aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "rog"
ta.aaruf rog ho jaa.e to us kaa bhuulnaa behtarta'alluq bojh ban jaa.e to us ko to.Dnaa achchhaavo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkinuse ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii piit hamaarii hofarz karo is piit ke rog me.n saa.ns bhii ham par bhaarii ho
ham raato.n ko uTh kar rote hai.n ro ro ke du.aa.e.n karte hai.naa.ankho.n me.n tasavvur dil me.n KHalish sar dhunte hai.n aa.he.n bharte hai.nai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marte hai.n
hai.n laakho.n rog zamaane me.n kyuu.n ishq hai rusvaa be-chaaraahai.n aur bhii vaj.he.n vahshat kii insaan ko rakhtii.n dukhiyaaraahaa.n be-kal be-kal rahtaa hai ho piit me.n jis ne jii haaraapar shaam se le kar sub.h talak yuu.n kaun phiregaa aavaaraye baate.n jhuuTii baate.n ye logo.n ne phailaa.ii.n hai.ntum 'inshaa'-jii kaa naam na lo kyaa 'inshaa'-jii saudaa.ii hai.n
aa.o ki aaj Gaur kare.n is savaal pardekhe the ham ne jo vo hasii.n KHvaab kyaa hu.edaulat ba.Dhii to mulk me.n iflaas kyuu.n ba.DhaaKHush-haalii-e-avaam ke asbaab kyaa hu.ejo apne saath saath chale ku-e-daar takvo dost vo rafiiq vo ahbaab kyaa hu.ekyaa mol lag rahaa hai shahiido.n ke KHuun kaamarte the jin pe ham vo sazaa-yaab kyaa hu.ebe-kas barahnagii ko kafan tak nahii.n nasiibvo va.ada-haa-e-atlas-o-kim-KHvaab kyaa hu.ejamhuuriyat-navaaz bashar-dost amn-KHvaahKHud ko jo KHud diye the vo alqaab kyaa hu.emaz.hab kaa rog aaj bhii kyuu.n laa-'ilaaj haivo nusKHa-haa-e-naadir-o-naayaab kyaa hu.ehar kuucha sho'la-zaar hai har shahr qatl-gaahyak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.esahraa-e-tiirgii me.n bhaTaktii hai zindagiiubhre the jo ufuq pe vo mahtaab kyaa hu.emujrim huu.n mai.n agar to gunahgaar tum bhii hoai rahbaraan-e-qaum KHataa-kaar tum bhii ho
mai.n ne us se ye kahaaye jo das karo.D hai.njahl kaa nicho.D hai.nun kii fikr so ga.iihar umiid kii kiranzulmato.n me.n kho ga.iiye KHabar durust haiun kii maut ho ga.iibe-shu.uur log hai.nzindagii kaa rog hai.naur tere paas haiun ke dard kii davaamai.n ne us se ye kahaatuu KHudaa kaa nuur haiaql hai shu.uur haiqaum tere saath haitere hii vajuud semulk kii najaat haituu hai mahr-e-sub.h-e-nautere baa'd raat haibolte jo chand hai.nsab ye shar-pasand hai.nun kii khii.nch le zabaa.nun kaa gho.nT de galaamai.n ne us se ye kahaajin ko thaa zabaa.n pe naazchup hai.n vo zabaa.n-daraazchain hai samaaj me.nbe-misaal farq haikal me.n aur aaj me.napne KHarch par hai.n qaidlog tere raaj me.naadmii hai vo ba.Daadar pe jo rahe pa.Daajo panaah maa.ng leus kii baKHsh de KHataa
aisii yaKH-basta taabiiro.n ke har din se achchhii hai.n aur sachchii bhii hai.njis me.n dhundlaa chakkar khaataa chamkiilaa-pan chhe atraaf kaa rog banaa hai
