aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "niich"
chho.D ke jhuuTii zaate.n-paate.nsab se siikho achchhii baate.napnaa kisii se bair na samjhojag me.n kisii ko Gair na samjhoaap pa.Dho auro.n ko pa.Dhaa.oghar ghar gyaan kii jot jagaa.onavjiivan kii aas tumhii.n hobantaa hu.aa itihaas tumhii.n hojitnaa gahraa a.ndhiyaaraa houtne uu.nche diip ubhaaroye sansaar jo ham ne sajaayaaye sansaar jo tum ne paayaais sansaar me.n jhuuT bahut haizulm bahut hai luuT bahut haizulm ke aage sar na jhukaanaahar ik jhuuT se Takraa jaanaais sansaar kaa rang badalnaauu.nch aur niich kaa Dhang badalnaasaaraa jag hai desh tumhaaraasaare jag kaa ruup nikhaarobhaarat-maa.n kii aa.nkh ke taaro
mai.n us se nafrat kartaa huu.n vo mujh ko niich samajhtii hailekin jab ham milte hai.n tanhaa.ii me.n taariikii me.ndono.n aise ho jaate hai.n jaise aaGushta miTTii hai.nnafrat zam ho jaatii hai ik sannaaTaa rah jaataa haisannaaTaa taKHliiq-e-zamii.n ke baa'd jo har-suu taarii thaaham dono.n TuuTte rahte hai.n jaise ham kachchii shaaKHe.n hai.nKHvaabo.n kaa zikr nahii.n karte dono.n ne kabhii jo dekhte theKHushiyo.n kaa zikr nahii.n karte jo kab kii supurd-e-KHaak hu.ii.nbas dono.n TuuTte rahte hai.nmai.n baada-noshii par maa.il huu.n, vo cigarette piitii rahtii haiik sannaaTe kii chaadar me.n ham dono.n lipTe jaate hai.nham dono.n TuuTte rahte hai.n jaise ham kachchii shaaKHe.n hai.n!
kiil sii dahliiz me.n paivast ye kaisii chamak haidhuul ajraam-e-falak kiigutthiyaa.n mauhuum sii rishto.n kii ye kaisii hai.nsuljhaana nahii.n zinhaar varnahuu kaa aalam hai namuudaan kiisulajh jaane ke baadsabza-e-naurasta ke parde me.n saare uu.nch niichpaaTte rahne ke ai aanandbahte paaniyo.n kii aatmaakis ke hai.n ye ustuKHvaa.nmalbe me.n Dhalte ustuKHvaa.nKHaak-e-uftaada kii aglii aur pichhliihar parat kebe-zabaa.n ta.amiir-e-kaarmehrbaa.n saa ik tabassumaur shaa.ista ishaaraa ghar kii jaanibjaise ghar ke baam-o-dar par ho navishtahar savaal-e-naa-shakebaa kaa javaabphir udhar dekhaa to sab kuchhdasht-e-iKHfaa mai.n thaa adiimGaar kuTiyaa.e.n machaane.nghar gharau.ndesaare aasaar-o-mazaahirguu.nj me.n apnii samo karle u.Dii baa.ng chiil
tumhaarii KHaamosh sulagtii saa.nso.n me.napne vajuud kaa ehsaas Dhuu.nDhtaa rahtaa huu.nmai.n aaj-kalvo saa.nse.n jin kii har uu.nch-niich me.nmere naam kaa aaha.ng thaavo saa.nse.n jo tumhaare bechain dha.Dakte dilse mutma.inmere naam kaa tavaaf kartii thii.njin kii har ik aahaT me.n meraa naam guu.njtaa thaaaaj un saa.nso.n me.nvo jo merii saa.nse.n thii.n naun me.nmujhe apne vajuud kaa ehsaas nahii.n mil rahaakyaa mai.n adam ho chukaa huu.nho chukaa huu.n
ye uu.nch-niich ye nafrat ye jehl ye iflaaszamii.n pe kis ne lagaa.e ye zahr ke paudeki jin ke saa.e me.n insaaniyat sisaktii haiki jin kii chhaa.nv me.n hote hai.n maut ke saude
mai.n tab jaa kar kahii.n samjhaaki tum ne kuchh nahii.n samjhaamai.n qissa muKHtasar kar kezaraa niichii nazar kar keye kahtaa huu.n abhii tum semohabbat ho ga.ii tum se
