aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "pairhan-e-chaak"
dard ke pairhan-e-chaak se jhaa.nko to zaraamurda suuraj pe laTakte hu.e maile baadalkisii tuufaan kii aamad kaa pataa dete hai.n!
jab bhii zulmat ke jigar chaak kiye hai.n ham neik na.ii sub.h kaa paiGaam diyaa karte hai.njab bhii mahtaab-e-zar-afshaa.n ke ho chehre pe naqaabjaan ham rakh ke hathelii par ulaT dete hai.n
apnaa bhii vo dost thaa ham bhii paas us ke baiTh aate hai.nidhar udhar ke qisse kah ke jii us kaa bahlaate hai.nukh.Dii-ukh.Dii baat kare hai bhuul ke aglaa yaaraanaakaun ho tum kis kaam se aa.e? ham ne na tum ko pahchaanaajaane ye kis ne choT lagaa.ii jaane ye kis ko pyaar karetumhii kaho ham kis ko Dhuu.nDe.n aahe.n khii.nche naam na lepiit me.n aise jaan se yaaro kitne log guzarte hai.npiit me.n naahaq mar nahii.n jaate piit to saare karte hai.nai matvaalo naaqo.n vaalo! nagrii nagrii jaate hokahii.n jo us kii jaan kaa bairii mil jaa.e ye baat kahochaak-girebaa.n ik diivaana phirtaa hai hairaa.n hairaa.npatthar se sar pho.D maregaa diivaane ko sabr kahaa.ntum chaaho to bastii chho.De tum chaaho to dasht basaa.eai matavaalo naaqo.n vaalo varna ik din ye hogaatum logo.n se aate jaate puuchhe.nge 'inshaa' kaa pataa
yaa.n ba-ii.n aalim Guruur-e-yuusufiyat bhii nahii.nvaa.n zuleKHaa.ii ba-azm-e-chaak-daamaanii hai aaj
ab na tiflaa.n ko KHabar hai kisii diivaane kiiaur na aavaaz ki ''o chaak garebaa.n vaale''na kisii haath me.n patthar na kisii haath me.n phuulkar ga.e kuuch kahaa.n kuucha-e-jaanaa.n vaale
hamaare vaaste ye raat bhii muqaddar thiiki harf aa.e sitaaro.n pe be-charaagii kaalibaas-e-chaak pe tohmat qabaa-e-zarrii.n kiidil-e-shikasta pe ilzaam bad-dimaaGii kaa
guzar ga.e ka.ii mausam ka.ii rute.n badlii.nudaas tum bhii ho yaaro udaas ham bhii hai.nfaqat tumhii.n ko nahii.n ra.nj-e-chaak-daamaaniiki sach kahe.n to dariida-libaas ham bhii hai.n
tujh ko kis phuul kaa kafan ham de.ntuu judaa aise mausamo.n me.n hu.aajab daraKHto.n ke haath KHaalii hai.nintizaar-e-bahaar bhii kartedaaman-e-chaak se agar apneko.ii paimaan phuul kaa hotaaaa tujhe tere sabz lafzo.n me.ndafn kar de.n ki tere fan jaisiidahr me.n ko.ii nau-bahaar nahii.n
hadd-e-idraak se maavaraamanzil-e-KHaak takek aaraastajhuumte-jhaamte asr se lamha-e-chaak takdin guzar jaa.egaabas yuu.nhii din guzar jaa.egaaniim ma.aluum sadiyo.n ke siina-e-asraar kodaa.era daa.era kholte kholteapne chhabbiis barso.n kaa sonaatire Gam kii miizaan par taulte taultedin guzar jaa.egaabas yuu.nhii din guzar jaa.egaacash kii gintiyo.n phone kii ghanTiyo.ngaahako.n kii hama-vaqt takraar me.nvouchero.n goshvaaro.n zamiimo.n ke ambaar me.ndin guzar jaa.egaabas yuu.nhii din guzar jaa.egaa