huzuur aap aur nisf shab mire makaan parhuzuur kii tamaam-tar balaa.e.n merii jaan parhuzuur KHairiyat to hai huzuur kyuu.n KHamosh hai.nhuzuur boliye ki vasvase vabaal-e-hosh hai.nhuzuur ho.nT is tarah se kapkapaa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap har qadam pe la.D-kh.Daa rahe hai.n kyuu.nhuzuur aap kii nazar me.n nii.nd kaa KHumaar haihuzuur shaayad aaj dushmano.n ko kuchh buKHaar haihuzuur muskuraa rahe hai.n merii baat baat parhuzuur ko na jaane kyaa gumaa.n hai merii zaat parhuzuur mu.nh se ba rahii hai piik saaf kiijiyehuzuur aap to nashe me.n hai.n mu.aaf kiijiyehuzuur kyaa kahaa mai.n aap ko bahut aziiz huu.nhuzuur kaa karam hai varna mai.n bhii ko.ii chiiz huu.nhuzuur chho.Diye hame.n hazaar aur rog hai.nhuzuur jaa.iye ki ham bahut Gariib log hai.n
jab dukh kii nadiyaa me.n ham nejiivan kii naav Daalii thiithaa kitnaa kas-bal baa.nho.n me.nlohuu me.n kitnii laalii thiiyuu.n lagtaa thaa do haath lageaur naav puuram paar lagiiaisaa na hu.aa, har dhaare me.nkuchh an-dekhii ma.njdhaare.n thii.nkuchh maa.njhii the anjaan bahutkuchh be-parkhii parvaare.n thii.nab jo bhii chaaho chhaan karoab jitne chaaho dosh dharonadiyaa to vahii hai, naav vahiiab tum hii kaho kyaa karnaa haiab kaise paar utarnaa haijab apnii chhaatii me.n ham neis des ke ghaav dekhe thethaa vedo.n par vishvaash bahutaur yaad bahut se nusKHe theyuu.n lagtaa thaa bas kuchh din me.nsaarii biptaa kaT jaa.egiiaur sab ghaav bhar jaa.e.ngeaisaa na hu.aa ki rog apnekuchh itne Dher puraane theved in kii Toh ko paa na sakeaur ToTke sab be-kaar ga.eab jo bhii chaaho chhaan karoab jitne chaaho dosh dharochhaatii to vahii hai, ghaav vahiiab tum hii kaho kyaa karnaa haiye ghaav kaise bharnaa hai
ahd-e-gum-gashta kii tasviir dikhaatii kyuu.n hoek aavaara-e-manzil ko sataatii kyuu.n hovo hasii.n ahd jo sharminda-e-iifaa na hu.aaus hasii.n ahd kaa mafhuum jataatii kyuu.n hozindagii sho.ala-e-be-baak banaa lo apniiKHud ko KHaakistar-e-KHaamosh banaatii kyuu.n homai.n tasavvuf ke maraahil kaa nahii.n huu.n qaa.ilmerii tasviir pe tum phuul cha.Daatii kyuu.n hokaun kahtaa hai ki aa.he.n hai.n masaa.ib kaa ilaajjaan ko apnii abas rog lagaatii kyuu.n hoek sarkash se mohabbat kii tamannaa rakh karKHud ko aa.iin ke phando.n me.n pha.nsaatii kyuu.n homai.n samajhtaa huu.n taqaddus ko tamaddun kaa farebtum rusuumaat ko iimaan banaatii kyuu.n hojab tumhe.n mujh se ziyaada hai zamaane kaa KHayaalphir mirii yaad me.n yuu.n ashk bahaatii kyuu.n hotum me.n himmat hai to duniyaa se baGaavat kar dovarna maa.n baap jahaa.n kahte hai.n shaadii kar lo
na sog me.n huu.n ki us ko o.Dhuu.nGam-o-alam KHalq ko dikhaa.uu.nna rog huu.n mai.n ki is kii taariikiyo.n me.n KHiffat se Duub jaa.uu.nna mai.n gunaahgaar huu.n na mujrimki is syaahii kii mehr apnii jabii.n pe har haal me.n lagaa.uu.nagar na gustaaKH mujh ko samjhe.nagar mai.n jaa.n kii amaan paa.uu.nto dast-basta karuu.n guzaarishki banda-parvarhuzuur ke hujra-e-ma.attar me.n ek laasha pa.Daa hu.aa haina jaane kab kaa galaa sa.Daa haiye aap se rahm chaahtaa haihuzuur itnaa karam to kiijesiyaah chaadar mujhe na diijiyesiyaah chaadar se apne hujre kii be-kafan laash Dhaa.np diijiyeki us se phuuTii hai jo ufuunatvo kuuche kuuche me.n haa.nptii haivo sar paTaktii hai chaukhaTo.n parbarahnagii tan kii Dhaa.nptii haisune.n zaraa dil-KHaraash chiiKHe.nbanaa rahii hai.n ajab hayuulejo chaadaro.n me.n bhii hai.n barahna
