aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "umar"
sunaa hai ek umr haimu.aamalaat-e-dil kii bhiivisaal-e-jaa.n-fazaa,n to kyaafiraaq-e-jaa.ngusil kii bhii
ye dhuup kinaaraa shaam Dhalemilte hai.n dono.n vaqt jahaa.njo raat na din jo aaj na kalpal-bhar ko amar pal bhar me.n dhu.aa.nis dhuup kinaare pal-do-palho.nTo.n kii lapakbaa.nho.n kii chhanakye mel hamaaraa jhuuT na sachkyuu.n raar karo kyuu.n dosh dharokis kaaran jhuuTii baat karojab terii samundar aa.nkho.n me.nis shaam kaa suuraj Duubegaasukh so.e.nge ghar dar vaaleaur raahii apnii rah legaa
aa.o ki ko.ii KHvaab bune.n kal ke vaastevarna ye raat aaj ke sa.ngiin daur kiiDas legii jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o diltaa-umr phir na ko.ii hasii.n KHvaab bun sake.n
aaj kaa din kaise guzregaa kal guzregaa kaisekal jo pareshaanii me.n biitaa vo bhuulegaa kaisekitne din ham aur jiye.nge kaam hai.n kitne baaqiikitne dukh ham kaaT chuke hai.n aur hai.n kitne baaqiiKHaas tarah kii soch thii jis me.n siidhii baat ga.nvaa diichhoTe chhoTe vahmo.n hii me.n saarii umar bitaa dii
mai.n apne band kamre me.n pa.Daa huu.naur ik diivaar par nazre.n jamaa.emanaazir ke ajuube dekhtaa huu.nusii diivaar me.n ko.ii KHalaa haimujhe jo Gaar jaisaa lag rahaa haivahaa.n mak.Dii ne jaal bun liyaa haiaur ab apne hii jaal me.n pha.nsii haivahii.n par ek murda chhipkilii haika.ii sadiyo.n se jo saakit pa.Dii haiab us par kaa.ii jamtii jaa rahii haiaur us me.n ek jangal dikh rahaa haidaraKHto.n se parinde gir rahe hai.nkulhaa.Dii shaaKH par laTkii hu.ii hailaka.Dhaare pe giida.D ha.ns rahemusalsal tez baarish ho rahii haikisii patte se gir kar ek qatraachaanak ek samundar ban gayaa haisamundar naav se la.Dne lagaa haimachheraa machhliyo.n me.n ghir gayaa haiaur ab patvaar siine se lagaa karvo niile aasmaa.n ko dekhtaa haijo yak-dam zard pa.Dtaa jaa rahaa haivo kaise ret bantaa jaa rahaa haimujhe ab sirf sahraa dikh rahaa haiaur us me.n dhuum kii chaadar bichhii haimagar vo ek jagah se phaT rahii haivahaa.n par ek saaya naachtaa haijahaa.n bhii pair dhartaa hai vahaa.n parsunahre phuul khilte jaa rahe haiye sahraa baaG bantaa jaa rahaa haiaur us me.n titliyaa.n dikhtii hai.nparo.n me.n jin ke niilii raushnii haivo har pal tez hotii jaa rahii haiso merii aa.nkh me.n chubhne lagii haiso mai.n ne haath aa.nkho.n par rakhe hai.naur ab u.nglii haTaa kar dekhtaa huu.nki apne band kamre me.n pa.Daa huu.naur ik diivaar ke aage kha.Daa huu.n
sochaa na thaa ki aa.egaa ye din bhii phir kabhiiik baar phir mile hai.n, zaraa muskuraa to le.n!kyaa jaane ab na ulfat-e-deriina yaad aa.eis husn-e-iKHtiyaar pe aa.nkhe.n jhukaa to le.nbarsaa labo.n se phuul tirii umar ho daraazsambhle hu.e to hai.n pa zaraa Dagmagaa to le.n
mai.n ek gurezaa.n lamha huu.nayyaam ke afsuu.n-KHaane me.nmai.n ek ta.Daptaa qatra huu.nmasruuf-e-safar jo rahtaa haimaazii kii suraahii ke dil semustaqbil ke paimaane me.nmai.n sotaa huu.n aur jaagtaa huu.naur jaag ke phir so jaataa huu.nsadiyo.n kaa puraanaa khel huu.n mai.nmai.n mar ke amar ho jaataa huu.n
umar bhar re.ngte rahne se kahii.n behtar haiek lamha jo tirii ruuh me.n vus.at bhar deek lamha jo tire giit ko shoKHii de deek lamha jo tirii lai me.n masarrat bhar de
