke sabr o jazaa ke liye
kurra-e-arz pe insaan kii ye aaKHirii shabroz-e-avval ke ujaale kii tarah raushan haiaasmaano.n kii taraf aag ke sho.ale hai.n davaa.nkaun jaane inhii rasto.n se farishte ho.n ravaa.narz se us ke KHaliifa ko uThaane ke liyeus ko apne vatan-e-asl me.n laane ke liyeis liye din ke ujaale kii tarah raushan haiafv kii va.ada-o-paimaan kii ye aaKHirii shabkurra-e-arz pe insaan kii ye aaKHirii shabaur KHudaayaan-e-zamii.n ne bhii navaazaa us koilm-o-tahziib-o-tamaddun se sa.nvaaraa us komah-o-parvii.n kaa bhii yuu.n us ko sikhaayaa hai shikaarki KHudaavand-e-zamii.n hone lagaa us kaa shumaaraur ibliis ne us ilm ko azmat de karapnii taKHriib ke aadam ko dikhaa.e jauharaur phir ahl-e-siyaasat ke hai.n ehsaan bahutaish-e-insaa.n ke jinho.n ne kiye saamaan bahutkii bahut chaaragarii ahl-e-siyaasat ne magarpuuchhe.n in chaaragaro.n se vo bitaa.e kyo.n karapne har dard ke darmaan kii ye aaKHirii shabkurra-e-arz pe insaan kii ye aaKHirii shab
ko.ii hajjaam kii duukaa.n pe aayaaaur ik bachche ko apne saath laayaakahaa jaldii se meraa shave kar dophir is bachche ke sar se baal kaaToyaqii.n hai das minute se pahle lauTuu.nmai.n cafeteria me.n chaa.e pii luu.nvahaa.n ik dost meraa muntazir haibulaayaa chaa.e par aaj us ne phir haivo fauran chal diyaa daa.Dhii mu.nDaa karusii kursii pe la.Dke ko biThaa karvo jab kuchh der tak vaapas na aayaadiyaa naa.ii ne bachche ko dilaasaana ronaa abbaa jaan aate hii ho.ngeki jaanaa hai makaan aate hii ho.ngeye sun kar us ne jebo.n ko TaTolaachane aur kishmishe.n kuchh khaa ke bolaaham un ke vaaste rone lage kyuu.nhamaare baap vo hone lage kyuu.ntumhaare bhaa.ii yaa bahno.ii hai.n phirkahaa hajjaam ne hai.n kaun aaKHirnahii.n rishta to vo laate tumhe.n kyuu.nchachaa ho.nge nahii.n to ho.nge maamuu.nvo bolaa ham galii me.n khelte thebulaa kar vo hame.n laa.e ye kah ketumhaare baal kitne ba.Dh ga.e hai.nye collar hai naa is par cha.Dh ga.e hai.ncating achchhii karaa duu.ngaa tumhaariiKHaliifa hai.n mire bachpan ke saathiiye saare be-tuke chhaT jaa.e.nge baalyahaa.n par muft me.n kaT jaa.e.nge baalkahaa naa.ii ne achchhaa yak na do shudbas ab u.D jaa.o tum bhii beTe hud-hud
zindagii ke safar me.n ka.ii mo.D hai.naur ka.ii raasteanginat manzile.njis pe insaan be-raah-ravii kaa shikaarroz-e-avval se haisaik.Do.n rahnumaa aa.e tabliiG kiiraah-e-haq kii magarraahgiiro.n ko dushvaarii dar-pesh haihar qadam par yahaa.naisii dushvaarii jis kaa mudaavaa nahii.nanginat KHvaahishe.n aur sapne liyedar-ba-dar Thokare.n khaataa thaktaa nahii.n hai ye insaanjis ko KHudaa ne KHaliifa banaayaaKHilaafat 'ataa kiimagar is navaazish pe kab mutma.in haiye insaan aaKHirvahii apne sapne liye phir rahaa haivo sapne ki taa'biir jin kii na ko.ii na ko.ii haqiiqatfaqat ek dhun haiusii dhun me.n chaltaa chalaa jaa rahaa haiusii raah par aur usii manzilo.n kii tarafjis kaa ko.ii nishaa.n hai na ko.ii pata hai