kuchh achchhe log jo achchhe hote hai.n aur raaho.n me.n mil jaate hai.nhai.n un ko apne kaam bahut kab apnaa vaqt ga.nvaate hai.nkab pyaase-pyaase rahte hai.n kab jii ko rog lagaate hai.n
tujh se jo mai.n ne pyaar kiyaa hai tere liye? nahii.n apne liyevaqt kii be-unvaan kahaanii kab tak be-unvaan raheai mire soch-nagar kii raanii ai mire KHuld-e-KHayaal kii huuritne dino.n jo mai.n ghultaa rahaa huu.n tere binaa yuu.nhii duur hii duursoch to kyaa phal mujh ko milaa mai.n man se gayaa phir tan se gayaashahr-e-vatan me.n ajnabii Thahraa aaKHir shahr-e-vatan se gayaaruuh kii pyaas bujhaanii thii par yahaa.n ho.nTo.n kii pyaas bhii bujh na sakiibachte sambhalte bhii ek sulagtaa rog banii mire jii kii lagiiduur kii baat na soch abhii mire haat me.n tuu zaraa haat to detujh se jo mai.n ne pyaar kiyaa hai tere liye? nahii.n apne liyebaaG me.n hai ik bele kaa taKHta bhiinii hai is bele kii sugandhai kaliyo kyuu.n itne dino.n tum rakkhe rahii.n ise god me.n bandkitne hii ham se ruup ke rasiyaa aa.e yahaa.n aur chal bhii diyetum ho ki itne husn ke hote ek na daaman thaam sakesehn-e-chaman par bhau.nro.n ke baadal ek hii pal ko chhaa.e.ngephir na vo jaa kar lauT sake.nge phir na vo jaa kar aa.e.ngeai mire soch-nagar kii raanii vaqt kii baate.n rang aur buuhar ko.ii saath kisii kaa Dhuu.nDe gul ho.n ki bele mai.n huu.n ki tuujo kuchh kahnaa hai abhii kah le jo kuchh sun.naa hai sun letujh se jo mai.n ne pyaar kiyaa hai tere liye? nahii.n apne liye
faryaadii-e-jafaa-e-ayyaam ho rahaa huu.npaamaal-e-jaur-e-baKHt-e-naakaam ho rahaa huu.nsargashta-e-KHayaal-e-anjaam ho rahaa huu.nbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nbad-naam ho rahaa huu.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nsalmaa se dil lagaa kar salmaa se dil lagaa karus huur-vash ke Gam me.n duniyaa-o-dii.n ga.nvaa karhosh-o-havaas kho kar sabr-o-sukuu.n luTaa karbaiThe biThaa.e dil me.n Gam kii KHalish basaa karhar chiiz ko bhulaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkahtii hai.n sab ye kis kii ta.Dpaa ga.ii hai suuratsalmaa kii shaayad is ke man bhaa ga.ii hai suurataur us ke Gam me.n itnii murjhaa ga.ii hai suuratmurjhaa ga.ii hai suurat kumhlaa ga.ii hai suuratsa.nvlaa ga.ii hai suuratsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.npanghaT pe jab ki saarii hotii hai.n jam.a aa kargaagar ko apnii rakh kar, ghu.nghaT uThaa uThaa karye qissa chhe.Dtii hai.n mujh ko bataa bataa karsalmaa se baate.n karte dekhaa hai is ko jaa karham ne nazar bachaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nraato.n ko giit gaane jab mil kar aatii hai.n sabtaalaab ke kinaare dhuume.n machaatii hai.n sabja.ngal kii chaa.ndnii me.n ma.ngal manaatii hai.n sabto mere aur salmaa ke giit gaatii hai.n sabaur ha.nstii jaatii hai.n sabsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkheto.n se lauTtii hai.n jab din chhupe makaa.n kotab raaste me.n baaham vo merii daastaa.n kodohraa ke chhe.Dtii