aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "tuk"
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
bolii.n ba.e baTere.n qumrii pukaare kuu-kuupii pii kare papiihaa bagule pukaare.n tuu-tuukyaa hudhudo.n kii haq haq kyaa faaKHato.n kii huu-huusab raT rahe hai.n tujh ko kyaa pa.nkh kyaa pakheruukyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii maare.n
ayaa.n hai ab to raakhii bhii chaman bhii gul bhii shabnam bhiijhamak jaataa hai motii aur jhalak jaataa hai resham bhiitamaashaa hai ahaa haa-haa Ganiimat hai ye aalam bhiiuThaanaa haath pyaare vaah-vaa Tuk dekh le.n ham bhiitumhaarii motiyo.n kii aur zarii ke taar kii raakhii
milne kaa tire rakhte hai.n ham dhyaan idhar dekhbhaatii hai bahut ham ko tirii aan idhar dekhham chaahne vaale hai.n tire jaan idhar dekhholii hai sanam hans ke tuu ik aan idhar dekhai ra.ng-bhare nau-gul-e-KHandaa.n idhar dekh
ye ruup dikhaa kar holii ke jab man rasiile Tuk maTkema.ngvaa.e thaal gulaalo.n ke bhar Daale ra.ngo.n se maTkephir saa.ng bahut tayyaar hu.e aur ThaaTh KHushii ke jhur maTkeGul shor hu.e KHush-haalii ke aur naachne gaane ke khaTkemirda.nge.n baaje.n taal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak
is qaum kii falaah hai jaam-o-subuu ke bechtum intiKHaab jaa ke la.Do haav-huu ke biichdushnaam aur balvo.n ke aur duu-ba-duu ke biichjaise ki ko.ii baiThaa ho bazm-e-aduu ke biich''mastii se darhamii hai mirii guftuguu ke biich''''jo chaaho tum bhii mujh ko kaho mai.n nashe me.n huu.n''
na puuchh ai ham-nashii.n college me.n aa kar ham ne kyaa dekhaazamii.n badlii hu.ii dekhii falak badlaa hu.aa dekhaana vo pahlii sii mahfil hai na miinaa hai na saaqii haikutub-KHaane me.n lekin ab talak talvaar baaqii haivahii talvaar jo baabar ke vaqto.n kii nishaanii haivahii marhuum baabar yaad jis kii Gair faanii haizamii.n par lecturer kuchh tairte phirte nazar aa.eaur un kii ''gaun'' se kandho.n pe do shahpar nazar aa.emagar in me.n mire ustaad-e-deriina bahut kam thejo do ik the bhii vo masruuf-e-sad-afkaar-e-paiham thevo ziine hii me.n Takraane kii hasrat rah ga.ii dil me.nsunaa one-way traffic ho ga.ii uupar kii manzil me.nagarche aaj-kal college me.n vaaqif hai.n hamaare kamhame.n diivaar-o-dar pahchaante hai.n aur un ko hambulandii par alag sab se kha.Daa ''tower'' ye kahtaa haibadaltaa hai zamaana meraa andaaz ek rahtaa haifanaa ta.aliim dars-e-be-KHudii huu.n is zamaane seki majnuu.n laam alif likhtaa thaa diivaar-e-dabistaa.n parmagar ''tower'' kii saa.at ke bhii baazuu KHuub chalte hai.nkabuutar baiTh kar suu.iyo.n pe vaqt us kaa badalte hai.nusii maalik ko phir halve kii daavat par bulaate hai.nvo halva KHuub khaate hai.n use bhii kuchh khilaate hai.nagar vo ye kahe is me.n to zahriilii davaa.ii haimiraa dil jaantaa hai is me.n anDe kii miThaa.ii haiphir is ke baa'd bahr-e-KHud-kushii tayyaar hote hai.nvo halva biich me.n aur gard us ke yaar hote hai.nvo puuchhe gar kahaa.n se kis tarah aayaa hai ye halvato Dabbaa pesh kar ke kah diyaa is kaa hai sab jalvakisii kanjuus ke kamre me.n jaa kar baiTh jaate hai.naur us ke naam par Tuk shaap se chiize.n ma.ngaate hai.nbichaara 'ja.afarii' muddat ke baa'd aayaa hai college me.nizaafa chaahtaa hai apnii a.ngrezii kii knowledge me.ntire siine pe jab yaaraa-n-KHush aa.e.n kii mahfil hoto ai 'oval' use mat bhuul jaanaa vo bhii shaamil ho
