aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "pa.de"
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida saharvo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.nye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le karchale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.nfalak ke dasht me.n taaro.n kii aaKHirii manzilkahii.n to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahilkahii.n to jaa ke rukegaa safiina-e-Gam diljavaa.n lahuu kii pur-asraar shaah-raaho.n sechale jo yaar to daaman pe kitne haath pa.Dedayaar-e-husn kii be-sabr KHvaab-gaaho.n sepukaartii rahii.n baahe.n badan bulaate rahebahut aziiz thii lekin ruKH-e-sahar kii laganbahut qarii.n thaa hasiinan-e-nuur kaa daamansubuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
ko.ii safha palaTtaa huu.n to ik siskii nikaltii haika.ii lafzo.n ke ma.anii gir pa.De hai.nbinaa patto.n ke suukhe TunD lagte hai.n vo sab alfaazjin par ab ko.ii ma.anii nahii.n ugtebahut sii istelaahe.n hai.n
na tum ko apne KHad-o-KHaal hii nazar aa.e.nna mai.n ye dekh sakuu.n jaam me.n bharaa kyaa haibasaarato.n pe vo jaale pa.De ki dono.n kosamajh me.n kuchh nahii.n aataa ki maajraa kyaa hai
sunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haisunaa hai sher kaa jab peT bhar jaa.e to vo hamla nahii.n kartaadaraKHto.n kii ghanii chhaa.nv me.n jaa kar let jaataa haihavaa ke tez jho.nke jab daraKHto.n ko hilaate hai.nto mainaa apne bachche chho.D karkavve ke anDo.n ko paro.n se thaam letii haisunaa hai gho.nsle se ko.ii bachcha gir pa.De to saaraa jangal jaag jaataa haisunaa hai jab kisii naddii ke paanii me.nba.e ke gho.nsle kaa gandumii saaya laraztaa haito naddii kii rupahlii machhliyaa.n us ko pa.Dosan maan letii hai.nkabhii tuufaan aa jaa.e, ko.ii pul TuuT jaa.e tokisii lak.Dii ke taKHte pargilahrii, saa.np, bakrii aur chiitaa saath hote hai.nsunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haiKHudaavandaa! jaliil o mo'tabar! daanaa o biinaa munsif o akbar!mire is shahr me.n ab jangalo.n hii kaa ko.ii qaanuun naafiz kar!ko.ii dastuur naafiz kar
KHaamosh zamii.n ke siine me.n KHemo.n kii tanaabe.n ga.Dne lagii.nmakkhan sii mulaa.em raaho.n par buuTo.n kii KHaraashe.n pa.Dne lagii.nfaujo.n ke bhayaanak band tale charKHo.n kii sadaa.e.n Duub ga.ii.n
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
vaqt ke agle shahr ke saare baashindesab din sab raate.njo tum se naa-vaaqif ho.ngevo kab merii baat sune.ngemujh se kahe.ngejaa.o apnii raah lo raahiiham ko kitne kaam pa.De hai.njo biitii so biit ga.iiab vo baate.n kyuu.n dohraate hoka.ndhe par ye jholii rakkhekyuu.n phirte ho kyaa paate homai.n be-chaaraik banjaaraaavaara phirte phirte jab thak jaa.uu.ngaatanhaa.ii ke Tiile par jaa kar baiThuu.ngaaphir jaise pahchaan ke mujh koik banjaara jaan ke mujh kovaqt ke agle shahr ke saare nanhe-munne bhole lamhena.nge paa.nvdau.De dau.De bhaage bhaage aa jaa.e.ngemujh ko gher ke baiThe.ngeaur mujh se kahe.ngekyuu.n banjaaretum to vaqt ke kitne shahro.n se guzre houn shahro.n kii ko.ii kahaanii hame.n sunaa.oun se kahuu.ngaananhe lamho!ek thii raaniisun ke kahaaniisaare nanhe lamheGamgii.n ho kar mujh se ye puuchhe.ngetum kyuu.n in ke shahr na aa.ii.nlekin un ko bahlaa luu.ngaaun se kahuu.ngaaye mat puuchhoaa.nkhe.n muu.ndoaur ye sochotum hotii.n to kaisaa hotaatum ye kahtii.ntum vo kahtii.ntum is baat pe hairaa.n hotii.ntum us baat pe kitnii ha.nstii.ntum hotii.n to aisaa hotaatum hotii.n to vaisaa hotaa
