aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "khulaa"
tez havaa ke jho.nke se darvaaza khulaa haiachchhaa yuu.n hai
subah subah ik KHvaab kii dastak par darvaaza khulaa' dekhaasarhad ke us paar se kuchh mehmaan aa.e hai.naa.nkho.n se maanuus the saarechehre saare sune sunaa.epaa.nv dhu.e, haath dhulaa.eaa.ngan me.n aasan lagvaa.eaur tannuur pe makkii ke kuchh moTe moTe roT pakaa.epoTlii me.n mehmaan mirepichhle saalo.n kii faslo.n kaa gu.D laa.e the
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
aa.nkh bojhal haimagar nii.nd nahii.n aatii haimerii gardan me.n hamaa.il tirii baa.nhe.n jo nahii.nkisii karvaT bhii mujhe chain nahii.n pa.Dtaa haisard pa.Dtii hu.ii raatmaa.ngne aa.ii hai phir mujh setire narm badan kii garmiiaur dariicho.n se jhijaktii hu.ii aahista havaakhojtii hai mire Gam-KHaane me.nterii saa.nso.n kii gulaabii KHushbuu!meraa bistar hii nahii.ndil bhii bahut KHaalii haiik KHalaa hai ki mirii ruuh me.n dahshat kii tarah utraa haiteraa nanhaa saa vajuudkaise us ne mujhe bhar rakkhaa thaatire hote hu.e duniyaa se ta'alluq kii zaruurat hii na thiisaarii vaabastagiyaa.n tujh se thii.ntuu mirii soch bhii, tasviir bhii aur bolii bhiimai.n tirii maa.n, bhii tirii dost bhii ham-jolii bhiitere jaane pe khulaalafz hii ko.ii mujhe yaad nahii.nbaat karnaa hii mujhe bhuul gayaa!tuu mirii ruuh kaa hissa thaamire chaaro.n tarafchaa.nd kii tarah se raqsaa.n thaa magarkis qadar jald tirii hastii nemire atraaf me.n suuraj kii jagah le lii haiab tire gird mai.n raqsinda huu.n!vaqt kaa faisla thaatire fardaa kii rifaaqat ke liyemeraa imroz akelaa rah jaa.emire bachche, mire laalfarz to mujh ko nibhaanaa hai magardekh ki kitnii akelii huu.n mai.n!
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
dil dard kii shiddat se KHuu.n-gashta o sii-paarais shahr me.n phirtaa hai ik vahshii-o-aavaarashaa.er hai ki aashiiq hai, jogii hai ki banjaaradarvaaza khulaa rakhnaa
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
lazzat-e-KHvaab se maKHmuur havaa.e.n jaagii.njel kii zahr-bharii chuur sadaa.e.n jaagii.nduur darvaaza khulaa ko.ii ko.ii band hu.aaduur machlii ko.ii zanjiir machal ke ro.iiduur utraa kisii taale ke jigar me.n KHanjar
sa.Dko.n pe be-shumaar gul-e-KHuu.n pa.De hu.epe.Do.n kii Daaliyo.n se tamaashe jha.De hu.ekoTho.n kii mamTiyo.n pe hasii.n but kha.De hu.esunsaan hai.n makaan kahii.n dar khulaa nahii.nkamre saje hu.e hai.n magar raasta nahii.nviiraa.n hai puuraa shahr ko.ii dekhtaa nahii.naavaaz de rahaa huu.n ko.ii boltaa nahii.n
vo tavaa.ifka.ii mardo.n ko pahchaantii haishaayad isii liyeduniyaa ko ziyaada jaantii haius ke kamre me.nhar maz.hab ke bhagvaan kii ek ek tasviir laTkii haiye tasviire.nleadero.n kii taqriiro.n kii tarah numaa.ishii nahii.nus kaa darvaazaraat ga.e takhinduumuslimsikhiisaa.iihar maz.hab ke aadmii ke liye khulaa rahtaa haiKHudaa jaaneus ke kamre kii sii kushaadgiimasjid aur mandir ke aa.ngano.n me.n kab paidaa hogii
is suurat searz sunaatedard bataatenayyaa kheteminnat karterasta taktekitnii sadiyaa.n biit ga.ii hai.nab jaa kar ye bhed khulaa haijis ko tum ne arz guzaariijo thaa haath paka.Dne vaalaajis jaa laagii naav tumhaariijis se dukh kaa daaruu maa.ngaatore mandir me.n jo nahii.n aayaavo to tumhii.n thevo to tumhii.n the
rah-guzar, saa.e, shajar, manzil-o-dar, halqa-e-baambaam par siina-e-mahtaab khulaa, aahistajis tarah khole ko.ii band-e-qabaa, aahistahalqa-e-baam tale, saayo.n kaa Thahraa hu.aa niilniil kii jhiiljhiil me.n chupke se tairaa, kisii patte kaa habaabek pal tairaa, chalaa, phuuT gayaa, aahistabahut aahista, bahut halkaa, KHunuk-ra.ng sharaabmere shiishe me.n Dhalaa, aahistashiisha-o-jaam, suraahii, tire haatho.n ke gulaabjis tarah duur kisii KHvaab kaa naqshaap hii aap banaa aur miTaa aahista
