aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "shaan-e-dil"
lekin is din ke liye ai ham-nashiino dostokaisii kaisii be-bahaa qurbaaniyaa.n denaa pa.Dii.nKHuun-e-dil denaa pa.Daa KHuun-e-jigar denaa pa.Daaapne KHvaabo.n kii hasii.n parchhaa.iyaa.n denaa pa.Dii.n
charaaG raah me.n us ke amal se jalne lagelo aaj sub.h-e-shab-e-intizaar aa hii ga.iifazaa mahakne lagii dil-navaaz phuulo.n sedayaar-e-hind me.n fasl-e-bahaar aa hii ga.ii
jhukii hu.ii nigaah me.n adaa-e-fitna-parvariihayaa me.n shaan-e-tamkanat jamaal me.n fusuu.n-gariinaqaab-e-husn-posh me.n numuu-e-shaan-e-dil-bariihijaab-e-sharm-kosh me.n Guluu-e-naaz-e-kaafirii
bujhaa dolahuu ke samundar ke us paaraa.ina-KHaano.n me.n ab jhilmilaate hu.e qumqumo.n ko bujhaa doki dil jin se raushan thaa ab un charaaGo.n kii lau bujh chukii haimiTaa domunaqqash dar-o-baam ke jagmagaatechamakte hu.e sab buto.n ko miTaa doki ab lauh-e-dil se har ik naqsh harf-e-Galat kii tarah miT chukaa haiuThaa dolahuu ke jaziire me.nbiphrii hu.ii maut ke zard panjo.n se parda uThaa doki ab is jaziire me.nlaasho.n ke ambaar bikhre pa.De hai.nfazaa me.n har ik samtjalte hu.e KHuun kii buu rachii haivo aa.nkhe.n jo apne badan kii tarah saaf shaffaaf thii.nab un daraKHto.n pe baiThe hu.e chiil kavvo.n gidho.n kii Gizaa bin chukii hai.nye sola december kii bujhtii hu.ii shaam haiaur mai.nis lahuu ke jaziire me.n jaltaa hu.aa aaKHirii aadmii huu.n
ham vahii ahl-e-junuu.n ahl-e-vafaa saahib-dilham ki har daur me.n auraaq-e-zamaana ke amii.nvo lahuu apne hii maathe se bahaa hai jis seaaj diivaar-e-KHirad kii hai lahuu-rang jabii.n
mujhe tere tasavvur se KHushii mahsuus hotii haidil-e-murda me.n bhii kuchh zindagii mahsuus hotii haiye taaro.n kii chamak me.n hai na phuulo.n hii kii KHushbuu me.ntirii tasviir me.n jo dilkashii mahsuus hotii haitujhe mai.n aaj tak masruuf-e-dars-o-va.az paataa huu.ntirii hastii mukammal aagahii mahsuus hotii haiye kyaa mumkin nahii.n tuu aa ke KHud ab is kaa darmaa.n karfazaa-e-dahr me.n kuchh barhamii mahsuus hotii haiujaalaa saa ujaalaa hai tirii sham-e-hidaayat kaashab-e-tiira me.n bhii ik raushnii mahsuus hotii haimai.n aa.uu.n bhii to kyaa mu.nh le ke aa.uu.n saamne tereKHud apne-aap se sharmindagii mahsuus hotii haitaKHayyul me.n tire nazdiik jab mai.n KHud ko paataa huu.nmujhe us vaqt ik-tarfa KHushii mahsuus hotii haituu hii jaane kahaa.n le aa.ii mujh ko aarzuu teriiye manzil ab saraapaa be-KHudii mahsuus hotii hai'ka.nval' jis vaqt kho jaataa huu.n mai.n us ke tasavvur me.nmujhe to zindagii hii zindagii mahsuus hotii hai
lo iid aa.ii ai dil ba-sad shaan-o-shaukatKHushii har taraf har taraf hai masarrathavaa gaa rahii hai KHushii ke taraanefalak pe hai chhaayaa hu.aa abr-e-rahmatko.ii dosto.n se gale mil rahaa haiko.ii kah rahaa hai mubaarak salaamatvo KHud mujh se milne ko ghar mere aa.einaayat inaayat inaayat inaayathai din eid kaa aaj tho.Dii sii pii lekare.n zaahid aaj aur kyaa terii KHidmatgale aa.o mil lo ki hai eid kaa dinjhijakte ho kyo.n is me.n kyaa hai qabaahatrakhaa nisf roza