aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "laa-makaan"
ek qatranuur kaa thaa arsh kii qindiil me.nishq ne us ko banaayaa ham-safarsaamne thii ik siraat-e-mustaqiimaa.nkh me.n thii.n husn kii ra.anaa.iyaa.nlamha lamhaaasmaano.n se guzartaafaaslo.n ko zer kartaahusn kii manzil me.n aakarruk gayaa voaurjannat kaa ujaalaa ban gayaa
shahr-e-laa-makaa.n se huu.njis me.n ik makaa.n meraaKHvaab se ubhartaa haiduudhiyaa saveraa saadhyaan me.n nikhartaa haijo hado.n se aarii haiintihaa nahii.n rakhtaachaukhaTe.n dariiche darkyaa gumaan me.n aa.e.n(sehn aa.ngan aur diivaar kaa KHayaal hii be-kaar)
makaa.n laa-makaa.n kii 'ajab daastaa.n haizamiin-o-zamaa.n se pare bhii jahaa.n haijahaano.n se aage jahaa.n mil rahe hai.njahaa.n zindagii ke nishaa.n mil rahe hai.njahaa.n huur-o-Gilmaa.n hai.n baaG-e-adan haivahaa.n ik badan maavaraa-e-badan haibadan aasmaa.n hai badan hii zamii.n haibadan jo nahii.n hai to kuchh bhii nahii.n haibadan zindagii hai badan sarKHushii haibadan raastii hai badan bandagii haibadan chaa.nd suuraj badan kahkashaa.n haibadan ye jahaa.n hai badan vo jahaa.n haibadan hai samundar badan be-karaa.n haibadan bijliyo.n kii chamak me.n nihaa.n haibadan rang-o-buu hai chaman-dar-chaman haielora ajantaa ke fan me.n badan haibadan mausamo.n kaa nayaa baa.nkpan haibadan mai-kada hai badan hii nasha haibadan kii mahak se mo'attar fazaa haibadan ibtidaa hai badan intihaa haibadan irtiqaa hai badan me.n KHudaa haibadan jo nahii.n hai KHalaa hii nahii.n haisadaa be-sadaa hai fanaa hii fanaa hai
bichhaa.e KHaak kaa bistar lapeTe raah kii gardtakallufaat ke aalam me.n sar-ba-sang hai vorah-e-hayaat me.n har lamha mahv-e-ja.ng hai vo
azal kii sii.Dhiyo.n par laa-makaa.n kii dhund me.n lipTaabahut KHaamosh aur tanhaakhilaune apne chaaro.n samt bikhraa.e hu.eaahista-aahistanihaayat be-niyaazii seunhe.n ik-ek kar ke purza-purza kartaa rahtaa haikhilaune TuuTne seek saa'at ke liye aavaaz hotii haiphir us ke baa'd sannaaTaamuhiib-o-be-karaa.n pur-haul sannaaTaaabad tak bas yahii hai mashGala us kaa
makaa.n-o-laa-makaa.n kii baat karte hai.n ye diivaanehamaarii sar-zamii.n ke yaa kahaa.n ke hai.n ye afsaanebhalaa mirriiKH par jaane kaa ye azm-e-javaa.n kyaa haimujhe bhii kuchh bataa.o un kaa andaaz-e-bayaa.n kyaa haisuruur-o-nuur me.n Duubii hu.ii taqdiir kyaa shai haiko.ii kahtaa hai ab kaunain kaa har faasla tai haiko.ii fikr-e-javaa.n kaa naam le le ke uchhaltaa haimah-o-anjum agar laa do to us kaa jii bahaltaa hainashaat-e-kaamraanii kaa hai jazba kis ke siine me.nhu.ii hai vus.at-e-aafaaq gum dil ke nagiine me.ndil-e-kaunain chaliye gesuu-e-getii se uljhaa.efaraaz-e-arsh se aage makaa.n ik aur ban jaa.e
har kiran ujaale kiiye zamiin bhii teriiaasmaan bhii teraalaa-makaan bhii teraaaur makaan bhii teraa haituu hii sab kaa maalik haiterii mehrbaanii hai
mirii parvaaz uu.nchii haipahaa.Do.n parchaTTaano.n parkahii.n to aasmaano.n parfazaa-e-be-karaa.n kii vus.ato.n me.n hai mirii manzilbahut hii maavaraa hai.n us jahaa.n se zehn ke haalezamaano.n par lagaa rakkhe hai.n mai.n ne soch ke taalehuduud-e-laa-makaa.n bhii guu.njtii hai mere naalo.n seki mai.n ne paa liyaa idraak ko saare havaalo.n se
mohabbat jaarii-o-saarii zamii.n se aasmaa.n tak haiisii kii kaar-farmaa.ii makaa.n se laa-makaa.n tak haimohabbat hai vahaa.n tak fikr-e-insaanii jahaa.n tak hai
KHudaa-e-‘azz-o-jal ne phir mujhe bhejaa zamii.n paraur makaa.n se laa-makaa.n tak ik safar darpesh thaamujh ko
un manzaro.n se haT kejharne ke shor-o-shar me.nham ne nahaate dekhiiik huur be-hijaabiichaa.ndnii ke bahr o bar me.nkaartik kii KHvaab-naakii aa.nkho.n ke do-jahaa.n takkaatik kii chandrmaa.ii sapno.n ke laa-makaa.n takai laa-makaa.n makaaniisun ke sadaa kisii kiijuu.n piichhe mu.D ke dekhaavaa.n duur koh-e-dil kii nam nam sii lak.Diyo.n kaabirhan saa KHuub-suurat choTii pe ik makaa.n thaalekin vo jal rahaa thaakaatik kii chaa.ndnii me.n!
