aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "main rona chahta hoon farhat ehsas"
mai.n intizaar-e-musalsal kaa isti'aara nahii.ntirii nigaah me.n tahriir honaa chaahtaa huu.njo faaslo.n ne ikaTThaa kiye hai.n Gam un parbilak-bilak ke tire saath ronaa chaahtaa huu.n
mai.n ek bachche kii tarah huu.njo paaltuu jaanvar aur darinde me.n farq nahii.n kar saktaamai.n us ke bahut qariib chalaa jaataa huu.nek 'aurat jis kii chhaatiyaa.n bharpuur hai.nmai.n un kii nok par apne ho.nTh rakhnaa chaahtaa huu.nmai.n us ke baazu.o.n par sar rakh kar ronaa chaahtaa huu.nmai.n ek bachche kii tarah huu.n
mai.n jab bhii sochtaa huu.n apne baare me.nko.ii quvvat mujhe mere muKHaalif khii.nchtii haimujhe mahsuus hotaa haimeraa har uzvmarkaz se baGaavat kar chukaa haiKHuun ke dauraan ke ham-raahbaktar-band gaa.Dii me.nmusallah faujiyo.n ke saathko.ii qaid ho kar jaa rahaa haikhul ga.e hai.n sab mashaam-e-jaa.n ke phaaTakkha.Dii hai.n sar jhukaa.e saf-ba-safhaare hu.e alfaaz kii fauje.nko.ii is shahr kii tahziib le kar jaa rahaa hai
mai.n jiinaa chaahtaa huu.nmagar kii.De-mako.Do.n aur be-maaya maKHluuqaat kii tarahre.ng re.ng kar nahii.n!mai.n jiinaa chaahtaa huu.nmagar apne baatin me.nkulbulaate shar parzaahirii aKHlaaq kii ridaaDaal kar nahii.nmai.n jiinaa chaahtaa huu.nmagar aise nahii.nki mere vajuud ke andarbuGz havas aur riyaa-kaarii kii baaruudii sura.nge.nbichhii ho.naur har lahza har palye KHaufki kab ko.iiremote control seanaa aur Gairat ehsaas aur jazbekii KHuub-suurat imaarato.n koDhaa demai.n jiinaa chaahtaa huu.napne puure vajuud kii saarii ikaa.iiyo.n ke saathaur mujhe ye ehsaas na sataa.eki ye zindagiikisii kii bhiik me.n dii hu.ii saa.nso.n kaa hissa haimai.n jiinaa chaahtaa huu.nek aisii duniyaa me.njahaa.n mulk-giirii ke junuunitne shadiid na ho.n kiitemi tavaanaa.ii se mumayyaz aalaat fazaa ko masmuum kar de.ninsaan us kii hazaaro.n barso.n kii puraanii qadre.naisii paamaal ho jaa.e.n jaise haqiir zarremagar mai.n jaantaa huu.nye sab mumkin nahii.nto mai.n marnaa chaahuu.ngaapar aisii maut nahii.nki merii laash koqabristaan tak pahu.nchaane me.ntakalluf majbuurii aur zabardastii kaa shaa.iba hoyaa du.aa me.n hilte hu.e labaur uThaa.e hu.e haathmajbuuraan o rasman ho.nhaa.n aisii maut jo kisii kii aa.nkho.n me.nThahre hu.e chand qatreKHaamoshii se mere kafan me.njazb ho jaa.e.naur bas!!