bahut chhoTii sii ik taqriib rakhii haiye duniyaa hailihaazaa hasb-e-KHvaahish kuchh yahaa.n ho kar nahii.n detaaso ye taqriib jaane ho na hopar tum zaruur aanaatum aanaaaarzuu kii baat hogiizindagii par tabsire ho.ngevahaa.n ruknaajahaa.n phuulo.n kii sa.ngat me.n ravish par dil dhare ho.ngeqabaa-e-chaak pahne kuchh kushaada-zarf istiqbaal ko baahar kha.De ho.ngetumhe.n jo rang bhii bhaa.e pahan aanaatumhe.n jo bhes KHush aa.edabe paa.nvhavaa ke dosh paryaa chaa.nd kii kirno.n pe chal karpaa-piyaada harf haatho.n me.n uThaa.e yaa tahii-daamaa.nkisii suurat bhii aanaabas chale aanaabahut chhoTii sii ik taqriib rakhii haina ab shab-zaadgii se ko.ii shikvana zamaane ke taGaaful se shikaayat haizaruur aanaa mire Gam kii nihaayat hai
ab aa.nsu.o.n ke dhu.ndlako.n me.n raushnii dekhohujuum-e-marg se aavaaz-e-zindagii ko sunosuno ki tishna-dahan maalik-e-sabiil hu.esuno ki KHaak-basar vaaris-e-fasiil hu.eridaa-e-chaak ne dastaar-e-shah ko taar kiyaatan-e-nahiif se amboh-e-jabr haar gayaasuno ki hirs-o-havas qahr-o-zahr kaa relaaGubaar-o-KHaar o KHash-o-KHaak hii ne thaam liyaasiyaahiyaa.n hii muqaddar ho.n jin nigaaho.n kaaKHudaa bachaa.e un aa.nkho.n kii shola-baarii seDaro ki zard-ruKHaa.n niim-jaa.n o KHasta-tanaa.nhazaar baar mare aur laakh baar jiye!vo log jin ko mayassar na aa.e marham-e-vaqt!vo log talKHii-e-taqdiir baa.nT lete hai.nvo haath jin pe ho nafrat kaa za.ng sadiyo.n sevo haath lohe kii diivaar kaaT dete hai.n
saathiyo! mai.n ne barso.n tumhaare liyechaa.nd taaro.n bahaaro.n ke sapne bunehusn aur ishq ke giit gaataa rahaaaarzuu.o.n ke aivaa.n sajaataa rahaamai.n tumhaaraa muGannii tumhaare liyejab bhii aayaa na.e giit laataa rahaaaaj lekin mire daaman-e-chaak me.ngard-e-raah-e-safar ke sivaa kuchh nahii.nmere barbat ke siine me.n naGmo.n kaa dam ghuT gayaataane.n chiiKHo.n ke ambaar me.n dab ga.ii hai.naur giito.n ke sur hichkiyaa.n ban ga.e hai.nmai.n tumhaaraa muGannii huu.n naGma nahii.n huu.naur naGme kii taKHliiq kaa saaz-o-saamaa.nsaathiyo! aaj tum ne bhasm kar diyaa haiaur mai.n apnaa TuuTaa hu.aa saaz thaamesard laasho.n ke ambaar ko tak rahaa huu.nmere chaaro.n taraf maut kii vahshate.n naachtii hai.naur insaa.n kii haivaaniyat jaag uThii haibarbariyat ke KHuu.n-KHaar ifriitapne naapaak jab.Do.n ko kholeKHuun pii pii ke Gurraa rahe hai.n
ko.ii nishaa.n baaqii nahii.nnaqsh gar lamho.n kii har tahriirdast-e-be-nishaa.n ke lams qaatil kaa fasaana ban ga.iishahr ke logo.ntumhaare rauzan-e-chaak-e-jigar bhii band hai.ntum me.n har ik ne kisii KHisht-e-tamannaasa.ng-e-nafrat seye chashm-e-rauzan-e-dil band kar keaaKHirii ummiid kaa suuraj bujhaa kar rakh diyaaaur ab lazzaat kii duniyaa me.n gumsuud-o-saudaa kii asiirii parrazaa-mand kaa tauq-e-be-nishaa.n pahne hu.eKHush ho ki jannat mil ga.ii