jii me.n aataa hai ye murda chaa.nd taare noch luu.nis kinaare noch luu.n aur us kinaare noch luu.nek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luu.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
jo zindagii ke na.e safar me.ntujhe kisii vaqt yaad aa.e.nto ek ik harf jii uThegaapahan ke anfaas kii qabaa.e.nudaas tanhaa.iyo.n ke lamho.nme.n naach uTThe.ngii ye apsaraa.e.nmujhe tire dard ke alaava bhiiaur dukh the ye maantaa huu.nhazaar Gam the jo zindagii kiitalaash me.n the ye jaantaa huu.nmujhe KHabar thii ki tere aa.nchal me.ndard kii ret chhaantaa huu.nmagar har ik baar tujh ko chhuu karye ret ra.ng-e-hinaa banii haiye zaKHm gulzaar ban ga.e hai.nye aah-e-sozaa.n ghaTaa banii haiye dard mauj-e-sabaa hu.aa haiye aag dil kii sadaa banii haiaur ab ye saarii mataa-e-hastiiye phuul ye zaKHm sab tire hai.nye dukh ke nauhe ye sukh ke naGmejo kal mire the vo ab tire hai.njo terii qurbat tirii judaa.iime.n kaT ga.e roz-o-shab tire hai.nvo teraa shaa.ir tiraa muGanniivo jis kii baate.n ajiib sii thii.nvo jis ke andaaz KHusravaana theaur adaa.e.n Gariib sii thii.nvo jis ke jiine kii KHvaahishe.n bhiiKHud us ke apne nasiib sii thii.nna puuchh is kaa ki vo divaanabahut dino.n kaa uja.D chukaa haivo kohkan to nahii.n thaa lekinka.Dii chaTaano.n se la.D chukaa haivo thak chukaa thaa aur us kaa teshausii ke siine me.n ga.D chukaa hai
ta.amiir ke raushan chehre par taKHriib kaa baadal phail gayaahar gaa.nv me.n vahshat naach uThii har shahr me.n jangal phail gayaa
sab kaaT dobismil paudo.n kobe-aab sisakte mat chho.Dosab noch lobekal phuulo.n koshaaKHo.n pe bilakte mat chho.Do
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
hijaab-e-fitna-parvar ab uThaa letii to achchhaa thaaKHud apne husn ko pardaa banaa letii to achchhaa thaatirii niichii nazar KHud terii ismat kii muhaafiz haituu is nashtar kii tezii aazmaa letii to achchhaa thaatirii chiin-e-jabii.n KHud ik sazaa qaanuun-e-fitrat me.nisii shamshiir se kaar-e-sazaa letii to achchhaa thaaye teraa zard ruKH ye KHushk lab ye vahm ye vahshattuu apne sar se ye baadal haTaa letii to achchhaa thaadil-e-majruuh ko majruuh-tar karne se kyaa haasiltuu aa.nsuu po.nchh kar ab muskuraa letii to achchhaa thaatire zer-e-nagii.n ghar ho mahal ho qasr ho kuchh homai.n ye kahtaa huu.n tuu arz-o-samaa letii to achchhaa thaaagar KHalvat me.n tuu ne sar uThaayaa bhii to kyaa haasilbharii mahfil me.n aa kar sar jhukaa letii to achchhaa thaatire maathe kaa Tiikaa mard kii qismat kaa taaraa haiagar tuu saaz-e-bedaarii uThaa letii to achchhaa thaaayaa.n hai.n dushmano.n ke KHanjaro.n par KHuun ke dhabbeunhe.n tuu ra.ng-e-aariz se milaa letii to achchhaa thaasanaane.n khii.nch lii hai.n sar-phire baaGii javaano.n netuu saamaan-e-jaraahat ab uThaa letii to achchhaa thaatire maathe pe ye aa.nchal bahut hii KHuub hai lekintuu is aa.nchal se ik parcham banaa letii to achchhaa thaa