jaag uThii lo duniyaa meriiaa.ii ha.nsii vo lab pe tumhaaredekho dekho merii jaanibdau.D pa.De hai.n chaa.nd sitaare
bahaar aa.ii to jaise yak-baarlauT aa.e hai.n phir adam sevo KHvaab saare shabaab saarejo tere ho.nTo.n pe mar-miTe thejo miT ke har baar phir jiye thenikhar ga.e hai.n gulaab saarejo terii yaado.n se mushkbuu hai.njo tere ushshaaq kaa lahuu hai.nubal pa.De hai.n azaab saaremalaal-e-ahvaal-e-dostaa.n bhiiKHumaar-e-aaGosh-e-mah-vashaa.n bhiiGubaar-e-KHaatir ke baab saaretire hamaaresavaal saare javaab saarebahaar aa.ii to khul ga.e hai.nna.e sire se hisaab saare
o des se aane vaale bataakyaa ab bhii shafaq ke saayo.n me.ndin raat ke daaman milte hai.nkyaa ab bhii chaman me.n vaise hiiKHush-ra.ng shaguufe khilte hai.nbarsaatii havaa kii lahro.n sebhiige hu.e paude hilte hai.no des se aane vaale bataa
ret se but na banaa ai mire achchhe fankaarek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.nmai.n tire saamne ambaar lagaa duu.n lekinkaun se rang kaa patthar tire kaam aa.egaasurKH patthar jise dil kahtii hai be-dil duniyaayaa vo pathraa.ii hu.ii aa.nkh kaa niilaa pattharjis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dorekyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogiijis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii haiik vo patthar hai jo kahlaataa hai tahziib-e-safedus ke marmar me.n siyah KHuun jhalak jaataa haiek insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magarhaath me.n tesha-e-zar ho to vo haath aataa haijitne meyaar hai.n is daur ke sab patthar hai.njitnii aqdaar hai.n is daur kii sab patthar hai.nsabza o gul bhii havaa aur fazaa bhii pattharmeraa ilhaam tiraa zehn-e-rasaa bhii pattharis zamaane me.n to har fan kaa nishaa.n patthar haihaath patthar hai.n tire merii zabaa.n patthar hairet se but na banaa ai mire achchhe fankaar
abhii ham KHuub-suurat hai.nhamaare jism auraaq-e-KHizaanii ho ga.e hai.naur ridaa-e-zaKHm se aaraasta hai.nphir bhii dekho tohamaarii KHush-numaa.ii par ko.ii harfaur kashiida-qaamtii me.n KHam nahii.n aayaahamaare ho.nT zahriilii ruto.n se kaasnii hai.naur chehre ratjago.n kii sho.alagii seaabnuusii ho chuke hai.naur zaKHmii KHvaabnaadiida jaziiro.n kii zamii.n paris tarah bikhre pa.De hai.njis tarah tuufaa.n-zada kashtii ke Tuk.Do.n kosamundar saahilo.n par phe.nk detaa hailahuu kii baarishe.nyaa KHud-kushii kii KHvaahishe.n thii.nis aziyyat ke safar me.nkaun saa mausam nahii.n aayaamagar aa.nkho.n me.n namlahje me.n samho.nTo.n pe ko.ii naGma-e-maatam nahii.n aayaaabhii tak dil hamaareKHanda-e-tiflaa.n kii suurat be-kuduurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nzamaane ho ga.eham kuu-e-jaanaa.n chho.D aa.e themagar ab bhiibahut se aashnaa naa-aashnaa hamdamaur un kii yaad ke maanuus qaasidaur un kii chaahato.n ke hijr-naameduur deso.n se hamaarii or aate hai.ngulaabii mausamo.n kii dhuupjab naurasta sabze par qadam rakhtii hu.iima.muura-e-tan me.n dar aatii haituu barfaanii badan me.njuu-e-KHuu.n aahistagii se gungunaatii haiudaasii kaa parindachup ke jangal me.nsar-e-shaaKH-e-nihaal-e-Gam chahaktaa haiko.ii bhuulaa hu.aa bisraa hu.aa dukhaabla bin kar Tapaktaa haito yuu.n lagtaa haijaise harf apnezinda aavaazo.n kii suurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nhamaarii