mujh ko ye ehsaas haimai.n mar gayaa huu.nTuuT kar mai.n reza rezahar taraf bikhraa hu.aa huu.nphir bhii ik aavaazsaa.e kii tarahehsaas se chimTii hu.ii haitum abhii zinda ho aur zinda rahogephir bhii mai.n ye chaahtaa huu.nmujh ko merii qabr kii suurat banaa doaurmere naam kaakatba lagaa do
tum ko paa lene kii dhun me.nduniyaa o.Dhiira.ng-bira.nge kap.De pahnepeshaanii par suuraj baa.ndhaaaa.ngan bhar me.n dhuup bichaa.iidiivaaro.n par sabza Daalaaphuulo.n patto.n se apnii chaukhaT ra.ngvaa.iimausam aa.emausam biitesuuraj niklaa dhuup khiliiphir dhuup cha.Dhii phir aur cha.Dhiiphir shaam hu.iiphir gahrii kaalii raat hu.ii
afkaar ma.iishat kefursat hii nahii.n detemai.n chaahtaa huu.n dil sekuchh kasb-e-hunar kar luu.ngul-haa-e-mazaamii.n sedaamaan-e-suKHan bhar luu.nhai baKHt magar vaazhuu.nfursat hii nahii.n miltiifursat ko kahaa.n Dhuu.nDuu.nfursat hii kaa ronaa haiphir jii me.n ye aatii haikuchh aish hii haasil hodaulat hii mile mujh kovo kaam ko.ii sochuu.nphir sochtaa ye bhii huu.nye sochne kaa dhandaafursat hii me.n honaa haifursat hii nahii.n deteafkaar ma.iishat ke
mai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii jab paas tuu nahii.n hotiiKHud ko kitnaa udaas paataa huu.ngum se apne havaas paataa huu.njaane kyaa dhun samaa.ii rahtii haiik KHamoshii sii chhaa.ii rahtii haidil se bhii guftuguu nahii.n hotiimai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii rah rah ke mere kaano.n me.nguu.njtii hai tirii hasii.n aavaazjaise naadiida ko.ii bajtaa saazhar sadaa naagavaar hotii haiin sukuut-aashnaa taraano.n me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii shab kii taviil KHalvat me.ntere auqaat sochtaa huu.n mai.nterii har baat sochtaa huu.n mai.nkaun se phuul tujh ko bhaate hai.nra.ng kyaa kyaa pasand aate hai.nkho saa jaataa huu.n terii jannat me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii ehsaas se najaat nahii.nsochtaa huu.n to ranj hotaa haidil ko jaise ko.ii Dubotaa haijis ko itnaa saraahtaa huu.n mai.njis ko is darja chaahtaa huu.n mai.nis me.n terii sii ko.ii baat nahii.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii shab kii taviil KHalvat me.ntere auqaat sochtaa huu.n mai.nterii har baat sochtaa huu.n mai.nkaun se phuul tujh ko bhaate hai.nra.ng kyaa kyaa pasand aate hai.nkho saa jaataa huu.n terii jannat me.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekinphir bhii ehsaas se najaat nahii.nsochtaa huu.n to ranj hotaa haidil ko jaise ko.ii Dubotaa haijis ko itnaa saraahtaa huu.n mai.njis ko is darja chaahtaa huu.n mai.nus me.n terii sii ko.ii baat nahii.nmai.n tujhe chaahtaa nahii.n lekin
use bhii lagtaa to hogaa ki mai.n vahii huu.n, magarKHizaa.n-gaziida thakaa saa udaas ranjiidause bhii lagtaa to hogaa ki ham vahii hai.n magardil o dimaaG kii baaham supurdagii ke dinna jaane umr ke kis marhale pe chhuuT ga.emai.n chaahtaa huu.n kabhii baat kar ke dekhuu.n tokahuu.n ki jism to ik aarizii haqiiqat haikahuu.n daruun-e-dil-o-jaa.n jo ek aalam haivahaa.n to vaqt kaa ehsaas tak nahii.n hotaakahuu.n ki umr se shikva, gila javaanii hailabo.n pe harf-e-shikaayat dilo.n me.n talKHii siialiil jazbe hai.n un se hamaaraa kyaa rishta?kahuu.n ki aaj bhii sub.h-e-shab-e-visaal ke gulhamaarii ruuh me.n khilte hai.n, aa.o saath chale.npaka.D ke haath ki aglaa safar taviil nahii.n!