huzuur merii bisaat kyaa hai ki naa't likkhuu.nmai.n aap kaa ik bahut gunahgaar ummatii huu.nmirii zabaa.n par kasaafate.n hai.ndimaaG-o-dil me.n Galaazate.n hai.nhuzuur merii bisaat kyaa hai ki naa't likkhuu.nmagar nahii.n mai.n bahut hii 'aalii hasab nasab huu.nki aap hii kaa Gulaam-e-ibn-e-Gulaam-e-ibn-e-Gulaam huu.n mai.nbhalaa bataa.e.n ki mere aage tamaam shaahaan-e-azminah kii bisaat kyaa haihuzuur ye eqtidaar-zaade havas ke bandemai.n in ke shajre se baa-KHabar huu.n ki KHvaahisho.n ke Gulaam-e-ibn-e-Gulaam-e-ibn-e-Gulaam hai.n yehuzuur mai.n in Gulaam-zaado.n ke taKHt-o-taaj aur saltanat ke sabhii tilismaat jaantaa huu.nmai.n in kii auqaat jaantaa huu.ntamaam fir'auniyat ke qil’o.n kii aur fasiilo.n kii asl buniyaad ibn-e-aadam ke KHuun aur haDDiyo.n se taa'miir kii ga.ii haimagar huzuur aap kii hukuumat tamaam shaaho.n se muKHtalif haiki aap ke paas ek chaadar hai ek tah-band ik 'amaamakhajuur kii chhaal aur patto.n kaa ek bistarso ai zamaane ke baadshaaholo tum bhii dekho ye shaah-e-kaunain kaa asaasamai.n is zamaane ke saare namruud aur shaddaad aur qaaruun aur haamaan aur fir'aun ko dikhaa duu.nki mere aaqaa kii saltanat me.n ko.ii nahii.n hai jo bhuuk se bilbilaa rahaa hohuzuur kii mamlikat me.n daulat kaa ek hissa Gariib logo.n kii milkiyat haisuno rafiiqaan-e-ishtiraakiitamaam jabr-e-ma’aash kaa bas yahii nizaam-e-zakaat hal haidalit kii mahruumiyo.n pe aa.nsuu bahaane vaalosuno ye taariiKH kah rahii haibilaal jaise Gulaam jin ko mahaa-dalit se bhii past samjhaa gayaa 'arab me.nrasuul-e-rahmat ne aise mahruum aadmii ko bhii aisaa darja 'ataa kiyaa haiKHaliifa-e-vaqt kaa bhii aaqaa banaa diyaa haisuno ai taaniisyat ke naa're lagaane vaalorasuul-e-insaaniyat ne mazluum 'aurato.n ko hayaat baKHshiirusuum-e-vahshat ke KHuunii panjo.n se un ko raah-e-najaat baKHshiitamaam 'izzat vaqaar kii kaa.enaat baKHshiihuzuur kyaa hai bisaat merii ki naa't likkhuu.nmagar mai.n duniyaa ke hitlero.n kii samaa'ato.n ko jagaa rahaa huu.ntamaam dahshat-pasand logo.n ko aaj mai.n ye sunaa rahaa huu.ntamaam insaaniyat ke qaatil giroho.n ko ye bataa rahaa huu.nrasuul-e-rahmat kii zindagii kaa ye baab raushan dikhaa rahaa huu.nmai.n aaj taa.ef hudaibiya aur fat.h-e-makka kii yaad un ko dilaa rahaa huu.nhuzuur merii bisaat kyaa hai ki naa't likkhuu.nmagar mirii ek aarzuu hai ki apne KHuun-e-jigar se auraaq-e-zindagii par bas aap hii kii sifaat likkhuu.n
ki jaiseun ke anginat 'aziiz jo the par-fishaa.naniis jo the naGma-zanrafiiq jo the mahv-e-shauqabhii abhii vo yak-ba-yakjal-bujhe ho.n taabkaar lahr seKHaliifa-e-zamii.n ke Dhaa.e qahr se
mai.n bhii KHaa.if nahii.n taKHta-e-daar semai.n bhii mansuur huu.n kah do aGyaar sekyuu.n Daraate ho zindaa.n kii diivaar sezulm kii baat ko jahl kii raat komai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa
vo hai.at-daa.n vo aalim naaf-e-shab me.n chhat pe jaataa thaarasad kaa rishta sayyaaro.n se rakhtaa thaa nibhaataa thaause KHvaahish thii shohrat kii na ko.ii hirs-e-daulat thiiba.De se qutr kii ik duurbiin us kii zaruurat thiimirii maa.n kii tamannaa.o.n kaa qaatil thaa vo qallaamamirii maa.n merii mahbuuba qayaamat kii hasiina thiisitam ye hai ye kahne se jhijaktaa thaa vo fahhaamathaa behad ishti.aal-a.ngez bad-qismat o allaamaKHalaf us ke KHazaf aur be-nihaayat naa-KHalaf nikleham us ke saare beTe intihaa.ii be-sharaf niklemai.n us aalim-tariin-e-dahr kii fikrat kaa munkir thaamai.n fastaa.ii thaa jaahil thaa aur mantiq kaa maahir thaapar ab merii ye shohrat hai ki mai.n bas ik sharaabii huu.nmai.n apne duudmaan-e-ilm kii KHaana-KHaraabii huu.nsagaan-e-KHuuk zaad-e-barzan o baazaar-e-be-maGziimirii jaanib ab apne thoba.De shaahaana karte hai.nzinaa-zaade mirii izzat bhii gustaaKHaana karte hai.nkamiine sharm bhii ab mujh se be-sharmaana karte the
