aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "mahaasin"
is giit ke tamaam mahaasin hai.n laa-zavaalis kaa vafuur is kaa KHarosh is kaa soz-o-saazye giit misal-e-shola-e-javvaala tund-o-tezis kii lapak se baad-e-fanaa kaa jigar gudaazjaise charaaG vahshat-e-sar-sar se be-KHataryaa sham-e-bazm sub.h kii aamad se be-KHabar
KHayaal-o-fikr-e-KHuubaa.n se nahii.n ab mujh ko dilchaspiiki un se zehn-o-dil ke saare naate to.D aaya huu.njamaal-e-zaahirii kii manzilo.n kaa zikr hii kyaa haimanaazil husn-e-baatin kii bhii piichhe chho.D aaya huu.nkisii bad-suuratii se ab nahii.n nafrat nigaaho.n koko.ii bhii aib ab kulfat nahii.n ehsaas ko detaamahaasin aur ma.aa.ib dono.n be-ma.anii se lagte hai.nasar un se mai.n ab achchhaa buraa kuchh bhii nahii.n letaa
ye kis tarah yaad aa rahii ho ye KHvaab kaisaa dikhaa rahii hoki jaise sach-much nigaah ke saamne kha.Dii muskuraa rahii hoye jism-e-naazuk, ye narm baahe.n, hasiin gardan, siDaul baazuushagufta chehra, salonii ra.ngat, ghaneraa juu.Daa, siyaah gesuunashiilii aa.nkhe.n, rasiilii chitvan, daraaz palke.n, mahiin abruutamaam shoKHii, tamaam bijlii, tamaam mastii, tamaam jaaduuhazaaro.n jaaduu jagaa rahii hoye KHvaab kaisaa dikhaa rahii ho
tamannaa kii vus.at kii kis ko KHabar hai jahaa.n-zaad lekintuu chaahe to ban jaa.uu.n mai.n phirvahii kuuza-gar jis ke kuuzethe har kaaKH-o-kuu aur har shahr-o-qariyaa kii naazishthe jin se amiir o gadaa ke masaakin daraKHshaa.ntamannaa kii vus.at kii kis ko KHabar hai jahaa.n-zaad lekintuu chaahe to mai.n phir palaT jaa.uu.n un apne mahjuur kuuzo.n kii jaanibGil-o-valaa ke suukhe taGaaro.n kii jaanibma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaaro.n kii jaanibki mai.n is gil-o-laa se is rang o roGanse phir vo sharaare nikaaluu.n ki jin sedilo.n ke KHaraabe ho.n raushan!
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaatsilsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaatsilsila-e-roz-o-shab taar-e-hariir-e-do-ra.ngjis se banaatii hai zaat apnii qabaa-e-sifaatsilsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kii fuGaa.njis se dikhaatii hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaattujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai yesilsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaattuu ho agar kam ayaar mai.n huu.n agar kam ayaarmaut hai terii baraat maut hai merii baraattere shab-o-roz kii aur haqiiqat hai kyaaek zamaane kii rau jis me.n na din hai na raataani-o-faanii tamaam mojaza-haa-e-hunarkaar-e-jahaa.n be-sabaat kaar-e-jahaa.n be-sabaatavval o aaKHir fanaa baatin o zaahir fanaanaqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aaKHir fanaahai magar is naqsh me.n ra.ng-e-sabaat-e-davaamjis ko kiyaa ho kisii mard-e-KHudaa ne tamaammard-e-KHudaa kaa amal ishq se saahab faroGishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraamtund o subuk-sair hai garche zamaane kii rauishq KHud ik sail hai