kabhii us se kuchh kamrakhaa roza lekin ba-qadr-e-zaruurathai.n farzii fasaane hai.n qisse KHayaaliina dozaKH kahii.n hai kahii.n hai na jannatunhii.n ko mubaarak ho dozaKH se Darnaahu.e hai.n jo duniyaa me.n maayuus-e-rahmatKHataa par KHataa mai.n ne kii ye samajh karKHataavaar ho.nge sazaa-vaar-e-rahmatye bedard duniyaa masaa.ib kaa ghar haisukuu.n se jo dam guzre samjho GaniimatKHudaayaa gunah mere had se sivaa hai.njo tuu baKHsh de hai tirii shaan-e-rahmat
yuu.n fazaa.o.n me.n ravaa.n hai ye sadaa-e-dil-nashii.nzehn-e-shaa.ir me.n ho jaise ik achhuutaa saa KHayaalyaa sahar ke siim-guu.n ruKHsaar par pahlii kiransurKH ho.nTo.n se bichhaa.e jis tarah boso.n ke jaal
shahr-e-dil kii galiyo.n me.nshaam se bhaTakte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iibe-qaraar saudaa.iidil-gudaaz taariikiiruuh-o-jaa.n ko Dastii hairuuh-o-jaa.n me.n bastii haishahr-e-dil kii galiyo.n me.ntaak shab kii belo.n parshabnamii.n sarishko.n kiibe-qaraar logo.n nebe-shumaar logo.n neyaadgaar chho.Dii haiitnii baat tho.Dii hai
shahr-e-dil kii galiyo.n me.nshaam se bhaTakte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iibe-qaraar saudaa.iidil-gudaaz taariikiijaa.n-gudaaz tanhaa.iiruuh-o-jaa.n ko Dastii hairuuh-o-jaa.n me.n bastii haishahr-e-dil kii galiyo.n me.ntaak shab kii belo.n parshabnamii.n sarishko.n kiibe-qaraar logo.n nebe-shumaar logo.n neyaadgaar chho.Dii haiitnii baat tho.Dii haisad-hazaar baate.n thii.nhiila-e-shakebaa.iisuurato.n kii zebaa.iiqaamato.n kii ra.anaa.iiun siyaah raato.n me.nek bhii na yaad aa.iijaa-ba-jaa bhaTakte hai.nkis kii raah takte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iiye nagar kabhii pahleis qadar na viiraa.n thaakahne vaale kahte hai.nqarya-e-nigaaraa.n thaaKHair apne jiine kaaye bhii ek saamaa.n thaaaaj dil me.n viiraaniiabr ban ke ghir aa.iiaaj dil ko kyaa kahiyebaa-vafaa na harjaa.iiphir bhii log diivaaneaa ga.e hai.n samjhaaneapnii vahshat-e-dil kebun liye hai.n afsaaneKHush-KHayaal duniyaa negarmiyaa.n to jaatii hai.nvo rute.n bhii aatii hai.njab maluul raato.n me.ndosto.n kii baato.n me.njii na chain paa.egaaaur uub jaa.egaaaahaTo.n se guu.njegiishahr-e-dil kii pinhaa.iiaur chaa.nd-raato.n me.nchaa.ndnii ke shaidaa.iihar bahaane nikle.ngeaarzuu kii giiraa.iiDhuu.nDne ko rusvaa.iisard sard raato.n kozard chaa.nd baKHshegaabe-hisaab tanhaa.iibe-hijaab tanhaa.iishahr-e-dil kii galiyo.n me.n
'inshaa'-jii ye kaun aayaa kis des kaa baasii haiho.nTo.n pe tabassum hai aa.nkho.n me.n udaasii haiKHvaabo.n ke gulistaa.n kii KHush-buu-e-dil-aaraa haiyaa sub.h-e-tamannaa ke maathe kaa sitaaraa haitarsii hu.ii nazro.n ko ab aur na tarsaa reai husn ke saudaagar ai ruup ke banjaareramnaa dil-e-'inshaa' kaa ab teraa Thikaanaa hoab ko.ii bhii suurat ho ab ko.ii bahaanaa ho
haa.n kis ke liye sab us ke liyevo jis ke lab par Tesuu hai.nvo jis ke nainaa.n aahuu hai.njo KHaar bhii hai aur KHushbuu bhiijo dard bhii hai aur daaruu bhiivo allha.D sii vo chanchal siivo shaa.er sii vo paagal siilog aap-hii-aap samajh jaa.e.nham naam na us kaa batlaa.e.nai dekhne vaalo tum ne bhiius naar kii piit kii aa.ncho.n me.nis dil kaa tiinaa dekhaa hai?kal ham ne sapnaa dekhaa hai