ai anfus o aafaaq me.n paidaa tirii aayaathaq ye hai ki hai zinda o paa.inda tirii zaatmai.n kaise samajhtaa ki tuu hai yaa ki nahii.n haihar dam mutaGayyar the KHirad ke nazriyaatmahram nahii.n fitrat ke suruud-e-azlii sebiinaa-e-kavaakib ho ki daanaa-e-nabaataataaj aa.nkh ne dekhaa to vo 'aalam hu.aa saabitmai.n jis ko samajhtaa thaa kaliisaa ke KHuraafaatham band-e-shab-o-roz me.n jak.De hu.e bandetuu KHaaliq-e-aasaar-o-nigaaranda-e-aanaatik baat agar mujh ko ijaazat ho to puuchhuu.nhal kar na sake jis ko hakiimo.n ke maqaalaatjab tak mai.n jiyaa KHema-e-aflaak ke niichekaa.nTe kii tarah dil me.n khaTaktii rahii ye baatguftaar ke usluub pe qaabuu nahii.n rahtaajab ruuh ke andar mutalaatum ho.n KHayaalaatvo kaun saa aadam hai ki tuu jis kaa hai maa'buudvo aadam-e-KHaakii ki jo hai zer-e-samaavaatmashriq ke KHudaavand safedaan-e-ra.ngiimaGrib ke KHudaavand daraKHshanda filizzaateurope me.n bahut raushni-e-ilm-o-hunar haihaq ye hai ki be-chashma-e-haivaa.n hai ye zulmaatraa.naa.i-e-taamiir me.n raunaq me.n safaa me.ngirjo.n se kahii.n ba.Dh ke hai.n banko.n kii imaaraatzaahir me.n tijaarat hai haqiiqat me.n ju.aa haisuud ek kaa laakho.n ke liye marg-e-mufaajaatye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukuumatpiite hai.n lahuu dete hai.n taaliim-e-musaavaatbekaarii o 'uryaanii o mai-KHvaarii o iflaaskyaa kam hai.n fara.ngii madniyat kii futuuhaatvo qaum ki faizaan-e-samaavii se ho mahruumhad us ke kamaalaat kii hai barq o buKHaaraathai dil ke liye maut mashiino.n kii hukuumatehsaas-e-muravvat ko kuchal dete hai.n aalaataasaar to kuchh kuchh nazar aate hai.n ki aaKHirtadbiir ko taqdiir ke shaatir ne kiyaa maatmai-KHaana kii buniyaad me.n aayaa hai tazalzulbaiThe hai.n isii fikr me.n piiraan-e-KHaraabaatchehro.n pe jo surKHii nazar aatii hai sar-e-shaamyaa Gaaza hai yaa saaGar o miinaa kii karaamaattuu qaadir o 'aadil hai magar tere jahaa.n me.nhai.n talKH bahut banda-e-mazduur ke auqaatkab Duubegaa sarmaaya-parastii kaa safiinaduniyaa hai tirii muntazir-e-roz-e-mukaafaat
kuchh vo bhii hai.n jo la.D bhi.D karye parde noch giraate hai.nhastii ke uThaa.ii-giiro.n kiihar chaal uljhaa.e jaate hai.n
mahiin lafzo.n me.n ik jagah yuu.n likhaa hai is ne:''tumhe.n bhii to yaad hogii vo raat sardiyo.n kiijab au.ndhii kashtii ke niiche ham nebadan ke chuulhe jalaa ke taape the, din kiyaa thaaye pattharo.n kaa bichhaunaa hargiz na saKHt lagtaa jo tum bhii hotii.ntumhe.n bichhaataa bhii o.Dhtaa bhii''
tum bilkul ham jaise nikleab tak kahaa.n chhupe the bhaa.iivo muurakhtaa vo ghaama.D-panjis me.n ham ne sadii ga.nvaa.iiaaKHir pahu.nchii dvaar tuhaareare badhaa.ii bahut badhaa.iipret dharm kaa naach rahaa haiqaa.em hinduu raaj karogesaare ulTe kaaj karogeapnaa chaman taaraaj karogetum bhii baiThe karoge sochaapuurii hai vaisii tayyaariikaun hai hinduu kaun nahii.n haitum bhii karoge fatvaa jaariihogaa kaThin yahaa.n bhii jiinaadaa.nto.n aa jaa.egaa pasiinaajaisii-taisii kaTaa karegiiyahaa.n bhii sab kii saa.ns ghuTegiibhaa.D me.n jaa.e shikshaa-vikshaaab jaahil-pan ke gun gaanaaaage ga.Dhaa hai ye mat dekhovaapas laa.o gayaa zamaanamashq karo tum aa jaa.egaaulTe paa.nv chalte jaanaadhyaan na duujaa man me.n aa.ebas piichhe hii nazar jamaanaaek jaap saa karte jaa.obaaram-baar yahii doharaa.okaisaa viir mahaan thaa bhaaratkitnaa 'aalii-shaan thaa bhaaratphir tum log pahu.nch jaa.ogebas parlok pahu.nch jaa.ogeham to hai.n pahle se vahaa.n partum bhii samay nikaalte rahnaaab jis nark me.n jaa.o vahaa.n sechiTThii-viTThii Daalte rahnaa