sail ko letaa hai thaamishq kii taqviim me.n asr-e-ravaa.n ke sivaaaur zamaane bhii hai.n jin kaa nahii.n ko.ii naamishq dam-e-jibra.iil ishq dil-e-mustafaaishq KHudaa kaa rasuul ishq KHudaa kaa kalaamishq kii mastii se hai paikar-e-gil taabnaakishq hai sahbaa-e-KHaam ishq hai kaas-ul-karaamishq faqiih-e-haram ishq amiir-e-junuuudishq hai ibnus-sabiil is ke hazaaro.n maqaamishq ke mizraab se naGma-e-taar-e-hayaatishq se nuur-e-hayaat ishq se naar-e-hayaatai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajuudishq saraapaa davaam jis me.n nahii.n raft o buudra.ng ho yaa KHisht o sang cha.ng ho yaa harf o sautmojaza-e-fan kii hai KHuun-e-jigar se numuudqatra-e-KHuun-e-jigar sil ko banaataa hai dilKHuun-e-jigar se sadaa soz o suruur o suruudterii fazaa dil-faroz merii navaa siina-soztujh se dilo.n kaa huzuur mujh se dilo.n kii kushuudarsh-e-mo.allaa se kam siina-e-aadam nahii.ngarche kaf-e-KHaak kii had hai sip.har-e-kabuudpaikar-e-nuurii ko hai sajda mayassar to kyaaus ko mayassar nahii.n soz-o-gudaaz-e-sajuudkaafir-e-hindi huu.n mai.n dekh miraa zauq o shauqdil me.n salaat o duruud lab pe salaat o duruudshauq mirii lai me.n hai shauq mirii nai me.n hainaGma-e-allaah-huu mere rag-o-pai me.n haiteraa jalaal o jamaal mard-e-KHudaa kii daliilvo bhii jaliil o jamiil tuu bhii jaliil o jamiilterii binaa paa.edaar tere sutuu.n be-shumaarshaam ke sahraa me.n ho jaise hujuum-e-nuKHiiltere dar-o-baam par vaadii-e-aiman kaa nuurteraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.iilmiT nahii.n saktaa kabhii mard-e-musalmaa.n ki haius kii azaano.n se faash sirr-e-kaliim-o-KHaliilus kii zamii.n be-huduud us kaa ufuq be-saGuurus ke samundar kii mauj dajla o danyuub o niilus ke zamaane ajiib us ke fasaane Gariibahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-rahiilsaaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauqbaada hai us kaa rahiiq teG hai us kii asiilmard-e-sipaahii hai vo us kii zirah laa-ilaahsaaya-e-shamshiir me.n us kii panah laa-ilaahtujh se hu.aa aashkaar banda-e-momin kaa raazus ke dino.n kii tapish us kii shabo.n kaa gudaazus kaa maqaam-e-buland us kaa KHayaal-e-aziimus kaa suruur us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naazhaath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haathGaalib o kaar-aafrii.n kaar-kushaa kaarsaazKHaakii o nuurii-nihaad banda-e-maulaa-sifaathar do-jahaa.n se Ganii us kaa dil-e-be-niyaazus kii umiide.n qaliil us ke maqaasid jaliilus kii adaa dil-fareb us kii nigah dil-navaazaaj bhii is des me.n aam hai chashm-e-Gazaalaur nigaaho.n ke tiir aaj bhii hai.n dil-nashii.nbuu-e-yaman aaj bhii us kii havaa.o.n me.n haira.ng-e-hijaaz aaj bhii us kii navaa.o.n me.n haidiida-e-anjum me.n hai terii zamii.n aasmaa.naah ki sadiyo.n se hai terii fazaa be-azaa.nkaun sii vaadii me.n hai kaun sii manzil me.n haiishq-e-balaa-KHez kaa qaafla-e-saKHt-jaa.ndekh chukaa almanii shorish-e-islaah-e-dii.njis