aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "mare"
jogii bhii jo nagar nagar me.n maare maare phirte hai.nkaasa liye bhabuut ramaa.e sab ke dvaare phirte hai.n
tere ho.nTo.n ke phuulo.n kii chaahat me.n hamdaar kii KHushk Tahnii pe vaare ga.etere haato.n kii sham.o.n kii hasrat me.n hamniim-taariik raaho.n me.n maare ga.e
gar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mire dostgar mujhe is kaa yaqii.n ho ki tire dil kii thakantirii aa.nkho.n kii udaasii tere siine kii jalanmerii dil-juu.ii mire pyaar se miT jaa.egiigar miraa harf-e-tasallii vo davaa ho jis sejii uThe phir tiraa uj.Daa hu.aa be-nuur dimaaGterii peshaanii se Dhal jaa.e.n ye tazliil ke daaGterii biimaar javaanii ko shifaa ho jaa.egar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mare dostroz o shab shaam o sahar mai.n tujhe bahlaataa rahuu.nmai.n tujhe giit sunaataa rahuu.n halke shiirii.naabshaaro.n ke bahaaro.n ke chaman-zaaro.n ke giitaamad-e-sub.h ke, mahtaab ke, sayyaaro.n ke giittujh se mai.n husn-o-mohabbat kii hikaayaat kahuu.nkaise maGruur hasiinaa.o.n ke barfaab se jismgarm haatho.n kii haraarat me.n pighal jaate hai.nkaise ik chehre ke Thahre hu.e maanuus nuquushdekhte dekhte yak-laKHt badal jaate hai.nkis tarah aariz-e-mahbuub kaa shaffaaf biloryak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jaataa haikaise gulchii.n ke liye jhuktii hai KHud shaaKH-e-gulaabkis tarah raat kaa aivaan mahak jaataa haiyuu.nhii gaataa rahuu.n gaataa rahuu.n terii KHaatirgiit buntaa rahuu.n baiThaa rahuu.n terii KHaatirpar mire giit tire dukh kaa mudaavaa hii nahii.nnaGma jarraah nahii.n muunis-o-Gam KHvaar sahiigiit nashtar to nahii.n marham-e-aazaar sahiitere aazaar kaa chaara nahii.n nashtar ke sivaaaur ye saffaak masiihaa mire qabze me.n nahii.nis jahaa.n ke kisii zii-ruuh ke qabze me.n nahii.nhaa.n magar tere sivaa tere sivaa tere sivaa
chiin-o-arab hamaaraa hindostaa.n hamaaraamuslim hai.n ham vatan hai saaraa jahaa.n hamaaraatauhiid kii amaanat siino.n me.n hai hamaareaasaa.n nahii.n miTaanaa naam-o-nishaa.n hamaaraaduniyaa ke but-kado.n me.n pahlaa vo ghar KHudaa kaaham is ke paasbaa.n hai.n vo paasbaa.n hamaaraateGo.n ke saa.e me.n ham pal kar javaa.n hu.e hai.nKHanjar hilaal kaa hai qaumii nishaa.n hamaaraamaGrib kii vaadiyo.n me.n guu.njii azaa.n hamaariithamtaa na thaa kisii se sail-e-ravaa.n hamaaraabaatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n hamsau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraaai gulistaan-e-undulus vo din hai.n yaad tujh kothaa terii Daaliyo.n me.n jab aashiyaa.n hamaaraaai mauj-e-dajla tuu bhii pahchaantii hai ham koab tak hai teraa dariyaa afsaana-KHvaa.n hamaaraaai arz-e-paak terii hurmat pe kaT mare hamhai KHuu.n tirii rago.n me.n ab tak ravaa.n hamaaraasaalaar-e-kaarvaa.n hai miir-e-hijaaz apnaais naam se hai baaqii aaraam-e-jaa.n hamaaraa'iqbaal' kaa taraana baa.ng-e-daraa hai goyaahotaa hai jaada-paimaa phir kaarvaa.n hamaaraa
