Sher of Mubarak Shamim
kyā ḳhabar kab qaid-e-bām-o-dar se uktā jaa.e dil
bastiyoñ ke darmiyāñ sahrā bhī honā chāhiye
kya KHabar kab qaid-e-baam-o-dar se ukta jae dil
bastiyon ke darmiyan sahra bhi hona chahiye
us ko dhuñdlā na sakegā kabhī lamhoñ kā ġhubār
merī hastī kā varaq yūñhī khulā rahne de
us ko dhundla na sakega kabhi lamhon ka ghubar
meri hasti ka waraq yunhi khula rahne de
jo sāya-dār shajar the vo sarf-e-dār hue
dikhā.ī dete nahīñ duur duur tak saa.e
jo saya-dar shajar the wo sarf-e-dar hue
dikhai dete nahin dur dur tak sae
muddat guzrī Duub chukā huuñ dard kī pyāsī lahroñ meñ
zinda huuñ ye koī na jaane saañs ke aane jaane se
muddat guzri Dub chuka hun dard ki pyasi lahron mein
zinda hun ye koi na jaane sans ke aane jaane se
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bol kis moḌ pe huuñ kashmakash-e-marg-o-hayāt
aise aalam meñ kahāñ chhoḌ diyā hai mujh ko
bol kis moD pe hun kashmakash-e-marg-o-hayat
aise aalam mein kahan chhoD diya hai mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā tamāsha hai ki ab har shaḳhs ko ye vahm hai
sab se maiñ ūñchā huuñ mujh se koī bhī ūñchā nahīñ
kya tamasha hai ki ab har shaKHs ko ye wahm hai
sab se main uncha hun mujh se koi bhi uncha nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har ik patthar ko hiirā kyoñ samajh leñ
har ik patthar agarche dīdanī hai
har ek patthar ko hira kyon samajh len
har ek patthar agarche didani hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huā kyā ai nasīm-e-sub.h-gāhī
jo murjhāyā huā dil kā kañval hai
hua kya ai nasim-e-subh-gahi
jo murjhaya hua dil ka kanwal hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nazar aatī nahīñ haiñ kam-nazar ko
sarāboñ ke jigar meñ naddiyāñ haiñ
nazar aati nahin hain kam-nazar ko
sarabon ke jigar mein naddiyan hain
dīda-e-be-nūr ik aalam hai kyā ye jhuuT hai
har taraf phailā huā hai tīrgī kā silsila
dida-e-be-nur ek aalam hai kya ye jhuT hai
har taraf phaila hua hai tirgi ka silsila
-
Tag : Duniya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhārī yaad ke saa.e bhī kuchh simaT se ga.e
ġhamoñ kī dhuup to bāhar thī aks andar thā
tumhaari yaad ke sae bhi kuchh simaT se gae
ghamon ki dhup to bahar thi aks andar tha
jī yahī kahtā hai ab chal ke vahīñ jā Thahro
ham ne vīrānoñ meñ dekhe haiñ vo āsār ki bas
ji yahi kahta hai ab chal ke wahin ja Thahro
hum ne viranon mein dekhe hain wo aasar ki bas
-
Tag : Virani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download