ne na chho.De kahii.n naqsh-e-kuhan ke nishaa.nharf-e-Galat ban ga.ii ismat-e-piir-e-kunishtaur hu.ii fikr kii kashti-e-naazuk ravaa.nchashm-e-faraansiis bhii dekh chukii inqalaabjis se digar-guu.n hu.aa maGrabiyo.n kaa jahaa.nmillat-e-ruumii-nizhaad kohna-parastii se piirlazzat-e-tajdiida se vo bhii hu.ii phir javaa.nruuh-e-musalmaa.n me.n hai aaj vahii iztiraabraaz-e-KHudaa.ii hai ye kah nahii.n saktii zabaa.nnarm dam-e-guftuguu garm dam-e-justujuurazm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaznuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-KHudaa kaa yaqii.naur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaazaql kii manzil hai vo ishq kaa haasil hai vohalqa-e-aafaaq me.n garmi-e-mahfil hai vokaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-diin-e-mubii.ntujh se haram martabat undulusiyo.n kii zamii.nhai tah-e-garduu.n agar husn me.n terii naziirqalb-e-musalmaa.n me.n hai aur nahii.n hai kahii.naah vo mardaan-e-haq vo arabii shahsavaarhaamil-e-KHalq-e-aziim saahab-e-sidq-o-yaqii.njin kii hukuumat se hai faash ye ramz-e-Gariibsaltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahii nahii.njin kii nigaaho.n ne kii tarbiyat-e-sharq-o-Garbzulmat-e-europe me.n thii jin kii KHirad-raah-bii.njin ke lahuu ke tufail aaj bhii hai.n undulusiiKHush-dil o garam-iKHtilaat saada o raushan-jabii.ndekhiye is bahr kii tah se uchhaltaa hai kyaagumbad-e-niilofarii rang badaltaa hai kyaavaadi-e-koh-saar me.n Garq-e-shafaq hai sahaablaal-e-badaKHshaa.n ke Dher chho.D gayaa aaftaabsaada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqaa.n kaa giitkashtii-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaabaab-e-ravaan-e-kabiir tere kinaare ko.iidekh rahaa hai kisii aur zamaane kaa KHvaabaalam-e-nau hai abhii parda-e-taqdiir me.nmerii nigaaho.n me.n hai us kii sahar be-hijaabparda uThaa duu.n agar chehra-e-afkaar selaa na sakegaa fara.ng merii navaa.o.n kii taabjis me.n na ho inqalaab maut hai vo zindagiiruuh-e-umam kii hayaat kashmakash-e-inqilaabsuurat-e-shamshiir hai dast-e-qazaa me.n vo qaumkartii hai jo har zamaa.n apne amal kaa hisaabnaqsh hai.n sab naa-tamaam KHuun-e-jigar ke baGairnaGma hai saudaa-e-KHaam KHuun-e-jigar ke baGair
mahiin lafzo.n me.n ik jagah yuu.n likhaa hai is ne:''tumhe.n bhii to yaad hogii vo raat sardiyo.n kiijab au.ndhii kashtii ke niiche ham nebadan ke chuulhe jalaa ke taape the, din kiyaa thaaye pattharo.n kaa bichhaunaa hargiz na saKHt lagtaa jo tum bhii hotii.ntumhe.n bichhaataa bhii o.Dhtaa bhii''