aur ye ahd kiyaa thaa ki ba-ii.n haal-e-tabaahab kabhii pyaar bhare giit nahii.n gaa.u.ngaakisii chilman ne pukaaraa bhii to ba.Dh jaa.uu.ngaako.ii darvaaza khulaa bhii to palaT aa.uu.ngaa
dekhne kii to kise taab hai lekin ab takjab bhii us raah se guzro to kisii dukh kii kasakToktii hai ki vo darvaaza khulaa hai ab bhiiaur us sehn me.n harsuu yuu.nhii pahle kii tarahfarsh-e-naumiidii-e-diidaar bichhaa hai ab bhiiaur kahii.n yaad kisii dil-zada bachche kii tarahhaath phailaa.e hu.e baiThii hai fariyaad-kunaa.n
ye barahnagii jise dekh kar ba.Dhe.n dast o paa na khule zabaa.nna KHayaal hii me.n rahe tavaa.nto vo reg-zaar ki jaise rah-zan-e-piir hojise tab-e-raah-zanii na hoki misaal-e-taa.er-e-niim-jaa.njise yaad-e-baal-o-parii na hokisii raah-rau se umiid-e-rahm-o-karam liyemai.n bharaa hu.aa huu.n samundaro.n ke jalaal sechalaa aa rahaa huu.n mai.n saahilo.n kaa hasham liyehai abhii inhii kii taraf miraa dar-e-dil khulaaki nasiim-e-KHandaa ko rah milemirii tiirgii ko nigah milevo suruur-o-soz-e-sadaf abhii mujhe yaad haiabhii chaaTtii hai samundaro.n kii zabaa.n mujhemire paa.nv chhuu ke nikal ga.ii ko.ii mauj-e-saaz ba-kaf abhiivo halaavate.n mire hast o buud me.n bhar ga.ii.nvo jaziire jin ke ufuq hujuum-e-sahar se diid-bahaar thevo parinde apnii talab me.n jo sar-e-kaar thevo parinde jin kii safiir me.n thii.n risaalate.nabhii us safiir kii jalvate.n mire KHuu.n me.n hai.nabhii zehn hai vo sanam liyejo samundaro.n ke fusuu.n me.n hai.nchalaa aa rahaa huu.n samundaro.n ke jamaal sesadaf o kanaar kaa Gam liye
naa-gahaa.n aaj mire taar-e-nazar se kaT karTuk.De Tuk.De hu.e aafaaq pe KHurshiid o qamarab kisii samt a.ndheraa na ujaalaa hogaabujh ga.ii dil kii tarah raah-e-vafaa mere baaddosto qaafila-e-dard kaa ab kyaa hogaaab ko.ii aur kare parvarish-e-gulshan-e-Gamdosto KHatm hu.ii diida-e-tar kii shabnamtham gayaa shor-e-junuu.n KHatm hu.ii baarish-e-sa.ngKHaak-e-rah aaj liye hai lab-e-dildaar kaa ra.ngkuu-e-jaanaa.n me.n khulaa mere lahuu kaa parchamdekhiye dete hai.n kis kis ko sadaa mere baad'kaun hotaa hai hariif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq''hai mukarrar lab-e-saaqii pe salaa mere baad'
pichhle pahr ke sannaaTe me.nkis kii siskii kis kaa naalakamre kii KHaamosh fazaa me.n dar aayaa haizor havaa kaa TuuT chukaa haikhule dariiche kii jaalii senannhii nannhii buu.nde.n chhan karsab kono.n me.n phail ga.ii hai.naur mire ashko.n seun ke haath kaa takiya bhiig gayaa haikitnii zaalimkitnii gahrii taariikii haikhulaa dariicha thar-thar-thar-thar kaa.np rahaa haibhiigii miTTii sau.ndhii KHushbuu chho.D rahii haiuude baadalkaale ambar kii jhiilo.n me.n Duub ga.e hai.nkis ke ruKHsaaro.n kii larzish dekh rahaa huu.nkis kii zulfo.n kii shikno.n se khel rahaa huu.nchupke chupke leTe leTe soch rahaa huu.npichhle pahr kaa sannaaTaa haikis kii siskii kis kaa naalakamre kii KHaamosh fazaa me.n dar aayaa hai