mai.n jab bhiizindagii kii chilchilaatii dhuup me.n tap karmai.n jab bhiiduusro.n ke aur apne jhuuT se thak karmai.n sab se la.D ke KHud se haar kejab bhii us ek kamre me.n jaataa thaavo halke aur gahre kattha.ii ra.ngo.n kaa ik kamravo behad mehrbaa.n kamrajo apnii narm muTThii me.n mujhe aise chhupaa letaa thaajaise ko.ii maa.nbachche ko aa.nchal me.n chhupaa lepyaar se Daa.nTeye kyaa aadat haijaltii dopahar me.n maare maare ghuumte ho tumvo kamra yaad aataa haidabiiz aur KHaasaa bhaariikuchh zaraa mushkil se khulne vaalaa vo shiisham kaa darvaazaki jaise ko.ii akkha.D baapapne khurdure siine me.nshafqat ke samundar ko chhupaa.e hovo kursiiaur us ke saath vo ju.Dvaa.n bahan us kiivo dono.ndost thii.n meriivo ik gustaaKH mu.nh-phaT aa.iinajo dil kaa achchhaa thaavo be-ha.ngam sii almaariijo kone me.n kha.Diiik buu.Dhii annaa kii tarahaa.iine ko tambiih kartii thiivo ik gul-daannanhaa saabahut shaitaanun dino.n pe ha.nstaa thaadariichayaa zehaanat se bharii ik muskuraahaTaur dariiche par jhukii vo belko.ii sabz sargoshiikitaabe.ntaaq me.n aur shelf parsanjiida ustaanii banii baiThii.nmagar sab muntazir is baat kiimai.n un se kuchh puuchhuu.nsirhaanenii.nd kaa saathiithakan kaa chaara-garvo narm-dil takiyamai.n jis kii god me.n sar rakh kechhat ko dekhtaa thaachhat kii ka.Diyo.n me.nna jaane kitne afsaano.n kii ka.Diyaa.n thii.nvo chhoTii mez paraur saamne diivaar paraavezaa.n tasviire.nmujhe apnaa.iyat se aur yaqii.n se dekhtii thii.nmuskuraatii thii.nunhe.n shak bhii nahii.n thaaek dinmai.n un ko aise chho.D jaa.uu.ngaamai.n ik din yuu.n bhii jaa.uu.ngaaki phir vaapas na aa.uu.ngaa
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
ab mire duusre baazuu pe vo shamshiir hai jois se pahle bhii miraa nisf badan kaaT chukiiusii banduuq kii naalii hai mirii samt ki jois se pahle mirii shah-rag kaa lahuu chaaT chukii
hazaaro.n qarz the mujh par tumhaarii ulfat kemujhe vo qarz chukaane kaa mauqa to detetumhaaraa KHuun mire jism me.n machaltaa rahaazaraa se qatre bahaane kaa mauqa to dete
zamaana aayaa hai be-hijaabii kaa aam diidaar-e-yaar hogaasukuut thaa parda-daar jis kaa vo raaz ab aashkaar hogaaguzar gayaa ab vo daur-e-saaqii ki chhup ke piite the piine vaalebanegaa saaraa jahaan mai-KHaana har ko.ii baada-KHvaar hogaakabhii jo aavaara-e-junuu.n the vo bastiyo.n me.n phir aa base.ngebarahna-paa.ii vahii rahegii magar nayaa KHaarzaar hogaasunaa diyaa gosh-e-muntazir ko hijaaz kii KHaamushii ne aaKHirjo ahd sahraa.iyo.n se baa.ndhaa gayaa thaa phir ustuvaar hogaanikal ke sahraa se jis ne ruumaa kii saltanat ko ulaT diyaa thaasunaa hai ye qudsiyo.n se mai.n ne vo sher phir hoshiyaar hogaakiyaa miraa tazkira jo saaqii ne baada-KHvaaro.n kii anjuman me.nto piir-e-mai-KHaana sun ke kahne lagaa ki mu.nh-phaT hai KHvaar hogaadayaar-e-maGrib ke rahne vaalo KHudaa kii bastii dukaa.n nahii.n haikharaa jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayaar hogaatumhaarii tahziib apne KHanjar se aap hii KHud-kushii karegiijo shaaKH-e-naazuk pe aashiyaana banegaa naa-paa.edaar hogaasafiina-e-barg-e-gul banaa legaa qaafila mor-e-naa-tavaa.n kaahazaar maujo.n kii ho kashaakash