aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "o.dhe"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
us ne itnii kitaabe.n chaaT Daalii.nki us kii aurat ke pair kaaGaz kii tarah ho ga.evo roz kaaGaz pe apnaa chehra likhtaa aur ganda hotaaus kii aurat jo KHaamoshii kaa.Dhe baiThii thiikaaGazo.n ke bhuu.nkne par sartre ke paas ga.iitum rambo aur freud se bhii mil aa.e ho kyaasaifuu merii saifuu miiraabaa.ii kii tarah mat bolomai.n samajh ga.ii ab us kii aa.nkhe.nkeats kii aa.nkhe.n hu.ii jaatii hai.nmai.n jo sohnii kaa gha.Daa uThaa.e hu.e thiiapnaa naam lailaa bataa chukii thiimai.n ne kahaalailaa majme kii baate.n mere saamne mat dohraayaa karotanhaa.ii bhii ko.ii chiiz hotii haishakespeare ke Daraamo.n se chun chun kar us ne Thumke lagaa.emujhe tanhaa dekh karsaartar freud ke kamre me.n chalaa gayaavo apnii theory se gir gir pa.Dtaamai.n samajh ga.ii us kii kitaab kitnii hailekin bahr haal sartre thaaaur kal ko majme me.n bhii milnaa thaamai.n ne bhii.D kii taraf ishaara kiyaa to bolaaitne saare saatro.n se mil kar tumhe.n kyaa karnaa haiagar ziyaada zid kartii ho to apne vaaris 'shaah'hiir sayyaal ke kamro.n me.n chale chalte hai.nsartre se isti.aara milte hiimai.n ne ek tanqiidii nashist rakkhiimai.n ne aadhaa kamra bhii ba.Dii mushkil se haasil kiyaa thaaso pahle aadhe freud ko bulaayaaphir aadhe rambo ko bulaayaaaadhii aadhii baat puuchhnii shuruu.a kiijohn Donne kyaa kar rahaa haisecond hand shaa.iro.n se najaat chaahtaa haichoro.n se saKHt naalaa.n haidaa.nte is vaqt kahaa.n haivo jahannam se bhii faraar ho chukaa haius ko shub.ha thaavo KHvaaja-saraa.o.n se ziyaada der muqaabla nahii.n kar saktaaapne pas-manzar me.nek kuttaa musalsal bhuu.nkne ke liye chho.D gayaa haiis kutte kii KHaslat kyaa haibiyatarche kii yaad me.n bhuu.nk rahaa haitumhaaraa tasavvur kyaa kahtaa haisaatro.n kii tasavvur ke lihaaz seab us kaa ruKH go.eTe ke ghar kii taraf ho gayaa hai
kitne sharaab pii kar ho mast chhak rahe hai.nmai kii gulaabii aage pyaale chhalak rahe hai.nhotaa hai naach ghar ghar ghu.nghruu jhanak rahe hai.npa.Dtaa hai me.nh jha.Daa-jha.D table kha.Dak rahe hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
mirii dahliiz par baiThii hu.ii zaanuu pe sar rakkheye shab afsos karne aa.ii hai ki mere ghar peaaj hii jo mar gayaa hai dinvo din ham-zaad thaa us kaavo aa.ii hai ki mere ghar me.n is ko dafn kar keik diyaa dahliiz par rakh karnishaanii chho.D de ki mahv hai ye qabris me.n duusraa aa kar nahii.n leTemai.n shab ko kaise batlaa.uu.nbahut se din mire aa.ngan me.n yuu.n aadhe adhuure sekafan o.Dhe pa.De hai.n kitne saalo.n sejinhe.n mai.n aaj tak dafnaa nahii.n paayaa
tum apne gharmai.n apne gharsaare darvaaze band kiyebaiThe hai.n ka.Dve ghuu.nT piyeo.Dhe hai.n Gusse kii chaadar