ham raato.n ko uTh kar rote hai.n ro ro ke du.aa.e.n karte hai.naa.ankho.n me.n tasavvur dil me.n KHalish sar dhunte hai.n aa.he.n bharte hai.nai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marte hai.n
baat niklegii to phir duur talak jaa.egiilog be-vaj.h udaasii kaa sabab puuchhe.ngeye bhii puuchhe.nge ki tum itnii pareshaa.n kyuu.n hojagmagaate hu.e lamho.n se gurezaa.n kyuu.n hou.ngliyaa.n uTThe.ngii suukhe hu.e baalo.n kii tarafik nazar dekhe.nge guzre hu.e saalo.n kii tarafchuu.Diyo.n par bhii ka.ii tanz kiye jaa.e.ngekaa.npte haatho.n pe bhii fiqre kase jaa.e.ngephir kahe.nge ki ha.nsii me.n bhii KHafaa hotii hai.nab to 'ruuhii' kii namaaze.n bhii qazaa hotii hai.nlog zaalim hai.n har ik baat kaa ta.ana de.ngebaato.n baato.n me.n miraa zikr bhii le aa.e.ngein kii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaavarna chehre ke ta.assur se samajh jaa.e.ngechaahe kuchh bhii ho savaalaat na karnaa un semere baare me.n ko.ii baat na karnaa un sebaat niklegii to phir duur talak jaa.egii
aaj ke naamauraaj ke Gam ke naamaaj kaa Gam ki hai zindagii ke bhare gulsitaa.n se KHafaazard patto.n kaa banzard patto.n kaa ban jo miraa des haidard kii anjuman jo miraa des haiclerko.n kii afsurda jaano.n ke naamkirm-KHurda dilo.n aur zabaano.n ke naampost-mano.n ke naamtaa.nge vaalo.n kaa naamrail-baano.n ke naamkaar-KHaano.n ke bhuuke jiyaalo.n ke naambaadshaah-e-jahaa.n vaalii-e-maa-sivaa, naa.eb-ul-allaah fil-arzdahqaa.n ke naamjis ke Dhoro.n ko zaalim ha.nkaa le ga.ejis kii beTii ko Daaku uThaa le ga.ehaath bhar khet se ek a.ngusht paTvaar ne kaaT lii haiduusrii maaliye ke bahaane se sarkaar ne kaaT lii haijis kii pag zor vaalo.n ke paa.nv-taledhajjiyaa.n ho ga.ii haiun dukhii maa.o.n ke naamraat me.n jin ke bachche bilakte hai.n aurnii.nd kii maar khaa.e hu.e baazu.o.n me.n sambhalte nahii.ndukh bataate nahii.nminnato.n zaariyo.n se bahalte nahii.n
ishq kaa sirr-e-nihaa.n jaan-e-tapaa.n hai jis seaaj iqraar kare.n aur tapish miT jaa.eharf-e-haq dil me.n khaTaktaa hai jo kaa.nTe kii tarahaaj iz.haar kare.n aur KHalish miT jaa.e
tumhe.n udaas saa paataa huu.n mai.n ka.ii din sena jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tumvo shoKHiyaa.n vo tabassum vo qahqahe na rahehar ek chiiz ko hasrat se dekhtii ho tumchhupaa chhupaa ke KHamoshii me.n apnii bechainiiKHud apne raaz kii tash.hiir ban ga.ii ho tummerii umiid agar miT ga.ii to miTne doumiid kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahii.nmirii hayaat kii Gamgiiniyo.n kaa Gam na karoGam-e-hayaat Gam-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahii.ntum apne husn kii ra.anaa.iyo.n pe rahm karovafaa fareb hai tuul-e-havas hai kuchh bhii nahii.nmujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat homirii fanaa mire ehsaas kaa taqaazaa haimai.n jaantaa huu.n ki duniyaa kaa KHauf hai tum komujhe KHabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa