Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Dar Shayari

darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e

aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho

darwaza khula hai ki koi lauT na jae

aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho

Athar Nafees

darvāza jo kholā to nazar aa.e khaḌe vo

hairat hai mujhe aaj kidhar bhuul paḌe vo

darwaza jo khola to nazar aae khaDe wo

hairat hai mujhe aaj kidhar bhul paDe wo

Parveen Shakir

bas ik pukār pe darvāza khol dete haiñ

zarā sabr bhī in āñsuoñ se hotā nahīñ

bas ek pukar pe darwaza khol dete hain

zara sa sabr bhi in aansuon se hota nahin

Shakeel Azmi

tumhāre ghar meñ darvāza hai lekin tumheñ ḳhatre andāza nahīñ hai

hameñ ḳhatre andāza hai lekin hamāre ghar meñ darvāza nahīñ hai

tumhaare ghar mein darwaza hai lekin tumhein KHatre ka andaza nahin hai

hamein KHatre ka andaza hai lekin hamare ghar mein darwaza nahin hai

Unknown

darvāza band dekh ke mere makān

jhoñkā havā khiḌkī ke parde hilā gayā

darwaza band dekh ke mere makan ka

jhonka hawa ka khiDki ke parde hila gaya

Adil Mansuri

khol dete haiñ palaT aane pe darvāza-e-dil

aane vaale irāda nahīñ dekhā jaatā

khol dete hain palaT aane pe darwaza-e-dil

aane wale ka irada nahin dekha jata

Tariq Naeem

darvāza koī ghar se nikalne ke liye de

be-ḳhauf koī rāsta chalne ke liye de

darwaza koi ghar se nikalne ke liye de

be-KHauf koi rasta chalne ke liye de

Sheen Kaaf Nizam

raat bhar koī na darvāza khulā

dastakeñ detī rahī pāgal havā

raat bhar koi na darwaza khula

dastaken deti rahi pagal hawa

Iqbal Naved

us ne jab darvāza mujh par band kiyā

mujh par us mahfil ke ādāb khule

us ne jab darwaza mujh par band kiya

mujh par us ki mahfil ke aadab khule

Ghulam Murtaza Rahi

ḳhvāb darvāza kui masdūd kar detā hai roz

paḌte haiñ rātoñ ko yaañ aise patthar ḳhvāb meñ

KHwab ka darwaza kui masdud kar deta hai roz

paDte hain raaton ko yan aise hi patthar KHwab mein

Mushafi Ghulam Hamdani

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now