magar naazir hamaaraa soKHta-sulb aaKHirii nassaab ab marne hii vaalaa haibas ik pal haf sadii kaa faisla karne hii vaalaa haisuno 'zaryuun' bas tum hii suno ya.anii faqat tum hiivahii raahat me.n hai jo aam se hone ko apnaa lekabhii ko.ii bhii par ho ko.ii 'bahman' yaar yaa 'zenuu'tumhe.n bahkaa na paa.e aur bairuunii na kar Daalemai.n saarii zindagii ke dukh bhugat kar tum se kahtaa huu.nbahut dukh degii tum me.n fikr aur fan kii numuu mujh kotumhaare vaaste behad sahuulat chaahtaa huu.n mai.ndavaam-e-jahl o haal-e-istiraahat chaahtaa huu.n mai.nna dekho kaash tum vo KHvaab jo dekhaa kiyaa huu.n mai.nvo saare KHvaab the qassaab jo dekhaa kiyaa huu.n mai.nKHaraash-e-dil se tum be-rishta be-maqduur hii Thahromire jahmiim-e-zaat-e-zaat se tum duur hii Thahroko.ii 'zaryuun' ko.ii bhii clerk aur ko.ii kaarindako.ii bhii bank kaa afsar senator ko.ii paavandahar ik haivaan-e-sarkaarii ko TaTTuu jaantaa huu.n mai.nso zaahir hai ise shai se ziyaada maantaa huu.n mai.ntumhe.n ho sub.h-dam taufiiq bas aKHbaar pa.Dhne kiitumhe.n ai kaash biimaarii na ho diivaar pa.Dhne kiiajab hai 'sartre' aur 'ressel' bhii aKHbaar pa.Dhte thevo maaluumaat ke maidaan ke shauqiin buu.Dhe thenahii.n ma.aluum mujh ko aam shahrii kaise hote hai.nvo kaise apnaa banjar naam banjar-pan me.n bote hai.nmai.n ''urr'' se aaj tak ik aam shahrii ho nahii.n paayaaisii baa.is mai.n huu.n amboh kii lazzat se be-maayamagar tum ik do-paaya raast qaamat ho ke dikhlaanaasuno raa.e-dahinda bin hu.e tum baaz mat aanaafaqat 'zaryuun' ho tum ya.anii apnaa saabiqaa chho.Dofaqat 'zaryuun' ho tum ya.anii apnaa laahiqaa chho.Domagar mai.n kaun jo chaahuu.n tumhaare baab me.n kuchh bhiibhalaa kyuu.n ho mire ehsaas ke asbaab me.n kuchh bhiitumhaaraa baap ya.anii mai.n abas mai.n ik abas-tar mai.nmagar mai.n ya.anii jaane kaun achchhaa mai.n saraasar mai.nmai.n kaasa-baaz o kiina-saaz o kaasa-tan huu.n kuttaa huu.nmai.n ik na.ngiin-e-buudash huu.n pa tum to sirr-e-mun.am hotumhaaraa baap ruuhul-quds thaa tum ibn-e-maryam ho
tere Gam me.n kitnaa naazuk ho gayaa hai dil ki abis bhare baazaar me.nhar sadaa ik ajnabii ehsaas kaa aa.iina haiaaj tere Gam se faariG ho ke mai.nbah rahaa huu.n lazzat-e-iz.haar ke sailaab me.nla.Dkha.Daate re.ngte la.ng.Daate ha.nste boltelafz aur un kaa dhu.aa.n KHushbuu chamakchal rahe hai.n mil ke be-aaha.ng aavaazo.n ke ra.ngajnabii ho.nTo.n ke lafzaarzu.o.n ke Gubaare hasrato.n kii titliyaa.nchaar-suu u.Dtii hai.n mai.n KHaamosh huu.nguftuguu ke daa.ero.n me.n phail karra.ng bhartaa jaa rahaa hai un tamannaa.o.n kaa KHuu.njin ke lafzo.n ne zabaa.n dii sun.ne vaalo.n kaa KHayaalun me.n Duubaa jaa rahaa hai bolte lafzo.n kaa saharus ko apne daam me.n laataa hu.aaphail kar aataa hai mujh tak pech-o-KHam khaataa hu.aaaur mai.nus kii kaifiyat kaa Gaaza apne chehre par lagaa.eik na.ii aavaaz ke saa.e me.n huu.nchaahtaa huu.n band aa.nkho.n se mai.n us sailaab me.nkuud jaa.uu.n aur nazzaara karuu.napne kaano.n se dilo.n ke tarjumaa.n alfaaz kaasuurat goyaa se ba.Dh kar hai suKHan-andaaz kaa