magar ye dariyaa se paar hogaachaman me.n laala dikhaataa phirtaa hai daaG apnaa kalii kalii koye jaantaa hai ki is dikhaave se dil-jalo.n me.n shumaar hogaajo ek thaa ai nigaah tuu ne hazaar kar ke hame.n dikhaayaayahii agar kaifiyat hai terii to phir kise e'tibaar hogaakahaa jo qumrii se mai.n ne ik din yahaa.n ke aazaad paa-ba-gil hai.ntuu Gunche kahne lage hamaare chaman kaa ye raazdaar hogaaKHudaa ke aashiq to hai.n hazaaro.n bano.n me.n phirte hai.n maare maaremai.n us kaa banda banuu.ngaa jis ko KHudaa ke bando.n se pyaar hogaaye rasm-e-bazm-e-fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhiirahegii kyaa aabruu hamaarii jo tuu yahaa.n be-qaraar hogaamai.n zulmat-e-shab me.n le ke nikluu.ngaa apne dar-maa.nda kaarvaa.n kosharar-fishaa.n hogii aah merii nafas miraa shola-baar hogaanahii.n hai Gair-az-numuud kuchh bhii jo mudda.aa terii zindagii kaatuu ik nafas me.n jahaa.n se miTnaa tujhe misaal-e-sharaar hogaana puuchh 'iqbaal' kaa Thikaanaa abhii vahii kaifiyat hai us kiikahii.n sar-e-raah-guzaar baiThaa sitam-kash-e-intizaar hogaa
ko.ii pahaa.D ye kahtaa thaa ik gilahrii setujhe ho sharm to paanii me.n jaa ke Duub marezaraa sii chiiz hai is par Guruur! kyaa kahnaa!ye aql aur ye samajh ye shu.uur! kyaa kahnaa!KHudaa kii shaan hai naa-chiiz! chiiz ban baiThe.n!jo be-shu.uur ho.n yuu.n baa-tamiiz ban baiThe.n!tirii bisaat hai kyaa merii shaan ke aagezamii.n hai past mirii aan-baan ke aagejo baat mujh me.n hai tujh ko vo hai nasiib kahaa.nbhalaa pahaa.D kahaa.n jaanvar Gariib kahaa.n!kahaa ye sun ke gilahrii ne mu.nh sambhaal zaraaye kachchii baate.n hai.n dil se inhe.n nikaal zaraa!jo mai.n ba.Dii nahii.n terii tarah to kyaa parvaa!nahii.n hai tuu bhii to aaKHir mirii tarah chhoTaahar ek chiiz se paidaa KHudaa kii qudarat haiko.ii ba.Daa ko.ii chhoTaa ye us kii hikmat haiba.Daa jahaan me.n tujh ko banaa diyaa us nemujhe daraKHt pe cha.Dhnaa sikhaa diyaa us neqadam uThaane kii taaqat nahii.n zaraa tujh me.nnirii ba.Daa.ii hai! KHuubii hai aur kyaa tujh me.njo tuu ba.Daa hai to mujh saa hunar dikhaa mujh koye chhaaliyaa hii zaraa to.D kar dikhaa mujh konahii.n hai chiiz nikammii ko.ii zamaane me.nko.ii buraa nahii.n qudarat ke kaar-KHaane me.n
sarshaar-e-nigaah-e-nargis huu.n paa-basta-e-gesu-e-sumbul huu.nye meraa chaman hai meraa chaman mai.n apne chaman kaa bulbul huu.nhar aan yahaa.n sahbaa-e-kuhan ik saaGar-e-nau me.n Dhaltii haikaliyo.n se husn Tapaktaa hai phuulo.n se javaanii ubaltii haijo taaq-e-haram me.n raushan hai vo sham.a yahaa.n bhii jaltii haiis dasht ke goshe goshe se ik juu-e-hayaat ubaltii haiislaam ke is but-KHaane me.n asnaam bhii hai.n aur aazar bhiitahziib ke is mai-KHaane me.n shamshiir bhii hai aur saaGar bhiiyaa.n husn kii barq chamaktii hai yaa.n nuur kii baarish hotii haihar aah yahaa.n ik naGma hai har ashk yahaa.n ik motii haihar shaam hai shaam-e-misr yahaa.n har shab hai shab-e-shiiraaz yahaa.nhai saare jahaa.n kaa soz yahaa.n aur saare jahaa.n kaa saaz yahaa.nye dasht-e-junuu.n diivaano.n kaa ye bazm-e-vafaa parvaano.n kiiye