'saliim' ik azal kii chiiKHraat kii bisaat ulaT ga.iichalo sameT le.njhilmilaate aks par nishaa.n shabaahate.nbuu.nd ashk kiichashm-e-mehrbaa.n se buu.nd ek ashk kiivarna roz-e-hashrapne apne marqado.n sekis tarah uThaa.e jaa.e.ngekaisaa saaneha apne aap sekis qadar alag hai.n hamkaisaa saaneha hai yekaisaa saaneha hai yesard raatkhi.Dkiyo.n me.n sard tiirgiitiirgii ke aa.ine taleik fazaa-e-laa-makaa.namiiq kis qadar amiiqbasiit kis qadar basiitmerii dast me.n se duurmerii ruuh par muhiit
makaa.n laa-makaa.n haizamaa.n be-karaa.n hainihaa.n haiisii mehvar-e-aarzuu me.ntumhaare KHad-o-KHaal kaaaks-e-mauhuumparvaaz kaa jazba-e-be-karaanaghanii aur be-nuur raaho.n me.nbanaa.ogii kyaa aashiyaana
abu-jehl an-pa.Dh kahaa.n thaaki an-pa.Dh to nabii thejinhe.n laa pe israar thaaaur ye bhiiki laa se KHalaa takKHalaa se pare bhiiKHudaa kaa jahaa.n thaaki meraaj-e-aadam me.ntakriim-e-aadamKHudaa laa-makaa.n thaaabu-jehl apne qabiile me.nafzal thaa aalim-sifat thaaki ajdaad ne jin buto.n ko taraashaaabu-jehl ne un ko sajda kiyaalaa ko jaanaa tamaashaa
tuluu.a kaa dil-faroz manzarGuruub kaa dil-shikan nazaaraazal se us raushnii kaa partav haijo musalsal safar ke aalam me.nhar makaa.n laa-makaa.n ko apne jilau me.n le karravaa.n-davaa.n haiye raat aur dinhar ek zaahir har ek baatinhar ek mumkinusii tasalsul kaa zer-o-bam hainigaar-e-fitrat kaa husn-e-ram haiufuq ufuq par yahii raqam haiki jo adam haivo zindagii kaa nayaa janam hai
mehrbaa.n saa.at neapnii god me.nphuulo.n kaa guldasta sajaayaahavaa.o.n ko bulaayaaaur kahaa dekhozamii.n se aasmaa.n takhadd-e-taKHayyul-o-bayaa.n takmakaa.n se laa-makaa.n taktum jahaa.n tak jaa.omerii KHushbu.e.n hamraah le jaa.oki imshab arsh se aisaa sitaara mai.n ne paayaaki ghar meraa munavvar ho gayaaaaj hii ke din hamaare dar pe suuraj ne sadaa dii thiiyahii vo din hai jabham par hamaare ghar ke darvaaze khule the
falak kii niilii chaadar kaa konaakhii.nch kar saatvii.n jaanibsameT diyaa jaa.eto dekhnaa mumkin hailaa-makaan me.n rango.n ke meleruuho.n kaa milaapkaa.enaatii taKHliiq kaa raazaalaat-e-mausiiqii bekaar hai.nbaadalo.n kii aa.nkho.n se Tapakte qatro.n ke aavaazeaur pahaa.Do.n ke vast se nikaltemadhur jharne kii dhun seaavaaz me.n taal milaanaa mushkil nahii.naa.nkho.n kii thakan niilii ho rahii thiiki saatvaa.n parda uThaafalak-e-atlas pe taKHt-nashiinsabz maKHmalii chaadar me.n lipTii hu.ii izzatjis ke aage mohabbat sajda rez thiipardo.n kii saat parte.n laazim thii.n
makaa.n qaid-e-zamaa.n aur laa-makaa.n jab laa-zamaa.n Thahreabad se munsalik phir vaqt kaa sail-e-ravaa.n kyo.n hoagar taqdiim-e-insaa.n kii haqiiqat ek lamha haivo ik lamha kabhii juzv-e-hayaat-e-jaavedaa.n kyo.n hovo lamha jo hai ik mauj-e-nafas se bhii faromaayafareb-e-chashm hai ik ramz-e-taKHliiq-e-jahaa.n kyo.n ho
ye yaad-o-gard-baadye havaa-e-tund-o-tez-o-sardye 'aalam-e-subuk-subukye kaif-o-kamfazaa kii saa.ns hai ki mere siina-e-fasaana-juu kaa zer-o-bammirii zamii.n ko.ii nahii.n miraa zamaa.n ko.ii nahii.nmiraa makaa.n hai laa-makaa.n mai.n har taraf huu.n har tarafmirii nazar kaa surmagii.n Gubaar hai
din kii raushnii me.n raat mil ga.iido-gha.Dii jo tere saath jii liyenashaat ke tamaam jaam pii liyehusn ishq aur talab kii hurmate.nsuruur-o-kaif aur sukuu.n kii hashmate.nridaa-e-nuur ban ke taar taar ho ke jism me.n utar ga.ii.nmaa-sivaa bikhar gayaanasha suruur kii hado.n se paar raushnii kii raah se guzar gayaadin kii tez dhuup me.nfazaa-e-yaad ke tamaam naqshterii merii chaa.ndnii u.Daa ke le ga.iimaze tamaam lazzato.n ke chand saa.ato.n me.nyuu.n samaa ga.eki din kii vus.ato.n pe raat chhaa ga.iitalaash ke suruur me.nsaraab kii hado.n se ham guzar ga.ehame.n hamaarii zaat kaa nishaa.n milaahame.n hamaarii baat kaa gumaa.n milaasaaya-e-makaa.n me.n laa-makaa.n milaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books