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir haiparda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir haiaasmaa.n majbuur hai shams o qamar majbuur hai.nanjum-e-siimaab-paa raftaar par majbuur hai.nhai shikast anjaam Gunche kaa subuu gulzaar me.nsabza o gul bhii hai.n majbuur-e-numuu gulzaar me.nnaGma-e-bulbul ho yaa aavaaz-e-KHaamosh-e-zamiirhai isii zanjiir-e-aalam-giir me.n har shai asiiraa.nkh par hotaa hai jab ye sirr-e-majbuurii ayaa.nKHushk ho jaataa hai dil me.n ashk kaa sail-e-ravaa.nqalb-e-insaanii me.n raqs-e-aish-o-Gam rahtaa nahii.nnaGma rah jaataa hai lutf-e-zer-o-bam rahtaa nahii.nilm o hikmat rahzan-e-saamaan-e-ashk-o-aah haiya.anii ik almaas kaa Tuk.Daa dil-e-aagaah haigarche mere baaG me.n shabnam kii shaadaabii nahii.naa.nkh merii maaya-daar-e-ashk-e-unnaabii nahii.njaantaa huu.n aah me.n aalaam-e-insaanii kaa raazhai navaa-e-shikva se KHaalii mirii fitrat kaa saazmere lab par qissa-e-naira.ngi-e-dauraa.n nahii.ndil miraa hairaa.n nahii.n KHanda nahii.n giryaa.n nahii.npar tirii tasviir qaasid girya-e-paiham kii haiaah ye tardiid merii hikmat-e-mohkam kii haigirya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaa.n paa.inda haidard ke irfaa.n se aql-e-sa.ng-dil sharminda haimauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraaganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraahairatii huu.n mai.n tirii tasviir ke e.ajaaz kaaruKH badal Daalaa hai jis ne vaqt kii parvaaz kaarafta o haazir ko goyaa paa-ba-paa is ne kiyaaahd-e-tiflii se mujhe phir aashnaa is ne kiyaajab tire daaman me.n paltii thii vo jaan-e-naa-tavaa.nbaat se achchhii tarah mahram na thii jis kii zabaa.naur ab charche hai.n jis kii shoKHii-e-guftaar kebe-bahaa motii hai.n jis kii chashm-e-gauhar-baar keilm kii sa.njiida-guftaarii bu.Dhaape kaa shu.uurdunyavii e.azaaz kii shaukat javaanii kaa Guruurzindagii kii auj-gaaho.n se utar aate hai.n hamsohbat-e-maadar me.n tifl-e-saada rah jaate hai.n hambe-takalluf KHanda-zan hai.n fikr se aazaad hai.nphir usii kho.e hu.e firdaus me.n aabaad hai.nkis ko ab hogaa vatan me.n aah meraa intizaarkaun meraa KHat na aane se rahegaa be-qaraarKHaak-e-marqad par tirii le kar ye fariyaad aa.uu.ngaaab du.aa-e-niim-shab me.n kis ko mai.n yaad aa.uu.ngaatarbiyat se terii me.n anjum kaa ham-qismat hu.aaghar mire ajdaad kaa sarmaaya-e-izzat hu.aadaftar-e-hastii me.n thii zarrii.n varaq terii hayaatthii saraapaa diin o duniyaa kaa sabaq terii hayaatumr bhar terii mohabbat merii KHidmat-gar rahiimai.n tirii KHidmat ke qaabil jab hu.aa tuu chal basiivo javaa.n-qaamat me.n hai jo suurat-e-sarv-e-bulandterii KHidmat se hu.aa jo mujh se ba.Dh kar bahra-mandkaarobaar-e-zindagaanii me.n vo ham-pahluu miraavo mohabbat me.n tirii tasviir vo baazuu miraatujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-paa rotaa hai vosabr se naa-aashnaa sub.h o masaa rotaa hai votuKHm jis kaa tuu hamaarii kisht-e-jaa.n me.n bo ga.iishirkat-e-Gam se vo ulfat aur mohkam ho ga.iiaah ye duniyaa ye maatam-KHaana-e-barnaa-o-piiraadmii hai kis tilism-e-dosh-o-fardaa me.n asiirkitnii mushkil zindagii hai kis qadar aasaa.n hai mautgulshan-e-hastii me.n maanind-e-nasiim arzaa.n hai mautzalzale hai.n bijliyaa.n hai.n qaht hai.n aalaam hai.nkaisii kaisii duKHtaraan-e-maadar-e-ayyaam hai.nkalba-e-iflaas me.n daulat ke