shahr-e-tarab ruumaano.n kaa ye KHuld-e-barii.n armaano.n kiifitrat ne sikhaa.ii hai ham ko uftaad yahaa.n parvaaz yahaa.ngaa.e hai.n vafaa ke giit yahaa.n chhe.Daa hai junuu.n kaa saaz yahaa.nis farsh se ham ne u.D u.D kar aflaak ke taare to.De hai.nnaahiid se kii hai sargoshii parviin se rishte jo.De hai.nis bazm me.n teGe.n khii.nchii hai.n is bazm me.n saaGar to.De hai.nis bazm me.n aa.nkh bichhaa.ii hai is bazm me.n dil tak jo.De hai.nis bazm me.n neze phe.nke hai.n is bazm me.n KHanjar chuume hai.nis bazm me.n gir kar ta.Dpe hai.n is bazm me.n pii kar jhuume hai.naa aa ke hazaaro.n baar yahaa.n KHud aag bhii ham ne lagaa.ii haiphir saare jahaa.n ne dekhaa hai ye aag hamii.n ne bujhaa.ii haiyaa.n ham ne kamande.n Daalii hai.n yaa.n ham ne shab-KHuu.n maare hai.nyaa.n ham ne qabaa.e.n nochii hai.n yaa.n ham ne taaj utaare hai.nhar aah hai KHud taasiir yahaa.n har KHvaab hai KHud taabiir yahaa.ntadbiir ke paa-e-sa.ngii.n par jhuk jaatii hai taqdiir yahaa.nzarraat kaa bosa lene ko sau baar jhukaa aakaash yahaa.nKHud aa.nkh se ham ne dekhii hai baatil kii shikast-e-faash yahaa.nis gul-kada-e-paariina me.n phir aag bha.Dakne vaalii haiphir abr garajne vaale hai.n phir barq ka.Dakne vaalii haijo abr yahaa.n se uTThegaa vo saare jahaa.n par barsegaahar juu-e-ravaa.n par barsegaa har koh-e-giraa.n par barsegaahar sarv-o-saman par barsegaa har dasht-o-daman par barsegaaKHud apne chaman par barsegaa Gairo.n ke chaman par barsegaahar shahr-e-tarab par garjegaa har qasr-e-tarab par ka.Dkegaaye abr hamesha barsaa hai ye abr hamesha barsegaa
kyaa hind kaa zindaa.n kaa.np rahaa hai guu.nj rahii hai.n takbiire.nuktaa.e hai.n shaayad kuchh qaidii aur to.D rahe hai.n zanjiire.ndiivaaro.n ke niiche aa aa kar yuu.n jam.a hu.e hai.n zindaaniisiino.n me.n talaatum bijlii kaa aa.nkho.n me.n jhalaktii shamshiire.nbhuuko.n kii nazar me.n bijlii hai topo.n ke dahaane ThanDe hai.ntaqdiir ke lab ko jumbish hai dam to.D rahii hai.n tadbiire.naa.nkho.n me.n gadaa kii surKHii hai be-nuur hai chehra sultaa.n kaataKHriib ne parcham kholaa hai sajde me.n pa.Dii hai.n taamiire.nkyaa un ko KHabar thii zer-o-zabar rakhte the jo ruuh-e-millat kouble.nge zamii.n se maar-e-siyah barse.ngii falak se shamshiire.nkyaa un ko KHabar thii siino.n se jo KHuun churaayaa karte theik roz isii be-ra.ngii se jhalke.ngii hazaaro.n tasviire.nkyaa un ko KHabar thii ho.nTo.n par jo qufl lagaayaa karte theik roz isii KHaamoshii se Tapke.ngii dahaktii taqriire.nsambhlo ki vo zindaa.n guu.nj uThaa jhapTo ki vo qaidii chhuuT ga.euTTho ki vo baiThii.n diivaare.n dau.Do ki vo TuuTii zanjiire.n
aur kuchh der me.n luT jaa.egaa har baam pe chaa.ndaks kho jaa.e.nge aa.iine taras jaa.e.ngearsh ke diida-e-namnaak se baarii-baariisab sitaare sar-e-KHaashaak baras jaa.e.ngeaas ke maare thake haare shabistaano.n me.napnii tanhaa.ii sameTegaa, bichhaa.egaa ko.iibevafaa.ii kii gha.Dii, tark-e-madaaraat kaa vaqtis gha.Dii apne sivaa yaad na aa.egaa ko.iitark-e-duniyaa kaa samaa.n KHatm-e-mulaaqaat kaa vaqtis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.ogeis gha.Dii ko.ii kasii kaa bhii nahii.n rahne doko.ii is vaqt mile gaa hii nahii.n rahne doaur mile gaa bhii is taur ki pachhtaa.ogeis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.oge