ik umr ke baa'd tum mile hoai mere vatan ke KHush-navaa.ohar hijr kaa din thaa hashr kaa dindozaKH the firaaq ke alaa.oro.uu.n ki ha.nsuu.n samajh na aa.ehaatho.n me.n hai.n phuul dil me.n ghaa.otum aa.e to saath hii tumhaarebichh.De hu.e yaar yaad aa.eik zaKHm pe tum ne haath rakkhaaaur mujh ko hazaar yaad aa.evo saare rafiiq paa-ba-jaulaa.nsab kushta-e-daar yaad aa.eham sab kaa hai ek hii qabiilaik dasht ke saare ham-safar hai.nkuchh vo hai.n jo duusro.n kii KHaatiraashufta-nasiib o dar-ba-dar hai.nkuchh vo hai.n jo KHil.at-o-qabaa seaivaan-e-shahii me.n mo'tabar hai.nsuqraat o masiih ke fasaanetum bhii to bahut sunaa rahe themansuur o husain se aqiidattum bhii to bahut jataa rahe thekahte the sadaaqate.n amar hai.nauro.n ko yahii bataa rahe theaur ab jo hai.n jaa-ba-jaa saliibe.ntum baa.nsuriyaa.n bajaa rahe hoaur ab jo hai karbalaa kaa naqshatum mad.h-e-yaziid gaa rahe hojab sach tah-e-teG ho rahaa haitum sach se nazar churaa rahe hojii chaahtaa hai ki tum se puuchhuu.nkyaa raaz is ijtinaab me.n haitum itne kaThor to nahii.n theye be-hisii kisii hisaab me.n haitum chup ho to kis tarah se chup hojab KHalq-e-KHudaa azaab me.n haisocho to tumhe.n milaa bhii kyaa haiik luqma-e-tar qalam kii qiimatGairat ko faroKHt karne vaaloik kaasa-e-zar qalam kii qiimatpindaar ke taajiro bataa.odarbaan kaa dar qalam kii qiimatnaadaa.n to nahii.n ho tum ki samjhuu.nGaflat se ye zahr gholte hothaame hu.e maslahat kii miizaanhar sher kaa vazn taulte hoaise me.n sukuut, chashm-poshiiaisaa hai ki jhuuT bolte hoik umr se adl o sidq kii laashGaasib kii saliib par ja.Dii haiis vaqt bhii tum Gazal-saraa hojab zulm kii har gha.Dii ka.Dii haija.ngal pe lapak rahe hai.n sholetaa.uus ko raqs kii pa.Dii haihai sab ko aziiz kuu-e-jaanaa.nis raah me.n sab jiye mare hai.nhaa.n merii bayaaz-e-sher me.n bhiibarbaadi-e-dil ke marsiye hai.nmai.n ne bhii kiyaa hai TuuT kar ishqaur ek nahii.n ka.ii kiye hai.nlekin Gam-e-aashiqii nahii.n haiaisaa jo subuk-sarii sikhaa.eye Gam to vo KHush-ma.aal Gam haijo koh se juu-e-shiir laa.eteshe kaa hunar qalam ko baKHshejo qais ko kohkan banaa.eai hiila-garaan-e-shahr-e-shiirii.naayaa huu.n pahaa.D kaaT kar mai.nhai be-vatanii gavaah meriihar-chand phiraa huu.n dar-ba-dar mai.nbechaa na Guruur-e-nai-navaaziiaisaa bhii na thaa subuk hunar me.ntum bhii kabhii ham-navaa the merephir aaj tumhe.n ye kyaa hu.aa haimiTTii ke vaqaar ko na bechoye ahd-e-sitam jihaad kaa haidaryuuza-garii ke maqbaro.n sezindaa.n kii fasiil KHushnumaa haikab ek hii rut rahii hameshaye zulm kii fasl bhii kaTegiijab harf kahegaa qum-be-izniimartii hu.ii KHaak jii uThegiilailaa-e-vatan ke pairahan me.nbaaruud kii buu nahii.n rahegiiphir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohephir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.ngeThahraa.e.nge un labo.n ko matlaajaanaa.n ke liye suKHan kahe.ngeafsaana-e-yaar o qissa-e-dilphir anjuman anjuman kahe.nge
ma.abuud is aaKHirii safar me.ntanhaa.ii ko sruKH-ruu hii rakhnaajuz tere nahii.n ko.ii nigah-daarus din bhii KHayaal tuu hii rakhnaajis aa.nkh ne umar bhar rulaayaaus aa.nkh ko be-vazuu hii rakhnaa