kaashaane me.n mautdasht o dar me.n shahr me.n gulshan me.n viiraane me.n mautmaut hai ha.ngaama-aaraa qulzum-e-KHaamosh me.nDuub jaate hai.n safiine mauj kii aaGosh me.nne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar haizindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar haiqaafile me.n Gair fariyaad-e-diraa kuchh bhii nahii.nik mataa-e-diida-e-tar ke sivaa kuchh bhii nahii.nKHatm ho jaa.egaa lekin imtihaa.n kaa daur bhiihai.n pas-e-noh parda-e-garduu.n abhii daur aur bhiisiina chaak is gulsitaa.n me.n laala-o-gul hai.n to kyaanaala o fariyaad par majbuur bulbul hai.n to kyaajhaa.Diyaa.n jin ke qafas me.n qaid hai aah-e-KHizaa.nsabz kar degii unhe.n baad-e-bahaar-e-jaavedaa.nKHufta-KHaak-e-pai sipar me.n hai sharaar apnaa to kyaaaarzii mahmil hai ye musht-e-Gubaar apnaa to kyaazindagii kii aag kaa anjaam KHaakistar nahii.nTuuTnaa jis kaa muqaddar ho ye vo gauhar nahii.nzindagii mahbuub aisii diida-e-qudrat me.n haizauq-e-hifz-e-zindagii har chiiz kii fitrat me.n haimaut ke haatho.n se miT saktaa agar naqsh-e-hayaataam yuu.n us ko na kar detaa nizaam-e-kaa.enaathai agar arzaa.n to ye samjho ajal kuchh bhii nahii.njis tarah sone se jiine me.n KHalal kuchh bhii nahii.naah Gaafil maut kaa raaz-e-nihaa.n kuchh aur hainaqsh kii naa-paa.edaarii se ayaa.n kuchh aur haijannat-e-nazaara hai naqsh-e-havaa baalaa-e-aabmauj-e-muztar to.D kar ta.amiir kartii hai habaabmauj ke daaman me.n phir us ko chhupaa detii hai yekitnii bedardii se naqsh apnaa miTaa detii hai yephir na kar saktii habaab apnaa agar paidaa havaato.Dne me.n us ke yuu.n hotii na be-parvaa havaais ravish kaa kyaa asar hai haiyat-e-taamiir parye to hujjat hai havaa kii quvvat-e-taamiir parfitrat-e-hastii shahiid-e-aarzuu rahtii na hoKHuub-tar paikar kii us ko justujuu rahtii na hoaah siimaab-e-pareshaa.n anjum-e-garduu.n-farozshoKH ye chi.ngaariyaa.n mamnuun-e-shab hai jin kaa sozaql jis se sar-ba-zaanuu hai vo muddat in kii haisarguzisht-e-nau-e-insaa.n ek saa.at un kii haiphir ye insaa.n aa.n suu-e-aflaak hai jis kii nazarqudsiyo.n se bhii maqaasid me.n hai jo paakiiza-tarjo misaal-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat me.n haiaasmaa.n ik nuqta jis kii vus.at-e-fitrat me.n haijis kii naadaanii sadaaqat ke liye betaab haijis kaa naaKHun saaz-e-hastii ke liye mizraab haisho.ala ye kam-tar hai garduu.n ke sharaaro.n se bhii kyaakam-bahaa hai aaftaab apnaa sitaaro.n se bhii kyaatuKHm-e-gul kii aa.nkh zer-e-KHaak bhii be-KHvaab haikis qadar nashv-o-numaa ke vaaste betaab haizindagii kaa sho.ala is daane me.n jo mastuur haiKHud-numaa.ii KHud-fazaa.ii ke liye majbuur haisardi-e-marqad se bhii afsurda ho saktaa nahii.nKHaak me.n dab kar bhii apnaa soz kho saktaa nahii.nphuul ban kar apnii turbat se nikal aataa hai yemaut se goyaa qabaa-e-zindagii paataa hai yehai lahad is quvvat-e-aashufta kii shiiraaza-bandDaaltii hai gardan-e-garduu.n me.n jo apnii kamandmaut