me.n kab se zamii.n par zamii.n kii tarah chal rahaa huu.nye diivaana andhaa safar kab kahaa.n jaa ke chho.Degaa mujh ko?mai.n is zindagii kii bahut sii bahaare.n Gizaa kii tarah khaa chukaa huu.npahan o.Dh kar pairahan kii tarah phaa.D dii hai.nme.n resham kaa kii.Daa huu.n ko.e me.n chhap jaataa huu.n Dar ke maareisii ko.e ko khaataa rahtaa huu.n aur kaaT kar is se aataa huu.n baaharaur apne jiine kaa maqsad sabab jaan.naa chaahtaa huu.nmiraa dil KHudaa kii razaa Dhuu.nDhtaa phir rahaa haimiraa jism lazzaat kii justujuu me.n lagaa haiguzargaah-e-shaam-o-sahar par kahii.n ek din mai.n ugaa thaanabaataat kii tarah jiitaa huu.n is kaargaah-e-jahaa.n me.nna ehsaas iimaan iiqaan ko.iina duniyaa me.n shaamil na KHud apnii pahchaan ko.iigunah aur jahannam savaab aur jannat?ye kyuu.n hai ki be-muzad kuchh bhii nahii.n mil sakaa haina kal mil sakegaaasaatiir farmaa.n-ravaa.on ke ahkaam aur suufiyaa kii karaamat ke qissepayambar kii dil-soziyo.n ke mazaahirqalam-band hai.n sab!unhe.n ham ne ta.aviiz kii tarah apne galo.n me.n hamaa.il kiyaa haiinhe.n ham ne tah-KHaano.n kii koTharii me.n muqaffal kiyaa haijahaa.n la.Dkha.Daate hai.n in kii madad le ke chalte hai.n aagemagar raasto.n kaa ta.ayyun nahii.n hai!
mirii jaa.n go tujhe dil se bhulaayaa jaa nahii.n saktaamagar ye baat mai.n apnii zabaa.n par laa nahii.n saktaamai.n tujh ko chaahtaa huu.n vaalihaana pyaar kartaa huu.nmai.n gaataa rahtaa huu.n par ye naGma gaa nahii.n saktaatujhe apnaa banaanaa maujib-e-raahat samajh kar bhiitujhe apnaa banaa luu.n ye samajh me.n aa nahii.n saktaabanaa saktaa huu.n shab ko apne bistar kii tujhe ziinatmagar din me.n tire qasr-e-hasii.n tak jaa nahii.n saktaahu.aa hai baar-haa ehsaas mujh ko is haqiiqat kaatire nazdiik rah kar bhii mai.n tujh ko paa nahii.n saktaamire dast-e-havas kii dastaras hai jism tak teremai.n terii ruuh kii gahraa.iyo.n tak jaa nahii.n saktaamai.n tere ras-bhare ho.nTo.n ko pyaarii chuum saktaa huu.nmagar mai.n tere dil par aah qabza paa nahii.n saktaatire dil kii tamannaa bhii karuu.n to kis bharose parmai.n KHud dargaah me.n tere ye tohfa laa nahii.n saktaamirii majbuuriyo.n ko bhii bahut kuchh daKHl hai is me.ntujhii ko morid-e-ilzaam mai.n Thahraa nahii.n saktaamai.n tujh se ba.Dh ke apnii aabruu ko pyaar kartaa huu.nmai.n apnii izzat-o-naamuus ko Thukraa nahii.n saktaatire maahaul kii pastii kaa ta.ana duu.n tujhe kyuu.n-karmai.n KHud maahaul se apne rihaa.ii paa nahii.n saktaa
suurajmere ek paa.nv kaa juutaa haiduusre paa.nv kaa juutaa chaa.ndin se raat aur dino.n me.nla.ng.Daataa chaltaa huu.n mai.nkaash mai.n apnedono.n juute saath pahantaaphir kitne aaraam se chaltaa
mai.n bhii baadshaah kii hukuumat kaamunkir huu.nlekin jiine kii aarzuu me.nroz us kii chaukhaT parsuuraj saa ubhartaa huu.nshaam saa Duubtaa huu.nghar me.nelaan-e-baGaavat ke taur parbiivii bachcho.n ko maartaa huu.nraat raat jaagtaa huu.n
diye chaaro.n taraf har jaa farozaa.n dekhtaa huu.n mai.nnazar pa.Dtii hai jis par bhii daraKHshaa.n dekhtaa huu.n mai.n