hai.n salmaa ko merii jaa.n koaur vo hayaa kii maarii sii letii hai zabaa.n koki chhe.De is bayaa.n kosalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nkahtii hai rahm khaa kar yuu.n ek maah-e-tal.atye shahrii naujavaa.n thaa kis darja KHuub-suurataa.nkho.n me.n bas rahii hai ab bhii vo pahlii ra.ngatdo din me.n aah kyaa hai kyaa ho ga.ii hai haalatallaah terii qudaratsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nus sham.a-ruu kaa jab se parvaana ban gayaa huu.nbastii kii la.Dkiyo.n me.n afsaana bin gayaa huu.nhar maah-vash ke lab kaa paimaana ban gayaa huu.ndiivaana ho rahaa huu.n diivaana ban gayaa huu.ndiivaana ban gayaa huu.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nun kii zabaa.n pe merii jitnii kahaaniyaa.n hai.nkyaa jaane.n ye ki dil kii sab mehrbaaniyaa.n hai.nkam-sin hai.n be-KHabar hai.n uThtii javaaniyaa.n hai.nkyaa samjhe.n Gam ke haatho.n kyuu.n sar-giraaniyaa.n hai.nkyuu.n KHuu.n-fishaaniyaa.n hai.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nhar ik ke rahm kaa yuu.n iz.haar ho rahaa haibechaare ko ye kaisaa aazaar ho rahaa haidekhe to ko.ii jaane biimaar ho rahaa haikis darja zindagii se bezaar ho rahaa hainaa-chaar ho rahaa haisalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik puuchhtii hai aa kar tum be-qaraar kyuu.n hokuchh to hame.n bataa.o yuu.n dil-figaar kyuu.n hokyaa rog hai kaho to tum ashk-baar kyuu.n hodiivaane kyuu.n hu.e ho diivaana vaar kyuu.n hobaa-haal-e-zaar kyuu.n hosalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.njaa.uu.n shikaar ko gar baa-hamrahaan-e-sahraakheto.n se ghuurtii hai.n yuu.n duKHtaraan-e-sahraabijlii kii raushnii ko jaise miyaan-e-sahraataariik shab me.n dekhe.n kuchh aahuvaan-e-sahraahairat kushaan-e-sahraasalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik shoKH chhe.Dtii hai is tarah paas aa kardekho vo jaa rahii hai salmaa nazar bachaa karsharmaa ke muskuraa kar aa.nchal se mu.nh chhupaa karjaa.o naa piichhe piichhe do baate.n kar lo jaa karkheto.n me.n chhup chhupaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.ngoyaa hame.n hasad se kuchh naazniin nigaahe.nsalmaa kii bhaa ga.ii hai.n kyuu.n dil-nashii.n nigaahe.nun se zyaada dilkash hai.n ye hasii.n nigaahe.nal-qissa ek dil hai sau KHashmagii.n nigaahe.nshauq aafrii.n nigaahe.nsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.nik shoKH taaza daarad sasuraal se ghar aa karsakhiyo.n se puuchhtii hai jis dam mujhe bataa karye kaun hai to zaalim kahtii hai.n muskuraa kartum is kaa haal puuchho salmaa ke dil se jaa karye giit use sunaa karsalmaa se dil lagaa karbastii kii la.Dkiyo.n me.n badnaam ho rahaa huu.n