go aafat o Gam ke maare hai.nham KHaak nahii.n hai.n taare hai.nis jag ke raaj-dulaare hai.nmazduur hai.n ham mazduur hai.n ham
ik umr ke baa'd tum mile hoai mere vatan ke KHush-navaa.ohar hijr kaa din thaa hashr kaa dindozaKH the firaaq ke alaa.oro.uu.n ki ha.nsuu.n samajh na aa.ehaatho.n me.n hai.n phuul dil me.n ghaa.otum aa.e to saath hii tumhaarebichh.De hu.e yaar yaad aa.eik zaKHm pe tum ne haath rakkhaaaur mujh ko hazaar yaad aa.evo saare rafiiq paa-ba-jaulaa.nsab kushta-e-daar yaad aa.eham sab kaa hai ek hii qabiilaik dasht ke saare ham-safar hai.nkuchh vo hai.n jo duusro.n kii KHaatiraashufta-nasiib o dar-ba-dar hai.nkuchh vo hai.n jo KHil.at-o-qabaa seaivaan-e-shahii me.n mo'tabar hai.nsuqraat o masiih ke fasaanetum bhii to bahut sunaa rahe themansuur o husain se aqiidattum bhii to bahut jataa rahe thekahte the sadaaqate.n amar hai.nauro.n ko yahii bataa rahe theaur ab jo hai.n jaa-ba-jaa saliibe.ntum baa.nsuriyaa.n bajaa rahe hoaur ab jo hai karbalaa kaa naqshatum mad.h-e-yaziid gaa rahe hojab sach tah-e-teG ho rahaa haitum sach se nazar churaa rahe hojii chaahtaa hai ki tum se puuchhuu.nkyaa raaz is ijtinaab me.n haitum itne kaThor to nahii.n theye be-hisii kisii hisaab me.n haitum chup ho to kis tarah se chup hojab KHalq-e-KHudaa azaab me.n haisocho to tumhe.n milaa bhii kyaa haiik luqma-e-tar qalam kii qiimatGairat ko faroKHt karne vaaloik kaasa-e-zar qalam kii qiimatpindaar ke taajiro bataa.odarbaan kaa dar qalam kii qiimatnaadaa.n to nahii.n ho tum ki samjhuu.nGaflat se ye zahr gholte hothaame hu.e maslahat kii miizaanhar sher kaa vazn taulte hoaise me.n sukuut, chashm-poshiiaisaa hai ki jhuuT bolte hoik umr se adl o sidq kii laashGaasib kii saliib par ja.Dii haiis vaqt bhii tum Gazal-saraa hojab zulm kii har gha.Dii ka.Dii haija.ngal pe lapak rahe hai.n sholetaa.uus ko raqs kii pa.Dii haihai sab ko aziiz kuu-e-jaanaa.nis raah me.n sab jiye mare hai.nhaa.n merii bayaaz-e-sher me.n bhiibarbaadi-e-dil ke marsiye hai.nmai.n ne bhii kiyaa hai TuuT kar ishqaur ek nahii.n ka.ii kiye hai.nlekin Gam-e-aashiqii nahii.n haiaisaa jo subuk-sarii sikhaa.eye Gam to vo KHush-ma.aal Gam haijo koh se juu-e-shiir laa.eteshe kaa hunar qalam ko baKHshejo qais ko kohkan banaa.eai hiila-garaan-e-shahr-e-shiirii.naayaa huu.n pahaa.D kaaT kar mai.nhai be-vatanii gavaah meriihar-chand phiraa huu.n dar-ba-dar mai.nbechaa na Guruur-e-nai-navaaziiaisaa bhii na thaa subuk hunar me.ntum bhii kabhii ham-navaa the merephir aaj tumhe.n ye kyaa hu.aa haimiTTii ke vaqaar ko na bechoye ahd-e-sitam jihaad kaa haidaryuuza-garii ke maqbaro.n sezindaa.n kii fasiil KHushnumaa haikab ek hii rut rahii hameshaye zulm kii fasl bhii kaTegiijab harf kahegaa qum-be-izniimartii hu.ii KHaak jii uThegiilailaa-e-vatan ke pairahan me.nbaaruud kii buu nahii.n rahegiiphir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohephir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.ngeThahraa.e.nge un labo.n ko matlaajaanaa.n ke liye suKHan kahe.ngeafsaana-e-yaar o qissa-e-dilphir anjuman anjuman kahe.nge