ye haath salaamat hai.n jab tak is KHuu.n me.n haraarat hai jab takis dil me.n sadaaqat hai jab tak is nutq me.n taaqat hai jab takin tauq-o-salaasil ko ham tum sikhlaae.nge shorish-e-barbat-o-naivo shorish jis ke aage zubuu.n ha.ngaama-e-tabl-e-qaisar-o-kaiaazaad hai.n apne fikr o amal bharpuur KHaziina himmat kaaik umar hai apnii har saa.at imroz hai apnaa har fardaaye shaam-o-sahar ye shams-o-qamar ye aKHtar-o-kaukab apne hai.nye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam ye maal-o-hasham sab apne hai.n
mai.n apnii biimaarii bataane se ma.azuur huu.nmujhe zabaan kii ajiib biimaarii ho ga.ii haiso guftuguu se parhez karne par majbuur huu.nmeraa lahja karaKHt aur aavaaz bhaarii ho ga.ii hai
aaj a.ndheraa mirii nas nas me.n utar jaa.egaaaa.nkhe.n bujh jaa.e.ngii bujh jaa.e.nge ehsaas o shu.uuraur ye sadiyo.n se jaltaa saa sulagtaa saa vajuudis se pahle ki sahar maathe pe shabnam chhi.Dkeis se pahle ki mirii beTii ke vo phuul se haathgarm ruKHsaar ko ThanDak baKHshe.nis se pahle ki mire beTe kaa mazbuut badantan-e-mafluuj me.n shaktii bhar deis se pahle ki mirii biivii ke ho.nTmere ho.nTo.n kii tapish pii jaa.e.nraakh ho jaa.egaa jalte jalteaur phir raakh bikhar jaa.egii
qaum kii behtarii kaa chho.D KHayaalfikr-e-ta.amiir-e-mulk dil se nikaalteraa parcham hai teraa dast-e-savaalbe-zamiirii kaa aur kyaa ho ma.aalab qalam se izaar-band hii Daal
jabiin-e-vaqt par likkhii hu.ii sachchaa.iyaa.n raushan rahii hai.ntaa-abad raushan rahe.ngiiKHudaa shaahid hai aur vo zaat shaahid hai ki jo vaj.h-e-asaas-e-anafas-o-aafaaq haiaur KHair kii taariiKH kaa vo baab-e-avval haiabad tak jis kaa faizaan-e-karam jaarii rahegaayaqii.n ke aagahii ke raushnii ke qaafile har daur me.n aate rahe hai.ntaa-abad aate rahe.ngeabuu-taalib ke beTe hifz-e-naamuus-e-risaalat kii rivaayat ke amii.n thejaan denaa jaante thevo muslim ho.n ki vo abbaas ho.n aun o mohamaad ho.n alii-akbar ho.n qaasim ho.n alii-asGar ho.nhaq pahchaante thelashkar-e-baatil ko kab gardaante theabuu-taalib ke beTe sar-buriida ho ke bhii ailaan-e-haq karte rahe hai.nabuu-taalib ke beTe paa-ba-jaulaa.n ho ke bhii ailaan-e-haq karte rahe hai.nabuu-taalib ke beTe sarf-e-zindaa.n ho ke bhii ailaan-e-haq karte rahe hai.nmadiina ho najaf ho karbalaa ho kaazimain o saamira ho mash.had o baGdaad hoaal-e-abuu-taalib ke qadmo.n ke nishaa.ninsaaniyat ko us kii manzil kaa pata dete rahe hai.n taa-abad dete rahe.ngeabuu-taalib ke beTo.n aur Gulmaan-e-alii-ibn-e-abii-taalib me.n ik nisbat rahii haimohabbat kii ye nisbat umar bhar qaa.em rahegiitaa-abad qaa.em rahegii
uThaa.o haath ki dast-e-du.aa buland kare.nhamaarii umar kaa ik aur din tamaam hu.aaKHudaa kaa shukr bajaa laa.e.n aaj ke din bhiina ko.ii vaaqi.a guzraa na aisaa kaam hu.aazabaa.n se kalma-e-haq-raast kuchh kahaa jaataazamiir jaagtaa aur apnaa imtihaa.n hotaaKHudaa kaa shukr bajaa laa.e.n aaj kaa din bhiiusii tarah se kaTaa mu.nh-a.ndhere uTh baiThepyaalii chaa.e kii pii KHabre.n dekhii.n naashta parsubuut baiThe basiirat kaa apnii dete raheba-KHair o KHuubii palaT aa.e jaise shaam hu.iiaur agle roz kaa mauhuum KHauf dil me.n liyeDare Dare se zaraa baal pa.D na jaa.e kahii.nliye diye yuu.nhii bistar me.n jaa ke leT ga.e