kaano.n kii ik nagrii dekhii jis me.n saare kaane dekheek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyaane thekaano.n kii is nagrii ke sab riit rivaaj alaahada therog alaahada bastii me.n the aur ilaaj alaahada thedo do kaane mil kar puuraa sapnaa dekhaa karte thega.ngaa ke sa.ngam se kaane jamunaa dekhaa karte thechaa.ndnii raat me.n chhatrii le kar baahar jaayaa karte theos gire to kahte hai.n vaa.n sar phaT jaayaa karte thedariyaa pul par chaltaa thaa paanii me.n raile.n chaltii thii.nla.nguuro.n kii dum par a.nguuro.n kii bele.n paktii thii.nchhuut kii ik biimaarii phailii ek dafa un kaano.n me.nbhuuk ke kii.De sunte hai.n nikle gandum ke daano.n me.nroz ka.ii kaane bechaare marte the biimaarii me.nkahte hai.n raajaa sotaa thaa sone kii almaarii me.nghanTii baa.ndh ke chuuhe jab billii se dau.D lagaate thepeT pe dono.n haath bajaa kar sab qavvaalii gaate thetab kaanii bhai.ns ne phuul phulaa kar chhe.Daa biin kaa baajaaaur kaalaa chashma pahan ke singhaasan par aayaa raajaadukh se chashme kii dono.n hii aa.nKHe.n paanii paanii thii.ndekhaa us kaane raajaa kii dono.n aa.nKHe.n kaanii thii.njhuuTaa hai jo andho.n me.n kaanaa raajaa hai kahtaa haijaa kar dekho kaanii nagrii andhaa raajaa rahtaa hai
so ab hamjo sadiyo.n kii lambii masaafat se lauTe hai.nto apne ranjuur kuuzo.n me.n jhojhaa hu.aa haiye teraa qusuur aur na merii KHataa haiko.ii kuuza-gar to hamaaraa bhii hogaaso ye us kii hikmatki us ne hame.n chaak par Dhaalte vaqtlamho.n kaa pher is nazaakat se rakhaaki ham apnii apnii jagah sirf shashdar kha.De theka.ii dast-e-chaabuk ke be-jaan putlemare aur tire darmiyaa.n saj ga.e theso ye us kii hikmatmagar vaqt is darja saffaak kyo.n haiye mashshaata-e-zindagii itnii chaalaak kyo.n haimare aur tire darmiyaa.n nau baras jis ne laa kar bichhaa.eye nau saal kis taur mai.n ne bitaa.eki saahil se kashtii tak aate hu.ejaise taKHte ke hamraah dil Dagmagaa.evahii nau baras jo mire aur tire darmiyaa.nvaqt kii kirchiyaa.n hai.nzamaana bhii kaisii ajab kahkashaa.n haiye duniyaa.e sayyaargaa.n hai ki jis me.n hazaaro.n kavaakibmusalsal kisii chaak par ghuumte hai.nye ajsaam ke gird ajsaam kaa raqs hii zindagii hai mirii jaa.nmirii jaan tuu chaak ke saath miTTii ke rishte ko pahchaantaa thaahasan tuu ne miTii ke be-jaan putlo.n setaKHliiq ke jaa.n-gusil marhalo.n me.nsadaa guftuguu sau tarah guftuguu kiizahaanat ke putle mohabbat ke KHaaliq faqat ye bataa deki tere anaasir ke ajzaa-e-tarkiib me.n vaahima kaise aayaahasan tuu vahaa.n jho.npa.De me.nakelaa gale mil ke royaa thaa kis selabiib aur tuu aur mai.n aur haqiiqat me.n ko.ii nahii.n thaatarah vaahima mere lab mere gesuu se lipTaa rahaa thaalabiib ek saayaa jise tuu ne rog apnii jaa.n kaa banaayaaye saayaa kahii.n gar haqiiqat bhii hotaato aaKHir ko tuu is haqiiqat se kyo.n be-KHabar thaaki har jism ke saath ik aaftaab aur mahtaab laazimye tasliis qaa.em hai qaa.em rahegii
ham shahr me.n Thahre.n, aisaa to jii kaa rog nahii.naur ban bhii hai.n suune un me.n bhii ham se log nahii.naur kuuche ko tere lauTne kaa to savaal gayaa