haiyahaa.n hayaat ke parde me.n maut paltii haishikast-e-saaz kii aavaaz ruuh-e-naGma haimujhe tumhaarii judaa.ii kaa ko.ii ranj nahii.nmire KHayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tumye tum ne Thiik kahaa hai tumhe.n milaa na karuu.nmagar mujhe ye bataa do ki kyuu.n udaas ho tumKHafaa na honaa mirii jur.at-e-taKHaatub partumhe.n KHabar hai mirii zindagii kii aas ho tummiraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.ngaamagar KHudaa ke liye tum asiir-e-Gam na rahohu.aa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaayahaa.n pe kaun hu.aa hai kisii kaa socho tomujhe qasam hai mirii dukh-bharii javaanii kiimai.n KHush huu.n merii mohabbat ke phuul Thukraa domai.n apnii ruuh kii har ik KHushii miTaa luu.ngaamagar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n saktaamai.n KHud ko maut ke haatho.n me.n sau.np saktaa huu.nmagar ye baar-e-masaa.ib uThaa nahii.n saktaatumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhenajaat jin se mai.n ik lahza paa nahii.n saktaaye uu.nche uu.nche makaano.n kii Dev.Dhiyo.n ke talehar ek gaam pe bhuuke bhikaariyo.n kii sadaahar ek ghar me.n hai aflaas aur bhuuk kaa shorhar ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaaye kaar-KHaano.n me.n lohe kaa shor-o-Gul jis me.nhai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaye shaah-raaho.n pe ra.ngiin saa.Diyo.n kii jhalakye jho.npa.Do.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laasheye maal-road pe caro.n kii rel-pel kaa shorye pTriyo.n pe Gariibo.n ke zard-ruu bachchegalii galii me.n ye bikte hu.e javaa.n chehrehusain aa.ankho.n me.n afsurdagii sii chhaa.ii hu.iiye ja.ng aur ye mere vatan ke shoKH javaa.nKHariidii jaatii hai.n uThtii javaaniyaa.n jin kiiye baat baat pe qaanuun o zaabte kii giraftye zillate.n ye Gulaamii ye daur-e-majbuuriiye Gam bahut hai.n mirii zindagii miTaane koudaas rah ke mire dil ko aur ranj na do
vo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.nna ko.ii KHuun kaa rishta na ko.ii saath sadiyo.n kaamagar ehsaas apno.n saa vo anjaane dilaate hai.nvo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.nKHafaa jab zindagii ho to vo aa ke thaam lete hai.nrulaa detii hai jab duniyaa to aa kar muskuraate hai.nvo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.nakele raaste pe jab mai.n kho jaa.uu.n to milte hai.nsafar mushkil ho kitnaa bhii magar vo saath jaate hai.nvo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.nnazar ke paas ho.n na ho.n magar phir bhii tasallii haivahii mehmaan KHvaabo.n ke jo dil ke paas rahte hai.nvo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.nmujhe masruur karte hai.n vo lamhe aaj bhii 'irfaan'ki jin me.n dosto.n ke saath ke pal yaad aate hai.nvo kaise log hote hai.n jinhe.n ham dost kahte hai.n
KHushaa vo daur-e-be-KHudii ki justujuu-e-yaar thiijo dard me.n suruur thaa to be-kalii qaraar thiikisii ne zahr-e-Gam diyaa to muskuraa ke pii ga.eta.Dap me.n bhii sukuu.n na thaa, KHalish bhii saazgaar thiihayaat-e-shauq kaa vahii saraab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