jaise tum ko chhuu liyaa haijaise tum ko paa liyaa haijaise tum ko bol karchup ho gayaa huu.nvaise yuu.n hiisher kah lene ke ba.adraat bhar mai.n dekhtaa huu.nduur tak vo maahtaabvo ghanaa gahraa gulaab
sach hai pyaasii huu.n mai.nbehad pyaasiilekin tum se kis ne kahaaki tum merii pyaas bujhaa.okahii.n ziyaada KHaalii ho tummujh se kahii.n ziyaada reteaur tumhe.n ehsaas tak nahii.nbharnaa chaahte ho tumapnaa KHaalii-panmerii pyaas bujhaane ke naam parta.ajjub haimujhe mukammal banaanaa chaahtaa haiek aadhaaadhuuraa insaan
tum log yahaa.n baiThe hotum log yahaa.n is liye baiThe ho kijo tum me.n se yahaa.n nahii.n haiuse vahaa.n se uThaa diyaa gayaa haitum me.n se ko.ii portugal nahii.n gayaalekin tumhaare darmiyaan mez aur kursiyaa.n hai.njo duniyaa tum ko dikhaane ke liye kaafii haiis se ba.Dh kar bhii ko.ii dukh hogaajitnaa sochoge bhuulte jaa.ogemaslamausiiqii yaa aurte.n aur aab-o-havaa bachcheaKHbaar yaa Gizaa.o.n ke naamyahaa.n tak ki nii.nd aa jaatii haiyaa vo ek buu.Dhaa jis ke paa.nvmaidaano.n me.n chalte chalte KHatm hu.eus kii fasl us ke puraane chehre kogaalii de us par phe.nk dii ga.iinaariyal kaa banaa hu.aa huqqa bhii aur us me.n jo jalaa hu.aa paanii hotaa hai vo bhii tum logus kamre me.n aa ga.etumhaare saamne mez par ashtray me.n abhii abhii jabki mulk kii gha.Diyo.n me.n raat ke 9 baj rahe hai.nek cigarette kaa jaltaa hu.aa filter KHatm ho rahaa haimai.n tum sab ke baare me.n bahut kuchh kahnaa chaahtaa huu.n kuchh bahut zaruurii bhed hai.nlekin agar kah duu.n to bahut buraa hogaatumhaarii gardane.n mujhe insaanii shakl me.n dikhaa.ii nahii.n detii.nye gardane.n jism kaa filter hai.njism tafsiilaat me.n jal ga.e ab filter jal rahe hai.nye mai.n nahii.n bataa.uu.ngaa ki tumhe.n kis ne jalaa jalaa ke piyaamaz.hab ne is jism me.n tumhaare is kamre me.n jaise an-ginat kamre banaa.e aur har kamra aagjalaa.e rakhne kii tarkiib bataa.iimai.n tum me.n se ek thaa tumhaare darmiyaan musiibat me.n KHudaa kaa naam sunaa thaakaro.Do.n bhikaariyo.n ke dilo.n ko sameT kar roTii kaa ek suukhaa Tuk.Daa maa.ngne ke liye use pukaaraakitaabo.n me.n sachchaa.ii ke do lafz pa.Dhne ke liye miTTii ke tel kii Dheriyaa.n chaar-paa.iiyo.n par ulaT dii.nmerii Gariibii ke yaadgaar gud.De aur bistar jal ga.ezamiin par itne ka.nkar patthar ii.nTe.n bajrii aur baaluu ke zarre bhii nahii.n hogejitnii merii raTii hu.ii du.aa.e.nki aurato.n aur jaanvaro.n se chhuTkaaraa mil jaa.ebaat ye ki mai.n khul kar ronaa chaahtaa thaaitnaa ki tumhaarii aabaadiyo.n me.n baazaaro.n ke hujuum bhii nahii.n hoge aur la.Dko.n kii gaaliyaa.n jo na.nge paagalo.n ke piichhe dau.Dtii hai.nsuno mai.n use apne Dha.ng se chaahtaa thaaitnaa ki ek arab nekiyo.n se bhare hu.e aspataal bhii kaafii nahii.nare mai.n jo KHudaa maa.ngtaa huu.n vo tum dete nahii.naag jalaane kii tarkiib to mai.n nahii.n jaantaamai.n tum se kahtaa huu.n mujhe jalaa.o yaa merii nabaataat jalaa.o mai.n jaluu.ngaa aur jaluu.ngaakaam karuu.ngaa aur kaam karuu.ngaasuno kaam karne ke liye ek aisii