bhuurii aa.nkho.n vaalii la.Dkiitujh se pahle mere paas bhii aatii thiiapne ghar kii ik ik baat sunaatii thiimeh.ndii aur vismay se aarii kaale baalo.n vaalii ammiijalte charaaGo.n jaise aa.nkho.n vaalii bahno.nun ke sa.ngtaro.n kii phaa.nko.n jaise ho.nTo.nduudh ke pyaalo.n jaise ujle gaalo.nraushan jismo.nsarv-qado.n ke qisse sunaayaa kartii thiimere ghar me.n vo KHurshiid kii suurat roz ubhartii thiimujh se merii nazme.n giit aur Gazle.n suntii rahtii thiisweater buntii rahtii thiiakasr merii Gazle.n gaa kar mujhe sunaayaa kartii thiichhaayaa kii rasiyaa thii vo aur chhaayaa rachaayaa kartii thiiTuk Tuk dekhaa kartii thiiThanDii aa.he.n bhartii thiiaisaa zaahir kartii thiijaise mujh par martii thii
yuu.n to har shaa.ir kii fitrat me.n hai kuchh diivaangiiGair zimmedaariyaa.n hai.n us kii juzv-e-zindagiiarz-e-sheristaan me.n ye shaa.iraana KHaasiyatcancer kii tarah se jab phailne ba.Dhne lagiimuKHtalif school jab ja.ngii akhaa.De ban ga.efikr-o-fan me.n jab niraajii kaifiyat paidaa hu.iimumlikat me.n zaabta ko.ii na jab baaqii rahaahar jagah qaanuun kii hone lagii be-hurmatiiek ik tuk-band ustaado.n ke mu.nh aane lagaalikh ke sub.h-o-shaam nazme.n be-tukii se be-tukiikuu.De-karkaT kii tarah har suu nazar aane lage.nDheriyaa.n hii Dheriyaa.n diivaan-e-KHaas-o-aam kiihad to ye hai ahl-e-machhlii-shahr bhii karne lagemaahii-giirii chho.D kar din raat fikr-e-shaa.iriijin se bohraan-e-Gizaa state me.n paidaa hu.aaqaht-e-maahii se ba.Dhii har chaar jaanib bhuk-mariichand qaumii dard rakhne vaale ahlurraa.e seqaum kii naa-gufta-ba-haalat na jab dekhii ga.iiek dastuur-ul-amal tayyaar karne ke liyeik kametii 'amn'-saahab kii sadaarat me.n baniitaaki is par chal ke nazm-o-zabt aa.e qaum me.ntaaki kuchh to mo.atadil ho shaa.iro.n kii zindagiiduusre kaamo.n me.n bhii qaumii energy sarf hotuk faroshii ke alaava bhii to maqsad ho ko.iidaur-e-'aflaatuun'-o-'tulsii-das' se 'iqbaal' takhistory kal shaa.iro.n kii is kametii ne pa.Dhiiduusre mulko.n ke aa.iin-o-zavaabit me.n jahaa.njo munaasib baat thii vo chhaa.nT kar rakh lii ga.iiraat din kii saKHt mehnat aur jaa.n-sozii ke ba.adis kametii ne report apnii bil-aaKHir pesh kiiKHaaka-e-dastuur-e-qaumii ya.anii vo she.rii report'amn'-saahab ne raqam kii thii ba-sinf-e-masnaviiis pe raa.e-aamma ma.aluum karne ke liyeshaa.iro.n ko naql dastaavez kii bhejii ga.iimuKHtalif ahl-e-suKHan ne apne apne taur parraa.e dii dastuur me.n tarmiim yaa tansiiKH kiimasnavii me.n KHaamiyaa.n Dhuu.nDe.n zabaa.n kii jaa-ba-jaaek shaa.ir ne jo the shaagird-e-nuuh-naarviisaik.Do.n misre badal kar rakh diye kuchh is tarahnafs-e-mazmuu.n nazr ho kar rah gayaa islaah kiiun kaa kahnaa thaa ki bandish chust honii chaahiyesher ke andar balaa se ho na fikrii taazgiina.at-go hazraat kaa kahnaa thaa shaa.ir ke liyeshart avval hai ki ho jaa.e vo kaTTar maz.habiiaaqibat kii baat soche aur