ai sip.har-e-barii.n ke sayyaaroai fazaa-e-zamii.n ke gul-zaaroai pahaa.Do.n kii dil-fareb fazaaai lab-e-juu kii ThanDii ThanDii havaaai anaadil ke naGma-e-sahariiai shab-e-maahtaab taaro.n bhariiai nasiim-e-bahaar ke jho.nkodahr-e-naa-paa.edaar ke dhokotum har ik haal me.n ho yuu.n to aziizthe vatan me.n magar kuchh aur hii chiizjab vatan me.n hamaaraa thaa ramnaatum se dil baaG baaG thaa apnaatum mirii dil-lagii ke saamaa.n thetum mire dard-e-dil ke darmaa.n thetum se kaTtaa thaa ra.nj-e-tanhaa.iitum se paataa thaa dil shakebaa.iiaan ik ik tumhaarii bhaatii thiijo adaa thii vo jii lubhaatii thiikarte the jab tum apnii Gam-KHvaariidho.ii jaatii thii.n kulfate.n saariijab havaa khaane baaG jaate theho ke KHush-haal ghar me.n aate thebaiTh jaate the jab kabhii lab-e-aabdho ke uThte the dil ke daaG shitaabkoh o sahraa o aasmaan o zamii.nsab mirii dil-lagii kii shakle.n thii.npar chhuTaa jis se apnaa mulk o dayaarjii hu.aa tum se KHud-ba-KHud bezaarna gulo.n kii adaa KHush aatii haina sadaa bulbulo.n kii bhaatii haisair-e-gulshan hai jii kaa ik janjaalshab-e-mahtaab jaan ko hai vabaalkoh o sahraa se taa lab-e-dariyaajis taraf jaa.e.n jii nahii.n lagtaakyaa hu.e vo din aur vo raate.ntum me.n aglii sii ab nahii.n baate.nham hii Gurbat me.n ho ga.e kuchh auryaa tumhaare badal ga.e kuchh taurgo vahii ham hai.n aur vahii duniyaapar nahii.n ham ko lutf duniyaa kaaai vatan ai mire bahisht-e-barii.nkyaa hu.e tere aasmaan o zamii.nraat aur din kaa vo samaa.n na rahaavo zamii.n aur vo aasmaa.n na rahaaterii duurii hai morid-e-aalaamtere chhuTne se chhuT gayaa aaraamkaaTe khaataa hai baaG bin teregul hai.n nazro.n me.n daaG bin teremiT gayaa naqsh kaamraanii kaatujh se thaa lutf zindagaanii kaajo ki rahte hai.n tujh se duur sadaain ko kyaa hogaa zindagii kaa mazaaho gayaa yaa.n to do hii din me.n ye haaltujh bin ek ek pal hai ik ik saalsach bataa to sabhii ko bhaataa haiyaa ki mujh se hii teraa naataa haimai.n hii kartaa huu.n tujh pe jaan nisaaryaa ki duniyaa hai terii aashiq-e-zaarkyaa zamaane ko tuu aziiz nahii.nai vatan tuu to aisii chiiz nahii.njin o insaan kii hayaat hai tuumurG o maahii kii kaa.enaat hai tuuhai nabaataat kaa numuu tujh seruukh tujh bin hare nahii.n hotesab ko hotaa hai tujh se nashv-o-numaasab ko bhaatii hai terii aab-o-havaaterii ik musht-e-KHaak ke badleluu.n na hargiz agar bahisht milejaan jab tak na ho badan se judaako.ii dushman na ho vatan se havaa
