aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "naafe"
nasha cha.Dhne lagaa hai aur cha.Dhnaa chaahiye bhii thaaabas kaa nirKH to is vaqt ba.Dhnaa chaahiye bhii thaaajab be-maajraa be-taur be-zaaraana haalat haivajuud ik vahm hai aur vahm hii shaayad haqiiqat haiGaraz jo haal thaa vo nafs ke baazaar hii kaa thaahai ''ze'' baazaar me.n to darmiyaa.n 'zaryuun' me.n avvalto ye ibraafaniiqii khelte harfo.n se the har palto ye 'zaryuun' jo hai kyaa ye aflaatuun hai ko.iiamaa.n 'zaryuun' hai 'zaryuun' vo ma.ajuun kyuu.n hotaahai.n ma.ajuune.n mufiid ''arvaah'' ko ma.ajuun yuu.n hotaasuno tafriiq kaise ho bhalaa ashKHaas o ashyaa me.nbahut janjaal hai.n par ho yahaa.n to ''yaa'' me.n aur ''yaa'' me.n
ko.ii af.ii haijo chandan ke pe.D kii KHushbuu se maKHmuur ho uThtaa haius kii shaaKHo.n us ke patto.n se lipaT karna jaane kyaa Dhuu.nDtaa rahtaa haijaise chaa.nd kii taak me.n har dam chakor rahtaa haijaise chaa.nd kii ghaat me.n ko.ii megh kaa kaalaa chor rahtaa haiaur phir ek pal aisaa bhii aataa haijab vo chaa.nd ko apnii baa.nho.n me.n bhar letaa haiduniyaa kii nigaaho.n se bachaa kar apnii aaGosh me.n Dhaa.np letaa haisafedii zulmat me.n hal ho jaatii hairaushnii taariikii me.n badal jaatii hailekinye taariikii hii aslan taKHliiq kaa mamba.a haiman kaa af.ii bhiirahnaa chaahtaa haitere gird-o-peshgo tirii zulf ko.ii shankar kii jaTaa bhii nahii.nphir kyuu.n ye af.iiterii gardan tere naaf-e-tan me.n hamaa.il honaa chaahtaa haibaar-baartere sandal badan kii KHushbuuko.ii amrit ko.ii somras bhii nahii.n,phir kyuu.n ye dushT raahuu ketuu kii tarahpiinaa chaahtaa hai use buu.nd buu.nd chaal-baazii setaariikii hii teraa muqaddar Thahraateraa maskan bhii taariik haiai zulqarnainzulmat hii to aab-e-hayaat kaa sar-chashma haiteraa sukuun teraa qaraar bhii taariik haitaariikii hii asl ma.nb-e-nuur haitaKHliiq-e-kaa.enaat kaa shu.uur haibaadal jab chhaTtaa haichaa.nd aur bhii damaktaa haimegh-duut ke kaale ghane halqe se nikal karchaa.nd aur bhii duudhiyaa pur-nuur ho jaataa haisandal ke shajar se lipaT ke saa.npaur bhii masruur ho jaataa hailaa-shu.uur se shu.uur kaa safar KHatm ho jaataa hai
daraKHt din raat kaa.npte hai.nparind kitne Dare hu.e hai.nfalak pe taare zamii.n pe jugnuugharo.n ke andar chhupe KHazaanekaTe phaTe sab badan puraaneqadiim chiknii taviil Dorii me.n ba.ndh ga.e hai.nkasiif Dar kii Galiiz muTThii me.n aa ga.e hai.nkahaa.n ga.e vo dilo.n ke bandhangulaab-ho.nTo.n kii narm qause.nzamii.n jo raakhii sii ban kesuuraj ke haath par muskuraa rahii thiikahaa.n ga.ii vo havaa jo pe.nge.n ba.Dhaa rahii thiivo sabz KHushbuu jo band naafegalii galii phir ke baa.nTtii thiivo haath thaamenahiif jismo.n kii ek lambii qataar jis me.nkahii.n bhii ko.ii ta.DaKH nahii.n thiiye kaun hai.n hamjo sahme pe.Do.nDare parindo.n larazte taaro.nse ba.ndh ga.e hai.nKHud apne saayo.n se Dar ga.e hai.n