munaajaate.n likheus ke jan me.n kaar-aamad shaa.irii hai bas vahiiaise shaa.ir jo ki haamii the taraqqii-vaad kein kaa kahnaa thaa ki shaa.ir kaa suKHan ho maqsadiiya.anii pahle se muqarrar-karda mauzuaat parmumlikat me.n aam kii jaa.e shu.uurii shaa.iriiKHvaah sheristaan me.n is kaa na ho ko.ii vajuudlaaziman dikhlaa.ii jaa.e kashmakash tabqaat kiiik qabiila jo muKHaalif thaa shu.uurii fikr kaathaa taraqqii-vaadiyo.n se jis ko buGz-e-lillaahiiis qabiile kaa ye kahnaa thaa ki shaa.ir kaa kalaamlaaziman ho ik mu.amma qaid-e-ma.anii se bariijis ko shaa.ir KHud na samjhe nazm kar lene ke ba.adjis ko pa.Dh kar gum ho aql-e-maulvii-e-ma.anaviidekh kar dastuur me.n nazm-o-nasq kaa tazkirasaKHt barham ho ga.e kul shaa.iraan-e-naksaliiin kaa nukta thaa ki shaa.ir fitratan aazaad haius pe lag saktii nahii.n paabandiyaa.n tanziim kiizindagii me.n zaabta laane ke bilkul the KHilaafsaath naksal-vaadiyo.n ke duusre hazraat bhiimuKHtasar ye hai ki sab ne rad kiyaa dastuur kosaarii mehnat 'amn'-saahab kii akaarat ho ga.iidekh kar naa-aaqibat andeshii-e-ahl-e-suKHanis tarah goyaa hu.ii un kii mohazzab KHaamushiime.nDako.n ko taulnaa aasaa.n nahii.n hai jis tarahshaa.iro.n ko bhii munazzam karnaa mushkil hai yuu.nhii
kabhii apne aap se baahar aaTuk baiTh hamaare saathchal dukh dariyaa ke paar chale.nlaa haath me.n de de haathham apnaa honaa tyaag ketire hone par tayyaarkabhii fursat se mil yaar
us KHaamosh qil.e kiisaKHt lohe sii diivaare.nhar taraf safed Gamgiin pardevo apnii aalii-shaan kursii par baiThiiko.ii hisaab jo.D rahii haius kaa phiikaa sapaaT bojhal chehrajaise bhiitar kaa ek ruupus ke uuprii ruup rang ko khaa chukaa hoachaanak darvaaze kii dastakdabii hu.ii siskiyo.n kaa shoruu.nche darvaaze ko kholte hiius kii bhaav-vihiin aa.nkho.n me.nsa.nvednaa.o.n kii halchal ho uThtii haisub.h kii os narm dhuup me.nnaazuk kopal saa ek bachchaapnii chiiKH ko gale me.n Thuus karus kii taraf qil.e kii tarafdau.Daa aa rahaa thaaabhii gale lagaa kar ro pa.Degaa jaisevo ek Tuk use dekhtii rahtii haimagar gale nahii.n lagaa paatii vous kaa hirdai kahtaa hai ki bhej de usevaapas us ke ghar jahaa.nus kaa intizaar ho rahaa hogaais tivr ichhaa ke saathbarso.n se nirlap rahii us kii aa.nkho.n me.ndabii hu.ii bhaavnaa.e.n gatii-maan ho kar bahne lagtii haihe iishvar vo aa.nkhe.n muu.nd letii haimez par rakhii hisaabo.n vaalii kitaab dikhaa.ii detii haiaur nau-pallavit paude kiinaazuk Daalii jaisii u.ngliyaa.n thaam karvo use qil.e ke bhiitar le aatii haitotii.ng darvaaza karkash aavaaz ke saathband ho jaataa haivo bilakhte hu.e bachche ko aaGosh me.n le letii haiKHaamosh kamre me.n us ma.asuum kiidha.Dakne saa.nse.n siskiyo.n kaa shortez ho uThtaa haivo kas ke us bachche koapne bhiitar sameT kar gahrii nii.nd sulaa detii haijab ko.ii shor baaqii nahii.n rahtaa tabus ke bhiitar kaa ruudan baahar aane ko ta.Daptaa haimagar us ke adh-mare man mastishkuse yaad dilaate hai kimaut maatam nahii.n manaa saktiikaash mujhe bhii haq hotaadarvaaze pe aa.e ko vaapas bhejne kaakaashbhaarii qadmo.n pe uTh kar vous kitaab me.n kuchh jo.D detii haidin kaa ujaalaa surya kaa tejlajjit ho kar sar jhukaa lete haihavaa bhii chhobhit ho kar niilii pa.D jaatii haisaarii sirishTii a.ndhkaar kii gart me.n Duubne lagtii hai