raat bhar diida-e-namnaak me.n lahraate rahesaa.ns kii tarah se aap aate rahe jaate raheKHush the ham apnii tamannaa.o.n kaa KHvaab aa.egaaapnaa armaan bar-afganda-naqaab aa.egaanazre.n niichii kiye sharmaa.e hu.e aa.egaakaakule.n chehre pe bikhraa.e hu.e aa.egaaaa ga.ii thii dil-e-muztar me.n shakebaa.ii siibaj rahii thii mire Gam-KHaane me.n shahnaa.ii siipatiyaa.n kha.Dkii.n to samjhaa ki lo aap aa hii ga.esajde masruur ki ma.abuud ko ham paa hii ga.eshab ke jaage hu.e taaro.n ko bhii nii.nd aane lagiiaap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagiisub.h ne sej se uThte hu.e lii a.ng.Daa.iio sabaa! tuu bhii jo aa.ii to akelii aa.iimere mahbuub mirii nii.nd u.Daane vaalemere masjuud mirii ruuh pe chhaane vaaleaa bhii jaa, taaki mire sajdo.n kaa armaa.n nikleaa bhii jaa, ki tire qadmo.n pe mirii jaa.n nikle
tum mujh ko gu.Diyaa kahte hoThiik hii kahte ho!khelne vaale sab haatho.n ko mai.n gu.Diyaa hii lagtii huu.njo pahnaa do mujh pe sajegaameraa ko.ii rang nahii.njis bachche ke haath thamaa domerii kisii se ja.ng nahii.nsochtii jaagtii aa.nhke.n meriijab chaahe biinaa.ii le lokuuk bharo aur baate.n sun loyaa merii goyaa.ii le lomaa.ng bharo sinduur lagaa.opyaar karo aa.ankho.n me.n basaa.oaur phir jab dil bhar jaa.e todil se uThaa ke taaq pe rakh dotum mujh ko gu.Diyaa kahte hoThiik hii kahte ho!
apne dil ko dono.n aalam se uThaa saktaa huu.n mai.nkyaa samajhtii ho ki tum ko bhii bhulaa saktaa huu.n mai.nkaun tum se chhiin saktaa hai mujhe kyaa vahm haiKHud zuleKHaa se bhii to daaman bachaa saktaa huu.n mai.ndil me.n tum paidaa karo pahle mirii sii jur.ate.naur phir dekho ki tum ko kyaa banaa saktaa huu.n mai.ndafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz koaur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n me.nme.n qasam khaataa huu.n apne nutq ke e.ajaaz kiitum ko bazm-e-maah-o-anjum me.n biThaa saktaa huu.n mai.nsar pe rakh saktaa huu.n taaj-e-kishvar-e-nuuraaniyaa.nmahfil-e-KHurshiid ko niichaa dikhaa saktaa huu.n mai.nmai.n bahut sarkash huu.n lekin ik tumhaare vaastedil bujhaa saktaa huu.n mai.n aa.nkhe.n bachaa saktaa huu.n mai.ntum agar ruuTho to ik tum ko manaane ke liyegiit gaa saktaa huu.n mai.n aa.nsuu bahaa saktaa huu.n mai.njazb hai dil me.n mire dono.n jahaa.n kaa soz-o-saazbarbat-e-fitrat kaa har naGma sunaa saktaa huu.n mai.ntum samajhtii ho ki hai.n parde bahut se darmiyaa.nmai.n ye kahtaa huu.n ki har parda uThaa saktaa huu.n mai.ntum ki ban saktii ho har mahfil me.n firdaus-e-nazarmujh ko ye da.avaa ki har mahfil pe chhaa saktaa huu.n mai.naa.o mil kar inqalaab-e-taaza-tar paidaa kare.ndahr par is tarah chhaa jaa.e.n ki sab dekhaa kare.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books