dekho, ham sab ek safed ka.nval parTek lagaa.e tair rahe hai.naur mahsuus ye karte hai.n ki ham ne KHud konaaf-e-zamii.n se mazbuutii se baa.ndh rakhaa haiapnii har KHvaahish ko ham neqatl kiyaa haitaaki dil me.n ko.ii tamannaa sar na uThaane paa.ezehn me.n ko.ii nayaa KHayaal agar dar aataa haito ham is parKHud apne haatho.n chuunaa kar dete hai.nko.ii rauzantaaza havaa ke phaa.nkne ko gar khultaa haito kiicha.D se bhar dete hai.n
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
uTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqalb-e-maahaul me.n larzaa.n sharar-e-ja.ng hai.n aajhausle vaqt ke aur ziist ke yak-ra.ng hai.n aajaabgiino.n me.n tapaa.n valvala-e-sa.ng hai.n aajhusn aur ishq ham-aavaaz o ham-aaha.ng hai.n aajjis me.n jaltaa huu.n usii aag me.n jalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetere qadmo.n me.n hai firdaus-e-tamaddun kii bahaarterii nazro.n pe hai tahziib o taraqqii kaa madaarterii aaGosh hai gahvaara-e-nafs-o-kirdaartaa-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kaa hisaarkau.nd kar majlis-e-KHalvat se nikalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu ki be-jaan khilauno.n se bahal jaatii haitaptii saa.nso.n kii haraarat se pighal jaatii haipaa.nv jis raah me.n rakhtii hai phisal jaatii haiban ke siimaab har ik zarf me.n Dhal jaatii haiziist ke aahanii saa.nche me.n bhii Dhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhezindagii jehd me.n hai sabr ke qaabuu me.n nahii.nnabz-e-hastii kaa lahuu kaa.npte aa.nsuu me.n nahii.nu.Dne khulne me.n hai nik.hat KHam-e-gesuu me.n nahii.njannat ik aur hai jo mard ke pahluu me.n nahii.nus kii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhegoshe goshe me.n sulagtii hai chitaa tere liyefarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeqahr hai terii har ik narm adaa tere liyezahr hii zahr hai duniyaa kii havaa tere liyerut badal Daal agar phuulnaa phalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqadr ab tak tirii taariiKH ne jaanii hii nahii.ntujh me.n sho.ale bhii hai.n bas ashk-fishaanii hii nahii.ntuu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahii.nterii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahii.napnii taariiKH kaa unvaan badalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D kar rasm kaa but band-e-qadaamat se nikalzof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazaakat se nikalnafs ke khii.nche hu.e halqa-e-azmat se nikalqaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikalraah kaa KHaar hii kyaa gul bhii kuchalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D ye azm-shikan daGdaGa-e-pand bhii to.Dterii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.Dtauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.Dto.D paimaana-e-mardaan-e-KHirad-mand bhii to.Dban ke tuufaan chhalaknaa hai ubalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu falaatuun o arastuu hai tuu zahraa parvii.ntere qabze me.n hai garduu.n tirii Thokar me.n zamii.nhaa.n uThaa jald uThaa paa-e-muqaddar se jabii.nmai.n bhii rukne kaa nahii.n vaqt bhii rukne kaa nahii.nla.Dkha.Daa.egii kahaa.n tak ki sambhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhe
do paa.nv bane hariyaalii parek titlii baiThii Daalii parkuchh jagmag jugnuu jangal sekuchh jhuumte haathii baadal seye ek kahaanii nii.nd bhariiik taKHt pe baiThii ek pariikuchh gin gin karte parvaanedo nanhe nanhe dastaanekuchh u.Dte ra.ngii.n Gubaarebabbuu ke dupaTTe ke taareye chehra banno buu.Dhii kaaye Tuk.Daa maa.n kii chuu.Dii kaaye mujh se milne aa.e hai.nmai.n KHud na jinhe.n pahchaan sakuu.nkuchh itne dhu.ndle saa.e hai.n
jo zindagii ke na.e safar me.ntujhe kisii vaqt yaad aa.e.nto ek ik harf jii uThegaapahan ke anfaas kii qabaa.e.nudaas tanhaa.iyo.n ke lamho.nme.n naach uTThe.ngii ye apsaraa.e.nmujhe tire dard ke alaava bhiiaur dukh the ye maantaa huu.nhazaar Gam the jo zindagii kiitalaash me.n the ye jaantaa huu.nmujhe KHabar thii ki tere aa.nchal me.ndard kii ret chhaantaa huu.nmagar har ik baar tujh ko chhuu karye ret ra.ng-e-hinaa banii haiye zaKHm gulzaar ban ga.e hai.nye aah-e-sozaa.n ghaTaa banii haiye dard mauj-e-sabaa hu.aa haiye aag dil kii sadaa banii haiaur ab ye saarii mataa-e-hastiiye phuul ye zaKHm sab tire hai.nye dukh ke nauhe ye sukh ke naGmejo kal mire the vo ab tire hai.njo terii qurbat tirii judaa.iime.n kaT ga.e roz-o-shab tire hai.nvo teraa shaa.ir tiraa muGanniivo jis kii baate.n ajiib sii thii.nvo jis ke andaaz KHusravaana theaur adaa.e.n Gariib sii thii.nvo jis ke jiine kii KHvaahishe.n bhiiKHud us ke apne nasiib sii thii.nna puuchh is kaa ki vo divaanabahut dino.n kaa uja.D chukaa haivo kohkan to nahii.n thaa lekinka.Dii chaTaano.n se la.D chukaa haivo thak chukaa thaa aur us kaa teshausii ke siine me.n ga.D chukaa hai
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
pa.Dhne vaalo.n ke naamvo jo as.haab-e-tabal-o-alamke daro.n par kitaab aur qalamkaa taqaazaa liye haath phailaa.evo ma.asuum jo bhole-pan me.nvahaa.n apne nanhe charaaGo.n me.n lau kii laganle ke pahu.nche jahaa.nbaT rahe the ghaTaa-Top be-ant raato.n ke saa.e
har aan naf.a aur ToTe me.n kyuu.n martaa phirtaa hai ban banTak Gaafil dil me.n soch zaraa hai saath lagaa tere dushmankyaa lau.nDii baa.ndii daa.ii davaa kyaa bandaa chelaa nek-chalankyaa mandar masjid taal ku.aa.n kyaa khetii baa.Dii phuul chamansab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