aa.nkhe.n hai.n un kii bojhalni.ndiyaa bulaa.e aa chal
mai.n qamrii mahiine ke aaKHirii ayyaam me.nchaudhvii.n ke chaa.nd parek nazm likhuu.ngaaaur nazm me.n likhuu.ngaaki kis tarah ek nauzaa.ida chaa.ndba.Dhte ba.Dhtechaudhvii.n kaa chaa.nd ho jaataa hainazm ke likhe jaane seko.ii nayaa chaa.nd yaqiinanvaqt se pahle nahii.n niklegaavo apnii sadiyo.n puraanii rivaayat kaa paasbaan haivo merii nazm kii KHaatirapnii rivaayat nahii.n to.Degaalekinmai.n phir bhii nazm likhuu.ngaaki loginhii aaKHirii ayyaam ke a.ndhere se Darne na lage.naur is a.ndhere koapnaa daa.imii muqaddar na maan le.nki log ghabraa jaate hai.naaj ke manaazir semai.n likhuu.ngaa aur is tarah likhuu.ngaaki vo jinho.n ne chaudhvii.n ke chaa.nd ko dekhaa haivo us ke istiqbaaliya naGme gaane lage.nus ke KHair-maqdam me.n palke.n bichhaa de.naur jinho.n ne chaudhvii.n ke chaa.nd ko nahii.n dekhaaaur paidaa hu.e hai.n guzishta chaudah pa.ndrah ayyaam me.nyaa ki bas qissa sune hai.n buu.Dho.n sevo us ke tajassus me.n KHushii se kuudne phaa.ndne lage.nmai.n likhuu.ngaavo nazm ki jis ko sun kar logye aaKHirii siyaah ayyaam bhii KHushii se guzaar de.naur un kii ye KHushii dekh kartamaam taariikii par ghup a.ndheraa chhaa jaa.eitnaa a.ndheraa ki ek nau-zaa.ida chaa.nd phirmerii nazm sun.ne ke liye nikal aa.e
chalte chalte mirii nii.nd TuuTii to dekhaahar ik samt taariik asraarpatthar kii maanindraste kii diivaar thephir sitaaro.n ne paiGaam-e-rif.at diyaaaur KHvaabo.n ke jho.nkemere zehn-e-ma.asuum me.n lahlahaane lagemere par pha.Dpha.Daane lagephir bhii parvaaz ke vaaste mai.n ne jumbish jo kiimai.n ne dekhaa ki bechaargiimere qadmo.n kii zanjiir ban.ne lagiimai.n faqat ek be-baal-o-partang-o-taariik Gaaro.n kaa insaan thaaphir sitaaro.n ne aavaaz diiye sitaare jo insaa.n kii aavaaz hai.nye sitaare jo insaan kii ruuh-e-parvaaz hai.nun kii aavaaz par mai.n ne jumbish jo kiimerii zanjiir TuuTiimire devtaa mujh se sahme hu.emujh se kuchh duur par dast-basta kha.De themai.n aage ba.Dhaamerii yalGaar se bahr-o-dasht-o-jabal zar ugalne lagemai.n bahut KHush hu.aaaur is zar se ik aasmaa.n tak pahu.nchne kii sii.Dhii banaane lagaaek zarrii.n chamaktaa hu.aa ziina-e-aasmaaniiaur aage ba.Dhaaab mire haath dhartii se uupar fazaa.o.n me.n lahraa rahe themagar vo sitaare bahut duur the meraa ziina bahut muKHtasar thaato phirmai.n ne inkaar ke par lagaa kar jo parvaaz kiimeraa ziina hii mujh se ulajhne lagaaaur Gaaro.n ke vo devtaatanz se muskuraane lagephir sitaaro.n ne aavaaz diiapne haatho.n se KHud apne ziine ko niiche giraa kar ba.Dhaamai.n fazaa me.n u.Daaaur vo vaqt bhii