magar mai.n aaj bahut duur jaane vaalaa huu.nbas aur chand nafas ko tumhaare paas huu.n mai.ntumhe.n jo paa ke KHushii hai tum us KHushii pe na jaa.otumhe.n ye ilm nahii.n kis qadar udaas huu.n mai.nkyaa tum ko KHabar is duniyaa kii kyaa tum ko pata is duniyaa kaama.asuum dilo.n ko dukh denaa sheva hai is duniyaa kaaGam apnaa nahii.n Gam is kaa hai kal jaane tumhaaraa kyaa hogaaparvaan cha.Dhogii tum kaise jiine kaa sahaaraa kyaa hogaaaa.o ki tarastii baa.nho.n me.n ik baar to tum ko bhar luu.n mai.nkal tum jo ba.Dii ho jaa.ogii jab tum ko shu.uur aa jaa.egaakitne hii savaalo.n kaa dhaaraa ehsaas se Takraa jaa.egaasochogii ki duniyaa tabqo.n me.n taqsiim hai kyuu.n ye pher hai kyaainsaan kaa insaa.n bairii hai ye zulm hai kyaa andher hai kyaaye nasl hai kyaa ye zaat hai kyaa ye nafrat kii ta.aliim hai kyuu.ndaulat to bahut hai mulko.n me.n daulat kii magar taqsiim hai kyuu.ntaariiKH bataa.egii tum ko insaa.n se kahaa.n par bhuul hu.iisarmaa.e ke haatho.n logo.n kii kis tarah mohabbat dhuul hu.iisadiyo.n se baraabar mehnat-kash haalaat se la.Dte aa.e hai.nchhaa.ii hai jo ab tak dhartii par us raat se la.Dte aa.e hai.nduniyaa se abhii tak miT na sakaa par raaj ijaara-daarii kaaGurbat hai vahii aflaas vahii ronaa hai vahii bekaarii kaamehnat kii abhii tak qadr nahii.n mehnat kaa abhii tak mol nahii.nDhuu.nDe nahii.n miltii.n vo aa.nkhe.n jo aa.nkhe.n ho kashkol nahii.nsochaa thaa ki kal is dhartii par ik rang nayaa chhaa jaa.egaainsaan hazaar barso.n kii mehnat kaa samar paa jaa.egaajiine kaa baraabar haq sab ko jab miltaa vo pal aa na sakaajis kal kii KHaatir jiite-jii marte rahe vo kal aa na sakaalekin ye la.Daa.ii KHatm nahii.n ye ja.ng na hogii band kabhiisau zaKHm bhii khaa kar maidaa.n se haTte nahii.n jur.at-ma.nd kabhii
mire sarkash taraane sun ke duniyaa ye samajhtii haiki shaayad mere dil ko ishq ke naGmo.n se nafrat haimujhe ha.ngaama-e-ja.ng-o-jadal me.n kaif miltaa haimirii fitrat ko KHuu.n-rezii ke afsaane se raGbat haimirii duniyaa me.n kuchh vaq.at nahii.n hai raqs o naGma kiimiraa mahbuub naGma shor-e-aaha.ng-e-baGaavat haimagar ai kaash dekhe.n vo mirii pur-soz raato.n komai.n jab taaro.n pe nazre.n gaa.D kar aa.nsuu bahaataa huu.ntasavvur ban ke bhuulii vaardaate.n yaad aatii hai.nto soz-o-dard kii shiddat se pahro.n tilmilaataa huu.nko.ii KHvaabo.n me.n KHvaabiida uma.ngo.n ko jagaatii haito apnii zindagii ko maut ke pahluu me.n paataa huu.nmai.n shaa.er huu.n mujhe fitrat ke nazzaaro.n se ulfat haimiraa dil dushman-e-naGma-saraa.ii ho nahii.n saktaamujhe insaaniyat kaa dard bhii baKHshaa hai qudarat nemiraa maqsad faqat sho.ala-navaa.ii ho nahii.n saktaajavaa.n huu.n mai.n javaanii laGzisho.n kaa ek tuufaa.n haimirii baato.n me.n ra.ng-e-paarsaa.ii ho nahii.n saktaamirii sarkash taraano.n kii haqiiqat hai to itnii haiki jab mai.n dekhtaa huu.n bhuuk ke maare kisaano.n koGariibo.n mufliso.n ko be-kaso.n ko be-sahaaro.n kosisaktii naazniino.n ko ta.Dapte nau-javaano.n kohukuumat ke tashaddud ko imaarat ke takabbur kokisii ke chiitha.Do.n ko aur shahanshaahii KHazaano.n koto dil taab-e-nashaat-e-bazm-e-ishrat laa nahii.n saktaamai.n chaahuu.n bhii to KHvaab-aavar taraane gaa nahii.n saktaa
maare hai.n mauj Daabar dariyaa dau.nD rahe hai.nmor-o-papiihe koyal kyaa kyaa ruma.nD rahe hai.njha.D kar rahii hai.n jha.Diyaa.n naale uma.nD rahe hai.nbarse hai mu.nh jha.Daa jha.D baadal ghumanD rahe hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books