chhuTpuTe ke Gurfe me.nlamhe ab bhii milte hai.nsub.h ke dhundalke me.nphuul ab bhii khilte hai.nab bhii kohsaaro.n parsar-kashiida hariyaaliipattharo.n kii diivaare.nto.D kar nikaltii haiab bhii aab-zaaro.n parkashtiyo.n kii suurat me.nziist kii tavaanaa.iizaaviye badaltii haiab bhii ghaas ke maidaa.nshabnamii sitaaro.n semere KHaak-daa.n par bhiiaasmaa.n sajaate hai.nab bhii khet gandum ketez dhuup me.n tap karis Gariib dhartii kozar-fishaa.n banaate hai.nsaaye ab bhii chalte hai.nsuuraj ab bhii Dhaltaa haisub.he.n ab bhii raushan hai.nraate.n ab bhii kaalii hai.nzehn ab bhii chaTyal hai.nruuhe.n ab bhii banjar hai.njism ab bhii na.nge hai.nhaath ab bhii KHaalii hai.nab bhii sabz faslo.n me.nzindagii ke rakhvaalezard zard chehro.n parKHaak o.Dhe rahte hai.nab bhii un kii taqdiire.nmunqalib nahii.n hotii.nmunqalib nahii.n ho.ngiikahne vaale kahte hai.ngardisho.n kii raanaa.iiaam hii nahii.n hotiiapne roz-e-avval kiishaam hii nahii.n hotii
duur sunsaan se saahil ke qariibek javaa.n pe.D ke paasumr ke dard liye, vaqt kaa maTiyaalaa dushaala o.Dhebuu.Dhaa saa paam kaa ik pe.D, kha.Daa hai kab sesaik.Do.n saalo.n kii tanhaa.ii ke ba.adjhuk ke kahtaa hai javaa.n pe.D se ''yaar!sard sannaaTaa hai!tanhaa.ii hai! kuchh baat karo!''
jab maah aghan kaa Dhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur ha.ns ha.ns puus sambhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiidin jaldii jaldii chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur paalaa barf pighaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiichillaa Gam Tho.nk uchhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitan Thokar maar pichhaa.Daa ho aur dil se hotii ho kushtii siithar-thar kaa zor ukhaa.Daa ho bajtii ho sab kii battiisiiho shor phaphuu huu-huu kaa aur dhuum ho sii-sii sii-sii kiikalle pe kallaa lag lag kar chaltii ho mu.nh me.n chakkii siihar daa.nt chane se daltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n me.n sardii ne aa baa.ndh diyaa ho ye chakkarjo har dam kap-kap hotii ho har aan ka.Daaka.D aur thar-tharpaiThii ho sardii rag rag me.n aur barf pighaltaa ho pattharjha.D-baa.ndh mahaavaT pa.Dtii ho aur tis par lahre.n le le karsannaaTaa baav kaa chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar chaar taraf se sardii ho aur sehn khulaa ho koThe kaaaur tan me.n niimaa shabnam kaa ho jis me.n KHas kaa itr lagaachhi.Dkaav hu.aa ho paanii kaa aur KHuub pala.ng bhii ho bhiigaahaatho.n me.n piyaala sharbat kaa ho aage ik farraash kha.Daafarraash bhii pa.nkhaa jhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiijab aisii sardii ho ai dil tab roz maze kii ghaate.n ho.nkuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish kii lambii raate.n ho.nmahbuub gale se lipTaa ho aur kuhnii, chuTkii, laate.n ho.nkuchh bose milte jaate ho.n kuchh miiThii miiThii baate.n ho.ndil aish-o-tarab me.n paltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiho farsh bichhaa Gaaliicho.n kaa aur parde chhoTe ho.n aa karik garm a.ngiiThii jaltii ho aur sham.a ho raushan aur tis parvo dilbar, shoKH, parii, chanchal, hai dhuum machii jis kii ghar gharresham kii narm nihaalii par sau naaz-o-adaa se ha.ns ha.ns karpahluu ke biich machaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitarkiib banii ho majlis kii aur kaafir naachne vaale ho.nmu.nh un ke chaa.nd ke Tuk.De ho.n tan un ke ruu.ii ke gaale ho.nposhaake.n naazuk ra.ngo.n kii aur o.Dhe shaal do-shaale ho.nkuchh naach aur rang kii dhuume.n ho.n aish me.n ham matvaale ho.npiyaale par pyaala chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n ho KHalvat kaa aur aish kii sab tayyaarii hovo jaan ki jis se jii Gash ho sau naaz se aa jhankaarii hodil dekh 'naziir' us kii chhab ko har aan adaa par vaarii hosab aish muhayyaa ho aa kar jis jis armaan kii baaii hojab sab armaan nikaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kii
chalo tiisvaa.n saal bhii biit gayaachalo mai chalkaa.e.n jashn kare.nchalo sar ko jhukaa.e.n sajde me.nis umr-e-faromaaya kaa safaraadhe se ziyaada KHatm hu.aa
dukh kaa shab KHuu.n roz adhuuraa rah jaataa haiaur shanaaKHt kaa lamha biittaa jaataa haimai.n aur meraa shahr-e-mohabbattaariikii kii chaadar o.Dheraushnii kii aahaT par kaan lagaa.e kab se baiThe hai.ngho.Do.n kii Taapo.n ko sunte rahte hai.nhad-e-samaa.at se aage jaane vaalii aavaazo.n ke resham seapnii ruu-e-siyaah pe taare kaa.Dhte rahte hai.na.ngushtaa ne ik ik kar ke chhalnii hone ko aa.eab baarii a.ngusht-e-shahaadat kii aane vaalii haisub.h se pahle vo kaTne se bach jaa.e to!
raat o.Dhe hu.e aa.ii hai faqiiro.n kaa libaaschaa.nd kashkol-e-gadaa.ii kii tarah naadim haiek ik saa.ns kisii naam ke saath aatii haiek ik lamha-e-aazaad nafas mujrim hai
kabhii haatho.n se u.Daataa huu.n, kabhii maartaa huu.nvaqt be-ra.ng se kii.De kii tarahdast-o-baazuu pe mirere.ngtaa rahtaa hai din bharraat bosiida razaa.ii kii tarah o.Dhe hu.eaur naaKHuuno.n se taaro.n ko khurachte rahnaachaa.nd bhii ek phaphuu.ndii lagii roTii kii tarah sar pe Ta.ngaa rahtaa haikaise kaaTe ko.ii biimaarii me.n bekaarii ke din?ulTii laTkii hu.ii botal se utartii hu.ii phiikii buu.nde.n...dast-o-baazuu me.n mirere.ngtii rahtii hai.n din bharek be-ra.ng se kii.De kii tarah!
KHudaayaa ab ke ye kaisii bahaar aa.ii''KHudaa se kyaa gila bhaa.iiKHudaa to KHair kis ne us kaa aks-e-naqsh-e-paa dekhaana dekhaa to bhii dekhaa aur dekhaa bhii to kyaa dekhaamagar tauba mirii tauba ye insaa.n bhii to aaKHir ik tamaashaa haiye jis ne pichhlii Taa.ngo.n par kha.Daa honaa ba.De jatano.n se siikhaa haiabhii kal tak jab us ke abruu.o.n tak muu-e-pechaa.n theabhii kal tak jab us ke ho.nT mahruum-e-zanaKHdaa.n theridaa-e-sad-zamaa.n o.Dhe laraztaa kaa.nptaa baiThaazamiir-e-sa.ng se bas ek chi.ngaarii kaa taalib thaamagar ab to ye uu.nchii mamTiyo.n vaale jilau-KHaano.n me.n basta haihamaare hii labo.n se muskuraahaT chhiin kar ab ham pe ha.nstaa haiKHudaa us kaa KHudaa.ii us kii har shai us kii ham kyaa hai.nchamaktii motoro.n se u.Dne vaalii dhuul kaa naachiiz zarra hai.nhamaarii hii tarah jo paa.emaal-e-satvat-e-amiirii-o-shaahii me.nlikhokhaa aabdiida paa-piyaada dil-zada vaamaa.nda raahii hai.njinhe.n nazro.n se gum hote hu.e rasto.n kii gum-paimaa lakiiro.n me.ndikhaa.ii de rahii hai.n aane vaalii manzilo.n kii dhundlii tasviire.nzaruur ik roz badlegaa nizaam-e-qismat-e-aadambasegii ik na.ii duniyaa sajegaa ik nayaa aalamshabistaa.n me.n na.ii sham.e.n gulistaa.n me.n nayaa mausam''vo rut ai ham-nafas jaane kab aa.egiivo fasl-e-der-ras jaane kab aa.egiiye nau number kii bas jaane kab aa.egii