aa gayaajab huduud-e-havaamerii parvaaz kii raah me.n ek diivaar sii ban ga.iidevtaa muskuraane lagephir sitaaro.n ne aavaaz diimerii himmat ba.Dhiiapne KHvaabo.n kii duniyaa sameTe hu.emai.n ba.De azm ke saath dhartii par utraaKHalaa.o.n me.n parvaaz kiiaaj pahlaa qadam chaa.nd par hai magarhai.n sitaare abhii duur taariikiyo.n me.n kahii.n jalva-garun kii aavaaz giito.n ke sargam me.n bhar lii magarab vahii mere paa.nv kii zanjiir hai.nek ziddii sii zanjiir hai.ndevtaa.o.n ne jis ko banaayaa mujhe rokne ke liyeaur sitaaro.n ne aavaaz dii hai sadaamere KHvaabo.n kaa lashkar umiido.n kaa suuraj liyemere giito.n kii duniyaa me.n naGmo.n ke baadalpar u.Dne lagaaaur ye baadal chamakne lage kahkashaa.n kii tarahaur ab devtaatang-o-taariik Gaaro.n me.n KHud ko chhupaane lage
Guncha-o-gul kaa tabassum ho to hovarna paiGaam-e-KHizaa.n hai zindagii
ab KHaak qadam majbuuro.n kii barsaa.egii duniyaa par sonaaab atlas kii qismat hogii pairaahan-e-mehnat-kash honaa
sukuut-e-shab kii hai jalva-faroshiihai maujuudaat par chhaa.ii KHamoshiifazaa-e-shaam ko nii.nd aa rahii haimanaazir par siyaahii chhaa rahii haihai badlaa rang din ke shor-o-shar kaahu.aa taariikiyo.n kaa daur-dauraarukaa ha.ngaama-haa-e-din kaa mahsharba.Dhaa shab kaa sakuu.n-bar-dosh manzarhai aaKHir roz-e-raushan kii kahaaniihu.ii taariik burd-e-aasmaaniigayaa raahat-kade me.n mahr-e-taabaa.nhu.e anvaar aatish-baar-e-pinhaa.nhai taariikii payaam-e-KHvaab-noshii.nKHamoshii hai naved-e-ra.ng-e-taskii.nfaza-e-Garb hai paiGaam-e-raahatufaq kii KHaamushii ilhaam-e-raahathai ra.ngiinii fazaa kii kaif ishratshafaq kii surKHiyaa.n saamaan-e-farhathavaa.o.n me.n bhare hai.n naGma-e-shabhai raahat-zaa rabaab-e-zaKHm-e-shabhu.aa raushan nigaar-e-shab kaa jalvahai.n tanviire.n falak par kaar-farmaa
kaise khii.nchuu.n tirii tasviir tuu gum hai ab taktujh ko ai jaan-e-jahaa.n mai.n ne to dekhaa bhii nahii.njab kabhii abr shab-e-mah me.n u.Daa jaataa haiaabshaaro.n se sadaa aatii hai chhan-chhan ke kahii.nyaa kabhii shaam kii taariikii me.n tanhaa.ii me.njab kabhii jalva jhalaktaa hai tirii yaado.n kaamai.n sajaataa huu.n KHayaalo.n me.n hasii.n KHvaab ko.iisaamne aatii hai do pal ke liye tuu ai dostaur ai parda-nashii.n teraa jo chilman hai hasii.nmai.n ba.Dhaataa huu.n qadam us ko haTaane ke liyenaa-gahaa.n duur se aavaaz ko.ii aatii haikaa.np jaataa hai, dha.Daktaa hai meraa shiisha-e-dilaur phir dhundlii fazaa.o.n me.n tuu kho jaatii haidekhtaa huu.n jo mai.n mu.D kar ki pas-e-pusht hai kaunyaas ke bahr-e-siyah-posh pe raqsaa.n raqsaa.nzahr-aaluud tabassum kii kaTaare.n le karko.ii lahraataa hu.aa saayaa nazar aataa hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books