tajdiid-e-mazaaq-e-zindagii kaa naam haiKHvaab ke parde me.n bedaarii kaa ik paiGaam haiKHuugar-e-parvaaz ko parvaaz me.n Dar kuchh nahii.nmaut is gulshan me.n juz sanjiidan-e-par kuchh nahii.nkahte hai.n ahl-e-jahaa.n dard-e-ajal hai laa-davaazaKHm-e-furqat vaqt ke marham se paataa hai shifaadil magar Gam marne vaalo.n kaa jahaa.n aabaad haihalqa-e-zanjiir-e-sub.h-o-shaam se aazaad haivaqt ke afsuu.n se thamtaa naala-e-maatam nahii.nvaqt zaKHm-e-teG-e-furqat kaa ko.ii marham nahii.nsar pe aa jaatii hai jab ko.ii musiibat naa-gahaa.nashk paiham diida-e-insaa.n se hote hai.n ravaa.nrabt ho jaataa hai dil ko naala o fariyaad seKHuun-e-dil bahtaa hai aa.nkho.n kii sarishk-aabaad seaadmii taab-e-shakebaa.ii se go mahruum haius kii fitrat me.n ye ik ehsaas-e-naa-maaluum haijauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.naa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.nraKHt-e-hastii KHaak-e-Gam kii sho.ala-afshaanii se haisard ye aag is latiif ehsaas ke paanii se haiaah ye zabt-e-fuGaa.n Gaflat kii KHaamoshii nahii.naagahii hai ye dilaasaa.ii faraamoshii nahii.nparda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotii hai sub.hdaaG shab kaa daaman-e-aafaaq se dhotii hai sub.hlaala-e-afsurda ko aatish-qabaa kartii hai yebe-zabaa.n taa.ir ko sarmast-e-navaa kartii hai yesiina-e-bulbul ke zindaa.n se sarod aazaad haisaik.Do.n naGmo.n se baad-e-sub.h-dam-aabaad haiKHuftagaan-e-laala-zaar o kohsaar o ruud baarhote hai.n aaKHir uruus-e-zindagii se ham-kanaarye agar aa.iin-e-hastii hai ki ho har shaam sub.hmarqad-e-insaa.n kii shab kaa kyuu.n na ho anjaam sub.hdaam-e-siimiin-e-taKHayyul hai miraa aafaaq-giirkar liyaa hai jis se terii yaad ko mai.n ne asiiryaad se terii dil-e-dard aashnaa maamuur haijaise ka.abe me.n du.aa.o.n se fazaa maamuur haivo faraa.ez kaa tasalsul naam hai jis kaa hayaatjalva-gaahe.n us kii hai.n laakho.n jahaan-e-be-sabaatmuKHtalif har manzil-e-hastii ko rasm-o-raah haiaaKHirat bhii zindagii kii ek jaulaa.n-gaah haihai vahaa.n be-haasilii kisht-e-ajal ke vaastesaazgaar aab-o-havaa tuKHm-e-amal ke vaastenuur-e-fitrat zulmat-e-paikar kaa zindaanii nahii.nta.ng aisaa halqa-e-afkaar-e-insaanii nahii.nzindagaanii thii tirii mahtaab se taabinda-tarKHuub-tar thaa sub.h ke taare se bhii teraa safarmisl-e-aivaan-e-sahar marqad farozaa.n ho tiraanuur se maamuur ye KHaakii shabistaa.n ho tiraaaasmaa.n terii lahad par shabnam-afshaanii karesabza-e-nau-rasta is ghar kii nigahbaanii kare
tum bilkul ham jaise nikleab tak kahaa.n chhupe the bhaa.iivo muurakhtaa vo ghaama.D-panjis me.n ham ne sadii ga.nvaa.iiaaKHir pahu.nchii dvaar tuhaareare badhaa.ii bahut badhaa.iipret dharm kaa naach rahaa haiqaa.em hinduu raaj karogesaare ulTe kaaj karogeapnaa chaman taaraaj karogetum bhii baiThe karoge sochaapuurii hai vaisii tayyaariikaun hai hinduu kaun nahii.n haitum bhii karoge fatvaa jaariihogaa kaThin yahaa.n bhii jiinaadaa.nto.n aa jaa.egaa