sochtaa huu.n ki mohabbat hai javaanii kii KHizaa.nus ne dekhaa nahii.n duniyaa me.n bahaaro.n ke sivaanikhat-o-nuur se labrez nazaaro.n ke sivaasabza-zaaro.n ke sivaa aur sitaaro.n ke sivaasochtaa huu.n ki Gam-e-dil na sunaa.uu.n us kosaamne us ke kabhii raaz ko uryaa.n na karuu.nKHalish-e-dil se use dast-o-garebaa.n na karuu.nus ke jazbaat ko mai.n sho.ala-ba-daamaa.n na karuu.nsochtaa huu.n ki jalaa degii mohabbat us kovo mohabbat kii bhalaa taab kahaa.n laa.egiiKHud to vo aatish-e-jazbaat me.n jal jaa.egiiaur duniyaa ko is anjaam pe ta.Dpaa.egiisochtaa huu.n ki bahut saada-o-maasuum hai vomai.n use vaaqif-e-ulfat na karuu.n
chalo chho.Domohabbat jhuuT haiahd-e-vafaa ik shaGl hai be-kaar logo.n kaatalab suukhe hu.e patto.n kaa be-raunaq jaziira haiKHalish diimak-zada auraaq par bosiida satro.n kaa zaKHiira haiKHummaar-e-vasl taptii dhuup ke siine pe u.Dte baadalo.n kii raa.egaa.n baKHshish!Gubaar-e-hijr-e-sahraa me.n saraabo.n se aTe mausam kaa KHamyaazachalo chho.Doki ab tak mai.n a.ndhero.n kii dhamak me.n saa.ns kii zarbo.n pechaahat kii binaa rakh kar safar kartaa rahaa huu.ngaamujhe ehsaas hii kab thaaki tum bhii mausamo.n ke saath apne pairahan ke rang badlogiichalo chho.Dovo saare KHvaab kachchii bharbharii miTTii ke be-qiimat gharau.nde thevo saare zaa.iqe merii zabaa.n par zaKHm ban kar jam ga.e ho.ngetumhaarii u.ngliyo.n kii naram pore.n pattharo.n par naam likhtii thii.n miraa lekintumhaarii u.ngliyaa.n to aadatan ye jurm kartii thii.nchalo chho.Dosafar me.n ajnabii logo.n se aise haadse sarzad hu.aa karte hai.n sadiyo.n sechalo chho.Domiraa honaa na honaa ik baraabar haitum apne KHaal-o-KHad ko aa.iine me.n phir nikharne dotum apnii aa.nkh kii bastii me.n phir se ik nayaa mausam utarne domire KHvaabo.n ko marne dona.ii tasviir dekhophir nayaa maktuub likhophir na.e mausam na.e lafzo.n se apnaa silsila jo.Domire maazii kii chaahat raa.egaa.n samjhomirii yaado.n se kachche raabte to.Dochalo chho.Domohabbat jhuuT haiahd-e-vafaa ik shaGl hai be-kaar logo.n kaa
baiThaa hai mere saamne vojaane kisii soch me.n pa.Daa haiachchhii aa.nkhe.n milii hai.n us kovahshat karnaa bhii aa gayaa haibichh jaa.uu.n mai.n us ke raaste me.nphir bhii kyaa is se faa.eda haiham dono.n hii ye to jaante hai.nvo mere liye nahii.n banaa haimere liye us ke haath kaafiius ke liye saaraa falsafa haimerii nazro.n se hai pareshaa.nKHud apnii kashish se hii KHafaa haisab baat samajh rahaa hai lekingum-sum saa mujh ko dekhtaa haijaise mele me.n ko.ii bachchaapnii maa.n se bichha.D gayaa haius ke siine me.n chhup ke ro.uu.nmeraa dil to ye chaahtaa haikaisaa KHush-ra.ng phuul hai vojo us ke labo.n pe khil rahaa haiyaa rab vo mujhe kabhii na bhuulemerii tujh se yahii du.aa hai
tirii talab kaa sabab sirf KHaalii-pan to nahii.nki tujh se raabta meraa zaruuratan to nahii.nmai.n Dhuu.nDhtaa thaa shajar aasmaa.n ke hote hu.etire firaaq me.n thaa do jahaa.n ke hote hu.ejab aashnaa thii mohabbat kii har galii mujh semai.n zindagii se bahut KHush thaa zindagii mujh sejab ehtiraam kiyaa kartii thii sabaa meraabahaar khoj liyaa kartii thii pata meraajab aa.nsu.o.n ko mayassar hazaar shaane thejab intizaar na karne ke sau bahaane thetirii umiid se dil be-qaraar tab bhii thaayaqiin kar ki tiraa intizaar tab bhii thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books