ek din hazrat-e-faaruuq ne mimbar pe kahaakyaa tumhe.n hukm jo kuchh duu.n to karoge manzuurek ne uTh ke kahaa ye ki na maane.nge kabhiiki tire adl me.n ham ko nazar aataa hai futuurchaadare.n maal-e-Ganiimat me.n jo ab ke aa.ii.nsehan-e-masjid me.n vo taqsiim hu.ii.n sab ke huzuurun me.n har ek ke hisse me.n faqat ik aa.iithaa tumhaaraa bhii vahii haq ki yahii hai dastuurab jo ye jism pe tere nazar aataa hai libaasye usii luuT kii chaadar se banaa hogaa zaruurmuKHtasar thii vo ridaa aur tiraa qad hai daraazek chaadar me.n tiraa jism na hogaa mastuurapne hisse se ziyaada jo liyaa tuu ne to abtuu KHilaafat ke na qaabil hai na ham hai.n maamuurgarche vo had-e-manaasib se ba.Dhaa jaataa thaasab ke sab mohr-ba-lab the che inaas o che zakuurrok de ko.ii kisii ko ye na rakhtaa thaa majaalnashsha-e-adl-o-masaavaat se sab the maKHmuurapne farzand se faaruuq-e-mo.azzam ne kahaatum ko hai haalat-e-aslii kii haqiiqat pe ubuurtumhii.n de sakte ho is kaa mirii jaanib se javaabki na pak.De mujhe mahshar me.n miraa rabb-e-Gafuurbole ye ibn-e-umar sab se muKHaatib ho karis me.n kuchh vaalid-e-maajid kaa nahii.n jurm o qusuurek chaadar me.n jo puuraa na hu.aa un kaa libaaskar sakii is ko gavaaraa na mirii tab-e-Gayuurapne hisse kii bhii mai.n ne unhe.n chaadar de diivaaqi.a kii ye haqiiqat hai ki jo thii mastuurnukta-chii.n ne ye kahaa uTh ke ki haa.n ai faaruuqhukm de ham ko ki ab ham use maane.nge zaruur
mai.n vo shajar thaaki mere saa.e me.n baiThne aur shaaKHo.n pe jhuulne kii hazaaro.n jismo.n ko aarzuu thiizamii.n kii aa.nkhe.n daraazi-e-umar kii du.aa.o.n me.n ro rahii thii.naur suuraj ke haath thakte nahii.n the mujh ko sa.nvaarne me.nki mai.n ik aavaaz kaa safar thaaajab shajar thaaki us musaafir kaa muntazir thaajo mere saa.e me.n aa ke baiThe to phir na uTThejo merii shaaKHo.n pe aa.e jhuule to saare mausam yahii.n guzaaremagar vo paagal havaa kaa jho.nkaa magar vo paagal havaa kaa jho.nkaaajab musaafir thaa rahguzar kaajo chho.D aayaa thaa kitnii shaaKHe.nmagar lagaa yuu.n ki jaise ab vo shikasta-tar haivo mere KHvaabo.n kaa ham-safar haiso mai.n ne saa.e bichhaa diye thetamaam jhuule hilaa diye themagar vo paagal havaa kaa jho.nkaa magar vo paagal havaa kaa jho.nkaaajab musaafir thaa rahguzar thaaki lamhe bhar me.n guzar chukaa thaamai.n be-numuu aur be-samar thaamagar mai.n aavaaz kaa safar thaaso merii aavaaz kaa ajar thaaajab shajar thaaajab shajar huu.nki aane vaale sah kah rahaa huu.nai mere dil me.n utarne vaaleai mujh ko shaadaab karne vaaletujhe mirii raushnii mubaaraktujhe mirii zindagii mubaarak
KHayaabaan-e-sa.adii me.nruusii kitaabo.n kii dukkaan par ham kha.De themujhe ruus ke chiida san.at-garo.n kena.e kaarnaamo.n kii ik umar se tishnagii thii!mujhe ruusiyo.n ke siyaasii ''hama-uusat'' se ko.ii raGbat nahii.n haimagar zarre zarre me.ninsaa.n ke jauhar kii taabindagii dekhne kii tamannaa hamesha rahii hai!aur us shaam to mursida kii uruusii thiius shoKH diivaanii la.Dkii kii KHaatirmujhe ek naazuk sii sauGaat kii justujuu thii
chhalak ke aa.nsuu gire.nge un paruThaa ke saare bosiida kaaGazlagaa ke dil se gulaab saarelapak ke bhaagogii phir galii me.nvahaa.n pe bachche jo khelte hai.ntum un se puuchhogii jaa ke meraayahaa.n pe bastaa thaa ek shaa.iryahaa.n pe rahtaa thaa ek saa.imkahaa.n hai vo ab kidhar gayaa haibachche hairat se tujh ko dekhe.ngetum ho votum ho vojis se ulfat nibhaa nibhaa karvo jis ke qisse sunaa sunaa karvafaa ko kar ke amar gayaa vo
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books