qaabil-e-izzat hai.n is duniyaa ke mehnat-kash avaammulk kii daulat hai.n ye, vaajib hai in kaa ehtiraamus ke ye member hai.n labour-union hai jis kaa naamin kii mehnat ke diye jaa.e.nge in ko puure daamye nahii.n hogaa KHafaa ho kar dihaa.Dii kaaT diiaadhe raste laa.e aur engine se gaa.Dii kaaT dii
karo.Do.n baras kii puraaniikuhan-saal duniyaaye duniyaa bhii kyaa masKHarii haina.e saal kii shaal o.Dheba-sad-tanz ham sab se ye kah rahii haiki mai.n to ''na.ii'' huu.nha.nsii aa rahii hai
taaqat ho kisii me.n to miTaa.e mirii hastiiDaa.in hai miraa naam laqab firqa-parastiimai.n ne ba.Dii chaalaakii se ik kaam kiyaa haipahle hii mohabbat kaa galaa ghuu.nT diyaa haimai.n fitne uThaa detii huu.n har uThte qadam seis desh ke Tuk.De bhii hu.e mere hii dam sesarmaaya-parasto.n ne janam mujh ko diyaa haimaz.hab ke ta.assub ne mujhe god liyaa haihai mulk kii taqsiim la.Dakpan kii kahaaniius vaqt to bachpan thaa miraa ab hai javaaniighabraataa hai shaitaa.n mirii taqriir ke fan semai.n zahr ugaltii huu.n zabaa.n ban ke dahan sedarkaar hu.aa jab bhii mujhe KHuun ziyaadamai.n aa ga.ii o.Dhe hu.e maz.hab kaa libaadamai.n desh kii qattaala huu.n aur sab se ba.Dii huu.nbachcho.n kii bhii gardan pe chhurii ban ke chalii huu.ngolii ko sikhaa detii huu.n chalne kaa qariinamai.n chhed ke rakh detii huu.n mazluum kaa siinahar suukhe hu.e ho.nT se letii huu.n tarii mai.ndam to.Dne vaalo.n kii u.Daatii huu.n ha.nsii mai.nmaasuumo.n ke maa.n baap kaa sar mai.n ne liyaa haibachcho.n ko yatiimii kaa laqab mai.n ne diyaa haihinduu kaa lahuu ho ki musalmaa.n kaa lahuu homatlab hai lahuu se kisii insaa.n kaa lahuu homil jaa.e to mai.n kis kaa lahuu pii nahii.n saktiimajbuur huu.n be KHuun piye jii nahii.n saktiihar firqe ke logo.n kaa lahuu chaaT rahii huu.nfaslo.n kii tarah sab ke gale kaaT rahii huu.njis vaqt jahaa.n chaahuu.n vahaa.n aag lagaa duu.njis bastii ko chaahuu.n use viiraana banaa duu.njis shahr ko phuu.nkaa na makii.n the na makaa.n thaauThtaa hu.aa kuchh der agar thaa to dhu.aa.n thaagulshan mire haatho.n yuu.nhii taaraaj rahegaamai.n zinda rahuu.ngii to miraa raaj rahegaataaqat ho kisii me.n to miTaa.e mirii hastiiDaa.in hai miraa naam laqab firqa-parastii
chaa.nd bhii kambal o.Dhe niklaa thaasitaare ThiThur rahe.n thesardii ba.Dh rahii thiiThanD se bachne ke liyemujhe bhii kuchh rishte jalaane pa.De
ab gaa.Dhaa pasiina bun.ne vaaleo.Dhe phire.nge shaal do-shaalemuft na jhuule.n jhuule.ngiiphuule hu.e gaal ab pachke.ngepichkii hu.ii to.nde.n phuule.ngiisab aqle.n chauk.Dii bhuule.ngiiab KHuub ha.nsegaa diivaana