pasiinaajaisii-taisii kaTaa karegiiyahaa.n bhii sab kii saa.ns ghuTegiibhaa.D me.n jaa.e shikshaa-vikshaaab jaahil-pan ke gun gaanaaaage ga.Dhaa hai ye mat dekhovaapas laa.o gayaa zamaanamashq karo tum aa jaa.egaaulTe paa.nv chalte jaanaadhyaan na duujaa man me.n aa.ebas piichhe hii nazar jamaanaaek jaap saa karte jaa.obaaram-baar yahii doharaa.okaisaa viir mahaan thaa bhaaratkitnaa 'aalii-shaan thaa bhaaratphir tum log pahu.nch jaa.ogebas parlok pahu.nch jaa.ogeham to hai.n pahle se vahaa.n partum bhii samay nikaalte rahnaaab jis nark me.n jaa.o vahaa.n sechiTThii-viTThii Daalte rahnaa
bahut dino.n ba.adtere KHat ke udaas lafzo.n neterii chaahat ke zaa.iqo.n kii tamaam KHushbuumirii rago.n me.n u.nDel dii haibahut dino.n ba.adterii baate.ntirii mulaaqaat kii dhanak se dahaktii raate.nujaa.D aa.nkho.n ke pyaas paataal kii taho.n me.nvisaal-va.ado.n kii chand chi.ngaariyo.n ko saa.nso.n kii aa.nch de karshariir sho.alo.n kii sar-kashii ke tamaam tevarsikhaa ga.ii hai.ntire mahakte mahiin lafzo.n kii aabshaare.nbahut dino.n baa'd phir semujh ko rulaa ga.ii hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki mere andar kii raakh ke Dher par abhii taktire zamaane likhe hu.e hai.nsabhii fasaane likhe hu.e hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki terii yaado.n kii kirchiyaa.nmujh se kho ga.ii hai.ntire badan kii tamaam KHushbuubikhar ga.ii haitire zamaane kii chaahatii.nsab nishaaniyaa.nsab sharaarte.nsab hikaayate.n sab shikaayate.n jo kabhii hunar me.nKHayaal thii.n KHvaab ho ga.ii hai.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaaki mai.n bhii kitnaa badal gayaa huu.nbichha.D ke tujh seka.ii lakiiro.n me.n Dhal gayaa huu.nmai.n apne cigarette ke be-iraada dhu.e.n kii suurathavaa me.n tahliil ho gayaa huu.nna Dhuu.nDh merii vafaa ke naqsh-e-qadam ke rezeki mai.n to terii talaash ke be-kanaar sahraa me.nvahm ke be-amaa.n baguulo.n ke vaar sah karudaas rah karna-jaane kis rah me.n kho gayaa huu.nbichha.D ke tujh se tirii tarah kyaa bataa.uu.n mai.n bhiina jaane kis kis kaa ho gayaa huu.nbahut dino.n ba.admai.n ne sochaa to yaad aayaa
jis ke chhuu jaate hii misl-e-naazniin-e-mah-jabii.nkarvaTo.n par karvaTe.n letii hai lailaa-e-zamii.n
ko.ii mahbaso.n me.n rasan-ba-paako.ii maqtalo.n me.n dariida tanna kisii ke haath me.n shaaKH-e-naina kisii ke lab pe gul-e-suKHan
aavaaz me.n ye ras ye lataafat ye iztiraarjaise subuk mahiin ravaa.n reshmii phuvaarlahje me.n ye khaTak hai ki hai neshtar kii dhaaraur gir rahaa hai dhaar se shabnam kaa aabshaarchahkii jo tuu chaman me.n havaa.e.n mahak ga.ii.ngul-barg-e-tar se os kii buu.nde.n Tapak ga.ii.n
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
KHalaa.o.n me.n tairte jaziiro.n pe champa.ii dhuupdekh kaise baras rahii hai!mahiin kohraa simaT rahaa haihatheliyo.n me.n abhii talaktere narm chehre kaa lams aise chhalak rahaa haiki jaise sub.h ko ok me.n bhar liyaa ho mai.n nebas ek maddham sii raushniimere haatho.n pairo.n me.n bah rahii hai