mai.n ne apne likhne pa.Dhne ke kamre me.nqalam binaa ik nazm likhii hainazm ko mai.n nekuchh aise tartiib diyaa haisab se pahle Tuk Tuk kartiiek gha.Dii haiphir hai calendaris ke baa'd haipiital kii ik sham.a-daanii aish-trayphir beijing shaam aur singapore kiichiinii aur taa.nbe kii plaTe.nphir tho.Dii sii jagah banaa keshiishe kaa gul-daan rakhaa haius se aagemusavvirii aur theTar pardo tiin kitaabe.nvahii.n pe tirchhii kar ke rakhiiqulqul kartii ek suraahiisab ke biich me.n nanhaa saaik joker bhii haiye merii vo pahlii nazm haijis me.n ko.ii lafz nahii.n haibas paikar hai.nmerii pahlii nazm haijo qaarii aur saame.adono.n se aazaad hu.ii haiaa.nkho.n kii hamraaz hu.ii hai
bolii.n Gussa ho kar baajiighar me.n kyaa tuk hai cricket kiiadnaan aiman samra faiziibaahar jaa kar khelo naa
diide lak lakkarte Tuk Tukla.al javaahar titlii hai
duur kahii.n dariyaa ke kinaarerahte the do dost pyaareek thaa kavvaa ek kabuutarkhaate piite the vo mil karik din un kii shaamat aa.iidono.n me.n hu.ii KHuub la.Daa.iipahle apne mu.nh ko kholaaphir Gusse se kabuutar bolaakavve hote hai.n kanjuuskaale bhadde aur manhuuskaa.n-kaa.n shor machaate hai.nsaaraa din sar khaate hai.nshor se mai.n to Dartaa huu.naur bas guu.n-guu.n kartaa huu.nmujh ko apne husn pe naazuu.nchii hai merii parvaazkaale ho kaluuTe hotum to bhai.ns ke kaTTe hobaat ye sun kar kavvaa bolaatuu ne merii zaat ko tolaale ab merii baarii haijaantii duniyaa saarii haituu buzdil hai aur Darpokbaat kahuu.ngaa mai.n do-Tuukjab ko.ii billii aatii haijaa.n terii tab jaatii haikaa.nptaa hai tharraataa haiDar kar hii mar jaataa hailogo.n kaa ye kahnaa haikavvaa bahut syaanaa haiitne me.n ik loma.D aayape.D ke niiche aa kar bolaala.Dte ho kuchh sharm karolahje apne narm karoallaah allaah kiyaa karous kaa naam hii liyaa karomai.n tum ko samjhaataa huu.nphir se dost banaataa huu.njaldii se tum niiche aa.oaa kar mujh se haath milaa.odono.n pe.D se niiche aa.ela.Dne se par baaz na aa.emaut thii un ke sar par aa.iiloma.D ne ik jast lagaa.iigardan se dono.n ko pak.Daaaur apne panjo.n me.n jak.Daadaavat us ne KHuub u.Daa.iiapne peT kii aag bujhaa.iibaarii baarii un ko khaayaadono.n ko ik sabaq sikhaayaala.Dnaa bachcho kaam buraa haila.Dne kaa anjaam buraa hai
jab tak adab-baraa-e-adab kaa rahaa KHayaaladbaar-o-muflisii se rahe ham shikasta-haalsaa.e kii tarah saath nahuusat lagii rahiiik rog ban ke jaan se usrat lagii rahiigo shaa.erii kaa rang nikhartaa chalaa gayaashiiraaza-e-ma.aash bikhartaa chalaa gayaalekin KHudaa bhalaa kare ik mehrbaan kaajin ko adab-baraa-e-shikam kaa hai tajrabamausuuf ne bataa.ii hame.n vo pate kii baatab din hai roz-e-iid to shab hai shab-e-baraatall india mushaa.era majlis ke naam sekholaa hai ik idaara-e-nau dhuum-dhaam sekarte hai.n shaa.erii ke evaz ab mushaa.erais rozgaar se hai hame.n KHuub faa.edahar tiin chaar maah ke vaqfe pe be-KHalalapne programme pe karte hai.n ham amalya.anii mushaa.ere kaa chalaate hai.n