kyaa ab raat aise hiiguzar jaa.egiiye raat hii to haijo tahliil ho jaatii hai ek nuqte me.naur ghuumtii haimere gird kaale bhinbhinaate hu.ebha.nvre kii tarahvo mere kaano.n mirii aa.nkho.nmerii gardan aur mere ro.e.n ro.e.n me.nbhinbhinaatii haimerii baGlo.n ke baalo.n se ulajhtii hu.iimere jism ke kone khudro.n me.ngudgudaatii hu.iiye raat mere uupar phail jaatii haiachaanako.Dh letii hai mujhemere jism kii por por me.nek jal-tara.ng chhe.D detii haimai.n nii.nd me.n uThtii huu.nmiraa halq KHushk ho rahaa haipaanii kaa ek gilaas ThanDaa yaKHmere ho.nTo.n mere halq mere siineko tar kartaa hu.aamere jism kii jal-tara.ng me.n mil jaataa haimai.n darvaaze par dastak detii huu.ntum sun rahe horaat kii jal-tara.ng mere jism sephuuT rahii haidarvaaza khultaa haimai.n tumhaare aadhe na.nge badan kodaboch letii huu.ntumhaarii naaf ke ga.Dhe me.nnaak kii nok ghuse.Dtii huu.ntum muskuraa rahe horaat kii sharaarat mere jism parphaile hu.e dekh kartum ha.nsteraat kono.n khudro.n me.n phail rahii haimai.n tumhaare kap.De utaar detii huu.naur vo khel kheltii huu.njo raat mere saath khel rahii thiimai.n tumhaare jism ke girdapnii zabaan apne daa.nto.n aur naaKHuno.n ke saathbhinbhinaane lagtii huu.ntum muskuraa rahe hotumhaarii muskuraahaTmere jism kii poro.n ko aur khol rahii haimai.n zaKHmii kar detii huu.n tumhe.ntum ha.ns rahe horaat ke paro.n pe savaar bha.nvre kii tarahmujhe bhinbhinaate dekh kartumhaarii kushaada aa.nkho.n ke konephailne lagte hai.ntumhaaraa jism aka.D jaataa hainahii.n aaj tumtum khilkhilaate homai.n tumhaare ak.De hu.e jism parapnii khulii hu.ii poro.n ko rakh detii huu.ntumhaaraa jism raat ke jhaag se bhar jaataa haitum ha.nste hoha.nste hii rahte ho
ye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haiye school hai ik KHaraabo.n kii duniyaasavaalo.n kii bastii javaabo.n kii duniyaaye pencil ye kaaGaz kitaabo.n kii duniyaaye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haina english hii jaanuu.n na social hii bhaa.ena bio hii samjhuu.n na hindii hii aa.ejo marzii chale to karuu.n sab ko byeye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haimusiibat hai kaisii sahar kii jagaa.iisabhii log sote hai.n o.Dhe razaa.iimagar merii qismat me.n hai mu.nh dikhaa.iiye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haiburaa muuD us par savaa man kaa bastaaur us par jise dekhiye ro.ab kastaayahaa.n meraa bachpan hai har shai se sastaaye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haizaraa dost se baat kar le.n to aafatkisii vaqt chhup kar guzar le.n to aafatijaazat kisii se agar le.n to aafatye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haina filmo.n kii baate.n na khelo.n kii baate.nye be-kaar kii paas failo.n kii baate.nusuulo.n ke qisse jhamelo.n kii baate.nye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haiye ta.aliim gar mil bhii jaa.e to kyaa haimere saamne se haTaa lo kitaabe.nmire teachero tum sambhaalo kitaabe.nprincipal ke kaa.ndho.n pe Daalo kitaabe.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books