naqsh yaa.n jis ke miyaa.n haath lagaa paise kaaus ne tayyaar har ik ThaaTh kiyaa paise kaaghar bhii paakiiza imaarat se banaa paise kaakhaanaa aaraam se khaane ko milaa paise kaakap.Daa tan kaa bhii milaa zeb-fazaa paise kaajab hu.aa paise kaa ai dosto aa kar sanjogishrate.n paas hu.ii.n duur hu.e man ke rogkhaa.e jab maal-puu.e duudh dahii mohan-bhogdil ko aanand hu.e bhaag ga.e rog aur dhogaisii KHuubii hai jahaa.n aanaa hu.aa paise kaasaath ik dost ke ik din jo mai.n gulshan me.n gayaavaa.n ke sarv-o-suman-o-laala-o-gul ko dekhaapuuchhaa us se ki ye hai baaG bataa.o kis kaaus ne tab gul kii tarah ha.ns diyaa aur mujh se kahaamehrbaa.n mujh se ye tum puuchhaa ho kyaa paise kaaye to kyaa aur jo hai.n is se ba.De baaG-o-chamanhai.n khile kiyaariyo.n me.n nargis-o-nasriin-o-sumanhauz favvaare hai.n ba.nglo.n me.n bhii parde chalvanjaa-ba-jaa qumrii-o-bulbul kii sadaa shor-afganvaa.n bhii dekhaa to faqat gul hai khilaa paise kaavaa.n ko.ii aayaa liye ek murassaa pi.nj.Daalaal dastaar-o-dupaTTaa bhii haraa juu.n-totaais me.n ik baiThii vo mainaa ki ho bulbul bhii fidaamai.n ne puuchhaa ye tumhaaraa hai rahaa vo chupkaaniklii minqaar se mainaa ke sadaa paise kaavaa.n se niklaa to makaa.n ik nazar aayaa aisaadar-o-diivaar se chamke thaa pa.Daa aab-e-talaasiim chuune kii jagah us kii thaa ii.nTo.n me.n lagaavaah-vaa kar ke kahaa mai.n ne ye hogaa kis kaaaql ne jab mujhe chupke se kahaa paise kaaruuThaa aashiq se jo maashuuq ko.ii haT kaa bharaaaur vo minnat se kisii taur nahii.n hai mantaaKHuubiyaa.n paise kii ai yaaro kahuu.n mai.n kyaa kyaadil agar sang se bhii us kaa ziyaada thaa ka.Daamom-saa ho gayaa jab naam sunaa paise kaajis gha.Dii hotii hai ai dosto paise kii numuudhar tarah hotii hai KHush-vaqti-o-KHuubii bahbuudKHush-dilii taazgii aur KHurmii kartii hai duruudjo KHushii chaahiye hotii hai vahii.n aa maujuuddekhaa yaaro to ye hai aish-o-mazaa paise kaapaise vaale ne agar baiTh ke logo.n me.n kahaajaisaa chaahuu.n to makaa.n vaisaa hii Daaluu.n banvaaharf-e-takraar kisii kii jo zabaa.n par aayaaus ne banvaa ke diyaa jaldii se vaisaa hii dikhaaus kaa ye kaam hai ai dosto yaa paise kaanaach aur raag kii bhii KHuub-sii tayyaarii haihusn hai naaz hai KHuubii hai tarah-daarii hairabt hai pyaar hai aur dostii hai yaarii haiGaur se dekhaa to sab aish kii bisyaarii hairuup jis vaqt hu.aa jalva-numaa paise kaadaam me.n daam ke yaaro jo miraa dil hai asiiris liye hotii hai ye merii zabaa.n se taqriirjii me.n KHush rahtaa hai aur dil bhii bahut aish-paziirjis qadar ho sakaa mai.n ne kiyaa tahriir 'naziir'vasf aage mai.n likhuu.n taa-ba-kujaa paise kaa
par kahaa na vo aam na thiikhud se vo anjaan na thiiuse ma.aluum thaa kyaa chal rahaa haikaun kis se rahaa hai haikaun kaise sambhal rahaa haivo khud ko uThaane me.n maanaa kartii thiivaqt aane parvo khud ko jhukaane me.n maanaa kartii thiimaanaa jiit chaahtii thiipar kisii ko giraanaa us kii fitrat me.n na thaachoT denaa kisii ko usii hasrat me.n na thaaaaKHir rog-har thii vobaato.n se upchaar kiyaa kartii thiilogo.n ko KHvaab dikhaa karKHud upchaar hu.aa kartii thiiek bachchii hu.aa kartii thiiba.Dii achchhii hu.aa kartii thii
kaise apne dil se miTaa.uu.n birah agan kaa rogkaise sujhaa.uu.n prem pahelii kaise karuu.n sanjogbaat kii gha.Diyaa.n biit na jaa.e.n duur hai us kaa desduur des hai piitam kaa aur mai.n badle huu.n bhes
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books