kaarobaarchhapvaa ke roz-naamo.n me.n jhuuTaa ye ishtihaar'josh'-o-'firaaq'-o-'saahir' o 'parvez' shaahidii'faiz'-o-'KHaliil'-o-'jazbii' o 'maKHduum'-o-'ja.afarii'kursii-o-arsh-o-lauh-o-qalam sab hii aa.e.ngetaaza kalaam apnii zabaa.n se sunaa.e.ngeis ishtihaar me.n vo kashish hai ki ahl-e-zauqlete hai.n daaKHle kaa ticket dau.D kar ba-shauqcircus me.n jis tarah se ho KHilqat kaa izhdihaamyuu.nhii mushaa.ere me.n pahu.nchte hai.n KHaas-o-aamsab log baiTh jaate hai.n farsh-e-zamii.n pe jabmic pe jaa ke karte hai.n elaan ham ye tabafsos hai ki aa na sake 'josh' aur 'firaaq'ye moscow ravaana hu.e vo ga.e iraq'jazbii' ko iKHtilaaj hai 'parvez' hai.n aliilgaa.Dii zaraa sii chuuk se miss kar ga.e 'KHaliil'bhejii hai 'faiz'-o-'saahir'-o-'maKHduum' ne KHabarseat un ko mil sakii na havaa.ii jahaaz pargo ye KHabar dilo.n ko guzartii hai naagavaarhonaa hai jalsa-gaah me.n tho.Daa saa intishaarle kar magar zehaanat-e-fitrii se kaam hamdam-bhar me.n saama.iin ko karte hai.n raam hamDais pe tuk-farosho.n kaa rahtaa hai ik hujuumfilmii dhuno.n me.n gaane kii jin ke ba.Dii hai dhuumjo KHud ticket KHariid ke aate hai.n bazm me.nham un se apnaa kaam chalaate hai.n bazm me.nle le ke gaTkarii jo sunaate hai.n vo kalaamu.Dte hai.n vaah vaah ke na.aro.n se saqf-o-baambazm-e-nashaat bantaa hai saaraa mushaa.erahotaa hai kaamyaab hamaaraa mushaa.eraKHush-KHush gharo.n ko jaate hai.n huzzaar ik tarafnoTo.n kaa ham lagaate hai.n ambaar ik tarafye KHidmat-e-adab kaa tariiqa hai laa-javaabpesha ye vo hai jis me.n munaafa hai be-hisaab
rishta zamiin se bhii rahtaa hai aasmaa.n parko.ii use bulaa.e aa.e na vo utar karbas duur hii se Tuk-Tuk ham ko vo tak rahaa haichaa.ndii kii tashtarii saa cham-cham chamak rahaa hai
raat ke do bajne vaale hai.nnii.nd kii devii ruuTh ga.ii hailaakh bulaa.uu.n laakh manaa.uu.nik ziddii bachchii sii ruuThiiduur kahii.n kone me.n kha.Dii haipaas mire aatii hii nahii.n haider se takiye par sar rakkheik Tuk chhat ko ghuur rahaa huu.nchhat hai jaise mere maazii kaa ik darpanjis par biit ga.e saalo.n kii dhuul aTii haidhuul ke parde se rah rah karkitne chehre jhaa.nk rahe hai.nhar chehre ke gird hai.n raqsaa.nkitnii yaade.nbhuulii-bisrii aadhii puurii ka.Dvii miiThiitakte takte thak saa gayaa huu.nsoch rahaa huu.nkaashye darpan TuuT hii jaa.eman kaa sotaa suukh hii jaa.e
mujh se pahlii sii mohabbat mirii mahbuub na maa.ngmai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKHshaa.n hai hayaatteraa Gam hai to Gam-e-dahr kaa jhag.Daa kyaa haiterii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaatterii aa.nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa haituu jo mil jaa.e to taqdiir niguu.n ho jaa.eyuu.n na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.n ho jaa.eaur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaaraahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
tum jab aa.ogii to khoyaa hu.aa paa.ogii mujhemerii tanhaa.ii me.n KHvaabo.n ke sivaa kuchh bhii nahii.nmere kamre ko sajaane kii tamannaa hai tumhe.nmere kamre me.n kitaabo.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books