zindagii chaahiye ki mai.n tum sab ko bilaa-vaj.h marne se rok sakuu.nzindagii kaa kaam kabhii ruktaa nahii.nhar-chand kiburii bhii.D ke zamaana me.n achchhii kitaabe.n likhne pa.Dhne ke mazbuut saamaan naayaab ho jaate hai.ndaulat ba.De style se ishtihaarii sukuun baa.nTtii haimicrophone yaa baap aur universitiyo.n me.n jab professor e.azaaz kii suuliyo.n par KHush-gavaar dikhaa.ii dete hai.ndavaa.e.n yaa maa.e.n bahne.ntab ba.Daa Galat a.ndheraa hotaa hai Galat beTe aur bhaa.iijinhe.n binaa-qiimat liye agar tum chhuu lo to kaaGaz tumhe.n paka.D le.ngekaaGaz tumhe.n maar Daale.ngeyahii kaaGaz jin se tumhaare liye dhoke aur mustaqbil banaate hai.nchalo is bhii.D se niklozindagii kaa kaam kabhii ruktaa nahii.npaas aa.omai.n tumhaarii jebo.n ke jhuuT se aaj tak Daraa nahii.n huu.nun me.n rakhe hu.e paise nikaal luu.ngaapaise mat chhupaa.o paas aa.oye mai.n jaantaa huu.n ki tumhaarii biiviyaa.n tumhaarii maut ke agnet hai.ntumhaare beTe aur bhaa.ii mujh se nafrat karte hai.nmai.n tumhaare gharo.n ke Dare hu.e band darvaazo.n par dastak detaa huu.n aur tum aur tumhaare logandar se chillaate hai.n ki tum nahii.n homai.n tumhe.n marne se kyuu.n rokuu.n har-chand ki rok saktaa huu.nmaut kisii ko maarne ke liye aasmaan se nahii.n utartiimaut is liye hai ki tum ne use aasmaan maan liyaazamiin tumhe.n jaagne ke liye dii ga.ii tum ne use maayuus kiyaamaut zamiin kii maayuusii par aaj tak KHush haiaur tumhaare KHvaabo.n me.n chalne kii aazaadii haitambaakuu afiim aur bha.ng ke paude aaj tak KHush hai.n ki vo tumhaarii marii hu.ii maa.o.n kii maamtaa hai.ntumhaarii bahut sii biimaariyaa.n tumhaare jism me.n ba.De aaraam se hai.naur davaa-KHaano.n me.n bahut sii davaa.e.n bhii ba.De aaraam se hai.nmai.n tumhe.n marne se kaise rokuu.nhaa.n tum mujhe jiine se rokte homai.n tum se kahtaa huu.n ki tumhaare chho.De hu.e maidaano.n kii havaa.o.n ke jho.nke jab tumhaarii khi.Dkiyo.n me.n aa rahe ho.n tokhi.Dkiyaa.n mat band karobaat ye hai ki tumhaaraa jam.a kiyaa hu.aa asaasa tumhaare jism ke ek ma.amuulii ro.e.n tak ko nahii.n chamkaa saktaatumhaare jam.a kiye hu.e Galat a.ndhero.n par jab suuraj chamaktaa haito tum us se uktaate hotum mujhe bolne se rokte homai.n kahtaa huu.n tumhaare ye makaan tumhaarii aane vaalii qabro.n se muKHtalif nahii.ntum bainal-aqvaamii bichchhuu.o.n se ziyaada chaalaak nahii.ntum duniyaa kii ba.Dii kitaabo.n se ziyaada gambhiir nahii.n hojab tak mai.n tum se apne safar kaa saaraa saamaan chhiin nahii.n luu.ngaa tum se iKHtilaaf karuu.ngaatumhe.n marne se rokuu.ngaa
saa.np lapeTe ghuum rahaa huu.nduniyaa mujh se KHauf-zada haisab mujh ko achchhe lagte hai.nlekin yuu.n haijis la.Dkii ko chaahaa mai.n nejis la.Dke ko dost banaayaajis ghar me.n maa.n baap banaa.ejis masjid me.n ghuTne Tekesab ne meraa saa.np hii dekhaamujh ko ko.ii dekh na paayaamai.n sab ko kaise samjhaa.uu.nye duniyaa kaa saa.np nahii.n haimere saath palaa posaa haiye meraa maa.n jaayaabas mujh ko Dastaa hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books