KHush-numaa.ii harf-e-haq kii ruu-numaa.ii haiusii KHaatir to ham aashufta-jaa.nushshaaq kii yaado.n me.n rahte hai.nki jo un par guzartii hai vo kahte hai.nhamaarii harf-saaziiab bhii mahbuub-e-jahaa.n haishaa.erii shoriid-gaan-e-ishq ke vird-e-zabaa.n haiaur gulaabo.n kii tarah shaadaa.n chehrela.al o marjaa.n kii tarah labsandalii.n haatho.n sechaahat aur aqiidat kii bayaazo.n parhamaare naam likhte hai.nsabhii dard-aashnaaiisaar mashrabham-nafas ahl-e-qafasjab maqtalo.n kii samt jaate hai.nhamaare bait gaate hai.nabhii tak naaz karte hai.n sab ahl-e-qaafilaapne hudii-KHvaano.n par aashufta-kalaamo.n parabhii ham dastaKHat karte hai.n apne qatl-naamo.n parabhii ham aasmaano.n kii amaanataur zamiino.n kii zaruurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.n
taqdiir ke qadmo.n par sar rakh ke pa.De rahnaataa.iid-e-sitamgar hai chup rah ke sitam sahnaahaq jis ne nahii.n chhiinaa haq us ne kahaa.n paayaabaazaar hai vo ab tak jis me.n tujhe nachvaayaa
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
aa.o ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaa.e.n ham!aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zinda kii sadaasuune pa.De hai.n kuucha o baazaar ishq kehai sham-e-anjuman kaa nayaa husn jaa.n-gudaazshaayad nahii.n rahe vo pati.ngo.n ke valvaletaaza na rah sake.ngii rivaayaat-e-dasht-o-darvo fitna-sar ga.e jinhe.n kaa.nTe aziiz the
ye mast mast ghaTaa, ye bharii bharii barsaattamaam hadd-e-nazar tak ghulaavaTo.n kaa samaa.nfazaa-e-shaam me.n Dore se pa.Dte jaate hai.njidhar nigaah kare.n kuchh dhu.aa.n saa uThtaa haidahak uThaa hai taraavat kii aa.nch se aakaashze-farsh taa-falak a.ng.Daa.iyo.n kaa aalam haiye mad-bharii hu.ii purvaa.iyaa.n sanaktii hu.iijhinjho.Dtii hai harii Daaliyo.n ko sard havaa
tirii jabii.n pe agar haadso.n ke naqsh ubhre.nmizaaj-e-gardish-e-dauraa.n bhii la.Dkha.Daa jaa.etuu muskuraa.e to sub.he.n tujhe salaam kare.ntuu ro pa.De to zamaane kii aa.nkh bhar aa.e
jahaa.n-zaadek tuu aur ek vo aur ek mai.nye tiin zaaviye kisii musallas-e-qadiim kehamesha ghuumte raheki jaise meraa chaak ghuumtaa rahaamagar na apne-aap kaa ko.ii suraaG paa sakemusallas-e-qadiim ko mai.n to.D, duu.n jo tuu kahe, magar nahii.njo sehr mujh pe chaak kaa vahii hai is musallas-e-qadiim kaanigaahe.n mere chaak kii jo mujh ko dekhtii hai.nghuumte hu.esubuu-o-jaam par tiraa badan tiraa hii rang terii naazukiibaras pa.Diivo kiimiyaa-garii tire jamaal kii baras pa.Diimai.n sail-e-nuur-e-andruu.n se dhul gayaa!mire daro.n kii KHalq yuu.n galii galii nikal pa.Diiki jaise sub.h kii azaa.n sunaa.ii dii!tamaam kuuze bante bante 'tuu' hii ban ke rah ga.enashaat is visaal-e-rah-guzar kii naa-gahaa.n mujhe nigal ga.iiyahii pyaala-o-suraahii-o-subuu kaa marhala hai voki jab KHamiir-e-aab-o-gil se vo judaa hu.eto un ko samt-e-raah-e-nau kii kaamraaniyaa.n mile.nmai.n ik Gariib kuuza-garye intihaa-e-maarifatye har pyaala-o-suraahii-o-subuu kii intihaa-e-maarifatmujhe ho is kii kyaa KHabar?
ho.n jo alfaaz ke haatho.n me.n hai.n sa.ng-e-dushnaamtanz chhalkaa.e to chhalkaayaa kare zahr ke jaamtiikhii nazre.n ho.n tursh abruu-e-KHamdaar rahe.nban pa.De jaise bhii dil siino.n me.n bedaar rahe.nbebasii harf ko zanjiir-ba-paa kar na sakeko.ii qaatil ho magar qatl-e-navaa kar na sake
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books