dil ik kuTiyaa dasht kinaarebastii kaa saa haal nahii.n haimukhiyaa piir prohit payaadein sab kaa janjaal nahii.n hainaa baniye na seTh na Thaakurpai.nTh nahii.n chaupaal nahii.n haisonaa ruupaa chaukii masnadye bhii maal-manaal nahii.n hailekin ye jogii dil vaalaaai gorii ka.ngaal nahii.n haichaaho jo chaahat kaa KHazaanaatum aanaa aur tanhaa aanaa
phailtaa phailtaa shaam-e-Gam kaa dhu.aa.nik udaasii kaa tantaa hu.aa saa.ebaa.nuu.nche uu.nche minaaro.n ke sar pe ravaa.ndekh pahu.nchaa hai aaKHir kahaa.n se kahaa.njhaa.nktaa suurat-e-KHail-e-aavaargaa.nGurfa Gurfa bahr kaaKH-o-kuu shahr me.n
kis se is dard-e-judaa.ii kii shikaayat kahiyeyaa.n to siine me.n niystaa.n kaa niystaa.n hogaakis se is dil ke uja.Dne kii hikaayat kahiyesun.ne vaalaa bhii jo hairaa.n nahii.n, hairaa.n hogaaaisii baato.n se na kuchh baat banegii apniisuunii aa.nkho.n me.n niraashaa kaa ghulegaa kaajalKHaalii sapno.n se na auqaat banegii apniiye shab-e-maah bhii kaT jaa.egii be-kal be-kal
log puuchhe.nge kyuu.n udaas ho tumaur jo dil me.n aa.e so kahiyo!'yuu.nhii maahaul kii giraanii hai''din KHizaa.n ke zaraa udaas se hai.n'kitne bojhal hai.n shaam ke saa.eun kii baabat KHamosh hii rahiyonaam un kaa na darmiyaa.n aa.enaam un kaa na darmiyaa.n aa.eun kii baabat KHamosh hii rahiyo'kitne bojhal hai.n shaam ke saa.e''din KHizaa.n ke zaraa udaas se hai.n''yuu.nhii maahaul kii giraanii hai'aur jo dil me.n aa.e sau kahiyo
lab par naam kisii kaa bhii ho, dil me.n teraa naqshaa haiai tasviir banaane vaalii jab se tujh ko dekhaa hai
dil dard kii shiddat se KHuu.n-gashta o sii-paarais shahr me.n phirtaa hai ik vahshii-o-aavaarashaa.er hai ki aashiiq hai, jogii hai ki banjaaradarvaaza khulaa rakhnaa
dil piit kii aag me.n jaltaa hai haa.n jaltaa hai ise jalne dois aag se tum to duur raho ThanDii na karo pa.nkhaa na jhalohar mahfil me.n ham dono.n kii kyaa kyaa nahii.n baate.n hotii hai.nin baato.n kaa mafhuum hai kyaa tum kyaa samjho tum kyaa jaanodil chal ke labo.n tak aa na sakaa lab khul na sake Gam jaa na sakaaapnaa to bas itnaa qissa thaa tum apnii sunaa.o apnii kahovo shaam kahaa.n vo raat kahaa.n vo vaqt kahaa.n vo baat kahaa.njab marte the marne na diyaa ab jiite hai.n ab jiine do
dil kii na puuchho kyaa kuchh chaahe dil kaa to phailaa hai daamangiit se gaal Gazal sii aa.nkhe.n saa.ad-e-siimii.n barg-e-dahanjuu.De ke inhii.n phuulo.n ko dekho kal kii sii in me.n baas kahaa.nek ik taaraa kar ke Duubii maathe kii tannaaz afshaa.nsahne kaa dukh sah na sake ham kahne kii baate.n kah na sakepaas tire kabhii aa na sake ham duur bhii tujh se rah na sakekis se kahe ab ruuh kii biptaa kis ko sunaa.e man kii baatduur kii raah bhaTaktaa raahii jiivan-raat ghanerii raatho.nTo.n kii pyaas bujhaanii hai ab tire jii ko ye baat lage na lagetujh se jo mai.n ne pyaar kiyaa hai tere liye? nahii.n apne liye
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books