phir barq farozaa.n hai sar-e-vaadii-e-siinaaphir rang pe hai sho.ala-e-ruKHsaar-e-haqiiqatpaiGaam-e-ajal daavat-e-diidaar-e-haqiiqatai diida-e-biinaaab vaqt hai diidaar kaa dam hai ki nahii.n haiab qaati-e-jaa.n chaara-gar-e-kulfat-e-Gam haigulzaar-e-iram partav-e-sahraa-e-adam haipindaar-e-junuu.nhausla-e-raah-e-adam hai ki nahii.n haiphir barq farozaa.n hai sar-e-vaadii-e-siinaa, ai diida-e-biinaaphir dil ko musaffaa karo, is lauh pe shaayadmaabain-e-man-o-tuu nayaa paimaa.n ko.ii utreab rasm-e-sitam hikmat-e-KHaasaan-e-zamii.n haitaa.iid-e-sitam maslahat-e-muftii-e-dii.n haiab sadiyo.n ke iqraar-e-itaa.at ko badalnelaazim hai ki inkaar kaa farmaa.n ko.ii utre
ilm hai insaa.n kii tahziib-o-tamaddun ke liyeye nahii.n insaanii qadro.n ke talavvun ke liyeilm hai aapas me.n iKHlaas-o-uKHuvvat ke liyeye nahii.n auro.n ke nuqsaan-o-halaakat ke liyeilm hai insaan kii bahbuud-o-baqaa ke vaasteye nahii.n insaaniyat kii ibtilaa ke vaasteilm hai insaan kii KHud-aagahii ke vaasteaur insaano.n me.n bhaa.ii-chaargii ke vaasteilm se raushan-KHayaalii aatii hai insaan me.npuKHtagii aKHlaaq me.n to taazgii iimaan me.nilm ba.Dhtaa hai ko.ii us ko ghaTaa saktaa nahii.nye vo daulat hai jise ko.ii churaa saktaa nahii.nilm ko phailaa.iye achchhe maqaasid ke liyetaaki duniyaa kii taraqqii kaa nishaana ba.Dh sakeilm cha.Dhtaa aaftaab aur ilm hai baad-e-muraadilm zindabaad is kii aagahii paa.inda-baad
ye ek ahd-e-sazaa hai jazaa kii baat na kardu.aa se haath uThaa rakh davaa kii baat na karKHudaa ke naam pe zaalim nahii.n ye zulm ravaamujhe jo chaahe sazaa de KHudaa kii baat na karhayaat ab to inhii.n mahbaso.n me.n guzregiisitamgaro.n se ko.ii iltijaa kii baat na karunhii ke haath me.n patthar hai.n jin ko pyaar kiyaaye dekh hashr hamaaraa vafaa kii baat na karabhii to paa.ii hai mai.n ne rihaa.ii rahzan sebhaTak na jaa.uu.n mai.n phir rahnumaa kii baat na karbujhaa diyaa hai havaa ne har ek dayaa kaa diyaana Dhuu.nD ahl-e-karam ko dayaa kii baat na karnuzuul-e-habs hu.aa hai falak se ai 'jaalib'ghuTaa ghuTaa hii sahii dam ghaTaa kii baat na kar
sunaa hai chaa.nd niklaa thaasunaa hai raunaqe.n thii.n kuucha-o-baazaar me.n har suusunaa hai eid kii KHushiyaa.n manaa.ii.n shahr me.n sab neye sab kuchh to hu.aa lekinbas ik tum hii nahii.n aa.ebataa.o kyuu.n nahii.n aa.ebataa.o diid kab hogiihamaarii eid kab hogii
فطرت کے مقاصد کي کرتا ہے نگہبانييا بندہ صحرائي يا مرد کہستانيدنيا ميں محاسب ہے تہذيب فسوں گر کاہے اس کي فقيري ميں سرمايہ سلطانييہ حسن و لطافت کيوں ؟ وہ قوت و شوکت کيوںبلبل چمنستاني ، شہباز بياباني!اے شيخ ! بہت اچھي مکتب کي فضا ، ليکنبنتي ہے بياباں ميں فاروقي و سلمانيصديوں ميں کہيں پيدا ہوتا ہے حريف اس کاتلوار ہے تيزي ميں صہبائے مسلماني
paiGaam-e-ajal laa.ii apne us sab se ba.De mohsin ke liyeai vaa.e-tuluu-e-aazaadii aazaad hu.e us din ke liye
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books