vaqt ke agle shahr ke saare baashindesab din sab raate.njo tum se naa-vaaqif ho.ngevo kab merii baat sune.ngemujh se kahe.ngejaa.o apnii raah lo raahiiham ko kitne kaam pa.De hai.njo biitii so biit ga.iiab vo baate.n kyuu.n dohraate hoka.ndhe par ye jholii rakkhekyuu.n phirte ho kyaa paate homai.n be-chaaraik banjaaraaavaara phirte phirte jab thak jaa.uu.ngaatanhaa.ii ke Tiile par jaa kar baiThuu.ngaaphir jaise pahchaan ke mujh koik banjaara jaan ke mujh kovaqt ke agle shahr ke saare nanhe-munne bhole lamhena.nge paa.nvdau.De dau.De bhaage bhaage aa jaa.e.ngemujh ko gher ke baiThe.ngeaur mujh se kahe.ngekyuu.n banjaaretum to vaqt ke kitne shahro.n se guzre houn shahro.n kii ko.ii kahaanii hame.n sunaa.oun se kahuu.ngaananhe lamho!ek thii raaniisun ke kahaaniisaare nanhe lamheGamgii.n ho kar mujh se ye puuchhe.ngetum kyuu.n in ke shahr na aa.ii.nlekin un ko bahlaa luu.ngaaun se kahuu.ngaaye mat puuchhoaa.nkhe.n muu.ndoaur ye sochotum hotii.n to kaisaa hotaatum ye kahtii.ntum vo kahtii.ntum is baat pe hairaa.n hotii.ntum us baat pe kitnii ha.nstii.ntum hotii.n to aisaa hotaatum hotii.n to vaisaa hotaa
dayaar-e-sharq kii aabaadiyo.n ke uu.nche Tiilo.n parkabhii aamo.n ke baaGo.n me.n kabhii kheto.n kii me.nDo.n parkabhii jhiilo.n ke paanii me.n kabhii bastii kii galiyo.n me.nkabhii kuchh niim uryaa.n kam-sino.n kii ra.ng-raliyo.n me.nsahar-dam jhuTpuTe ke vaqt raato.n ke a.ndhere me.nkabhii melo.n me.n naaTak-Toliyo.n me.n un ke Dere me.nta.aaqub me.n kabhii gum titliyo.n ke suunii raaho.n me.nkabhii nanhe parindo.n kii nahufta KHvaab-gaaho.n me.nbarhana paa.nv jaltii ret yaKH-basta havaa.o.n me.ngurezaa.n bastiyo.n se madraso.n se KHaanqaaho.n me.nkabhii ham-sin hasiino.n me.n bahut KHush-kaam o dil-raftakabhii pechaa.n baguula saa.n kabhii jyuu.n chashm-e-KHuu.n-bastahavaa me.n tairtaa KHvaabo.n me.n baadal kii tarah u.Dtaaparindo.n kii tarah shaaKHo.n me.n chhup kar jhuultaa mu.Dtaamujhe ik la.Dkaa aavaara-manush aazaad sailaaniimujhe ik la.Dkaa jaise tund chashmo.n kaa ravaa.n paaniinazar aataa hai yuu.n lagtaa hai jaise ye balaa-e-jaa.nmiraa ham-zaad hai har gaam par har mo.D par jaulaa.nise ham-raah paataa huu.n ye saa.e kii tarah meraata.aaqub kar rahaa hai jaise mai.n mafruur mulzim huu.nye mujh se puuchhtaa hai aKHtar-ul-iimaan tum hii ho
farsh par leT ga.ii hai tuu kabhii ruuTh ke mujh seaur kabhii farsh se mujh ko bhii uThaayaa hai manaa kartaash ke patto.n pe la.Dtii hai kabhii khel me.n mujh seaur kabhii la.Dtii bhii aise hai ki bas khel rahii haiaur aaGosh me.n nanhe ko
huzuur aap aur nisf shab mire makaan parhuzuur kii tamaam-tar balaa.e.n merii jaan parhuzuur KHairiyat to hai huzuur kyuu.n KHamosh hai.nhuzuur boliye ki vasvase vabaal-e-hosh hai.nhuzuur ho.nT is tarah se kapkapaa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap har qadam pe la.D-kh.Daa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap kii nazar me.n nii.nd kaa KHumaar haihuzuur shaayad aaj dushmano.n ko kuchh buKHaar haihuzuur muskuraa rahe hai.n merii baat baat parhuzuur ko na jaane kyaa gumaa.n hai merii zaat parhuzuur mu.nh se ba rahii hai piik saaf kiijiyehuzuur aap to nashe me.n hai.n mu.aaf kiijiyehuzuur kyaa kahaa mai.n aap ko bahut aziiz huu.nhuzuur kaa karam hai varna mai.n bhii ko.ii chiiz huu.nhuzuur chho.Diye hame.n hazaar aur rog hai.nhuzuur jaa.iye ki ham bahut Gariib log hai.n