jab maah aghan kaa Dhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur ha.ns ha.ns puus sambhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiidin jaldii jaldii chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur paalaa barf pighaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiichillaa Gam Tho.nk uchhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitan Thokar maar pichhaa.Daa ho aur dil se hotii ho kushtii siithar-thar kaa zor ukhaa.Daa ho bajtii ho sab kii battiisiiho shor phaphuu huu-huu kaa aur dhuum ho sii-sii sii-sii kiikalle pe kallaa lag lag kar chaltii ho mu.nh me.n chakkii siihar daa.nt chane se daltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n me.n sardii ne aa baa.ndh diyaa ho ye chakkarjo har dam kap-kap hotii ho har aan ka.Daaka.D aur thar-tharpaiThii ho sardii rag rag me.n aur barf pighaltaa ho pattharjha.D-baa.ndh mahaavaT pa.Dtii ho aur tis par lahre.n le le karsannaaTaa baav kaa chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar chaar taraf se sardii ho aur sehn khulaa ho koThe kaaaur tan me.n niimaa shabnam kaa ho jis me.n KHas kaa itr lagaachhi.Dkaav hu.aa ho paanii kaa aur KHuub pala.ng bhii ho bhiigaahaatho.n me.n piyaala sharbat kaa ho aage ik farraash kha.Daafarraash bhii pa.nkhaa jhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiijab aisii sardii ho ai dil tab roz maze kii ghaate.n ho.nkuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish kii lambii raate.n ho.nmahbuub gale se lipTaa ho aur kuhnii, chuTkii, laate.n ho.nkuchh bose milte jaate ho.n kuchh miiThii miiThii baate.n ho.ndil aish-o-tarab me.n paltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiho farsh bichhaa Gaaliicho.n kaa aur parde chhoTe ho.n aa karik garm a.ngiiThii jaltii ho aur sham.a ho raushan aur tis parvo dilbar, shoKH, parii, chanchal, hai dhuum machii jis kii ghar gharresham kii narm nihaalii par sau naaz-o-adaa se ha.ns ha.ns karpahluu ke biich machaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitarkiib banii ho majlis kii aur kaafir naachne vaale ho.nmu.nh un ke chaa.nd ke Tuk.De ho.n tan un ke ruu.ii ke gaale ho.nposhaake.n naazuk ra.ngo.n kii aur o.Dhe shaal do-shaale ho.nkuchh naach aur rang kii dhuume.n ho.n aish me.n ham matvaale ho.npiyaale par pyaala chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n ho KHalvat kaa aur aish kii sab tayyaarii hovo jaan ki jis se jii Gash ho sau naaz se aa jhankaarii hodil dekh 'naziir' us kii chhab ko har aan adaa par vaarii hosab aish muhayyaa ho aa kar jis jis armaan kii baaii hojab sab armaan nikaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kii
jo sun letaa hai gosh-e-dil se afsaana kanhaiyaa kaavo ho jaataa hai sachche dil se diivaana kanhaiyaa kaanazar aatii hai jis ko KHvaab me.n vo suurat-e-dilkashvo apnaa dil banaa letaa hai kaashaana kanhaiyaa kaasuruur-o-kaif kii miltii hai us ko lazzat-e-daa.imlagaa letaa hai ho.nTo.n se jo paimaana kanhaiyaa kaatum apnaa haath phailaa.o zaraa saaqii kii mahfil me.nki baa.nTaa jaa rahaa hai aaj paimaana kanhaiyaa kaakisii par band hone kaa nahii.n mai-KHana-e-ulfatchale aa.o khulaa rahtaa hai mai-KHaana kanhaiyaa kaakanhaiyaa kii mohabbat me.n jo jaa.n par khel jaataa haiuse sab log kah dete hai.n diivaana kanhaiyaa kaa'nahiif' apne paraa.e sab isii ke dil me.n rahte hai.nsab apne hai.n nahii.n ko.ii bhii begaana kanhaiyaa kaa
vo dar khulaa mere Gam-kade kaavo aa ga.e mere milne vaalevo aa ga.ii shaam apnii raaho.n me.nfarsh-e-afsurdagii bichhaanevo aa ga.ii raat chaa.nd taaro.n koapnii aazurdagii sunaanevo sub.h aa.ii damakte nashtar seyaad ke zaKHm ko manaanevo dopahar aa.ii, aastii.n me.nchhupaa.e sho.alo.n ke taaziyaaneye aa.e sab mere milne vaaleki jin se din raat vaastaa haipe kaun kab aayaa, kab gayaa hainigaah o dil ko KHabar kahaa.n haiKHayaal suu-e-vatan ravaa.n haisamundaro.n kii ayaal thaamehazaar vahm-o-gumaa.n sambhaaleka.ii tarah ke savaal thaame
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books