Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Aap be-bahra hai jo motaqid-e-Meer nahii.n

Mir Taqi Mir has been used by a number of poets as a subject in their poetry. All poets who wrote after Mir acknowledged him as a master. While reading these verses you may see how Mir has been a healthy obsession with the poets through ages.

reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'

kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā

reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'

kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha

Mirza Ghalib

shāgird haiñ ham 'mīr' se ustād ke 'rāsiḳh'

ustādoñ ustād hai ustād hamārā

shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'

ustadon ka ustad hai ustad hamara

Rasikh Azimabadi

'mīr' rañg baratnā nahīñ āsāñ ai 'dāġh'

apne dīvāñ se milā dekhiye dīvāñ un

'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'

apne diwan se mila dekhiye diwan un ka

Dagh Dehlvi

sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'

'mīr' sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ

sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'

'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun

Hasrat Mohani

na huā par na huā 'mīr' andāz nasīb

'zauq' yāroñ ne bahut zor ġhazal meñ maarā

na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib

'zauq' yaron ne bahut zor ghazal mein mara

Shaikh Ibrahim Zauq

guzre bahut ustād magar rañg-e-asar meñ

be-misl hai 'hasrat' suḳhan-e-'mīr' abhī tak

guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein

be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak

Hasrat Mohani

'saudā' is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal kah

honā hai tujh ko 'mīr' se ustād taraf

'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah

hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf

Sauda Mohammad Rafi

'hālī' suḳhan meñ 'sheftā' se mustafīd hai

'ġhālib' mo'taqid hai muqallid hai 'mīr'

'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai

'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka

Altaf Hussain Hali

ab ḳhudā maġhfirat kare us

'mīr' marhūm thā ajab koī

ab KHuda maghfirat kare us ki

'mir' marhum tha ajab koi

Mushafi Ghulam Hamdani

sirf zabāñ naqqālī se baat na ban pā.egī 'hafīz'

dil par kaarī choT lage to 'mīr' lahja aa.e hai

sirf zaban ki naqqali se baat na ban paegi 'hafiz'

dil par kari choT lage to 'mir' ka lahja aae hai

Hafeez Merathi

'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ

'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasiKH'

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

Mirza Ghalib

go ki 'mīr' se huā behtar

'mus.hafī' phir bhī 'mīr' 'mīr' hai

go ki tu 'mir' se hua behtar

'mushafi' phir bhi 'mir' 'mir' hi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

maiñ huuñ kyā chiiz jo us tarz pe jā.ūñ 'akbar'

'nāsiḳh' o 'zauq' bhī jab chal na sake 'mīr' ke saath

main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'

'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath

Akbar Allahabadi

shubh 'nāsiḳh' nahīñ kuchh 'mīr' ustādī meñ

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ

shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein

aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

Imam Bakhsh Nasikh

'iqbāl' navā se musharraf hai go 'na.īm'

urdu ke sar pe 'mīr' ġhazloñ taaj hai

'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'

urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai

Hasan Naim

mū-e-juz 'mīr' jo the fan ke ustād

yahī ik reḳhta-go ab rahā hai

mu-e-juz 'mir' jo the fan ke ustad

yahi ek reKHta-go ab raha hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now