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
ye shaaKH-saar ke jhuulo.n me.n pe.ng pa.Dte hu.eye laakho.n pattiyo.n kaa naachnaa ye raqs-e-nabaatye be-KHudii-e-musarrat ye vaalihaana raqsye taal-sam ye chhamaa-chham ki kaan bajte hai.nhavaa ke dosh pe kuchh uudii uudii shaklo.n kiinashe me.n chuur sii parchhaa.iyaa.n thiraktii hu.iiufuq pe Duubte din kii jhapaktii hai.n aa.nkhe.nKHamosh soz-e-daruu.n se sulag rahii hai ye shaam!mire makaan ke aage hai ek chau.Daa sahn vasii.akabhii vo ha.nstaa nazar aataa hai kabhii vo udaasisii ke biich me.n hai ek pe.D piipal kaasunaa hai mai.n ne buzurgo.n se ye ki umr us kiijo kuchh na hogii to hogii qariib chhiyaanve saalchhi.Dii thii hind me.n jab pahlii ja.ng-e-aazaadiijise dabaane ke baa'd us ko Gadr kahne lageye ahl-e-hind bhii hote hai.n kis qadar ma.asuumvo daar-o-giir vo aazaadii-e-vatan kii ja.ngvatan se thii ki Ganiim-e-vatan se Gaddaariibiphar ga.e the hamaare vatan ke piir o javaa.ndayaar-e-hind me.n ran pa.D gayaa thaa chaar tarafusii zamaane me.n kahte hai.n mere daadaa nejab arz-e-hind si.nchii KHuun se ''sapuuto.n'' kemiyaan-e-sahn lagaayaa thaa laa ke ik paudaajo aab-o-aatish-o-KHaak-o-havaa se paltaa hu.aaKHud apne qad se ba-josh-e-numuu nikaltaa hu.aafusuun-e-ruuh banaatii rago.n me.n chaltaa hu.aanigaah-e-shauq ke saa.ncho.n me.n roz Dhaltaa hu.aasunaa hai raaviyo.n se diidanii thii us kii uThaanhar ik ke dekhte hii dekhte cha.Dhaa parvaanvahii hai aaj ye chhitnaar pe.D piipal kaavo Tahniyo.n ke kamanDal liye jaTaadhaariizamaana dekhe hu.e hai ye pe.D bachpan serahii hai is ke liye daaKHlii kashish mujh me.nrahaa huu.n dekhtaa chup-chaap der tak us komai.n kho gayaa huu.n ka.ii baar is nazaare me.nvo us kii gahrii ja.De.n thii.n ki zindagii kii ja.De.n?pas-e-sukuun-e-shajar ko.ii dil dha.Daktaa thaamai.n dekhtaa thaa use hastii-e-bashar kii tarahkabhii udaas kabhii shaadmaa.n kabhii gambhiirfazaa kaa surma.ii rang aur ho chalaa gahraaghulaa ghulaa saa falak hai dhu.aa.n dhu.aa.n sii hai shaamhai jhuTpuTaa ki ko.ii azhdahaa hai maa.il-e-KHvaabsukuut-e-shaam me.n darmaandagii kaa aalam hairukii rukii sii kisii soch me.n hai mauj-e-sabaa
zindagii kii saa.ate.n raushan thii.n sham.o.n kii tarahjis tarah se shaam guzre jugnu.o.n ke shahr me.njis tarah mahtaab kii vaadii me.n do saa.e ravaa.njis tarah ghu.nghruu chhanak uTThe.n nashe kii lahr me.n
ai ishq kahii.n le chal is paap kii bastii senafrat-gah-e-aalam se la.anat-gah-e-hastii sein nafs-parasto.n se is nafs-parastii se
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books