Sher of Nivesh Sahu
rone lage to kaun hameñ chup karā.egā
so is kī ehtiyāt hai ham ro nahīñ rahe
rone lage to kaun hamein chup karaega
so is ki ehtiyat hai hum ro nahin rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
agar hotā to ḳhud ko phir banātā
magar afsos kūza-gar nahīñ huuñ
agar hota to KHud ko phir banata
magar afsos kuza-gar nahin hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum ko afsos tumheñ Thiik banāyā na gayā
aur ik ham ki abhī chaak pe rakkhe na ga.e
tum ko afsos tumhein Thik banaya na gaya
aur ek hum ki abhi chaak pe rakkhe na gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne āñgan meñ parinde dekh kar
jism kī Tahnī se uḌ jaate haiñ ham
apne aangan mein parinde dekh kar
jism ki Tahni se uD jate hain hum
hosh meñ aate hī ho jaate haiñ chup
aur be-hoshī meñ chillāte haiñ ham
hosh mein aate hi ho jate hain chup
aur be-hoshi mein chillate hain hum
ye gila hai ki hārtā bhī nahīñ
biich meñ khel chhoḌ detā huuñ
ye gila hai ki haarta bhi nahin
bich mein khel chhoD deta hun
is jangal ke peḌoñ se maiñ vāqif huuñ
gir jaate the jis par saayā karte the
is jangal ke peDon se main waqif hun
gir jate the jis par saya karte the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī qissa nahīñ sunāne ko
kaise bahlā.ūñgā zamāne ko
koi qissa nahin sunane ko
kaise bahlaunga zamane ko
ik sadā āsmāñ se aatī hai
aur maiñ dhyān tak nahīñ detā
ek sada aasman se aati hai
aur main dhyan tak nahin deta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sochtā huuñ ki tujh ko mujh se koī
hādisa hī bachā ke le jaa.e
sochta hun ki tujh ko mujh se koi
hadisa hi bacha ke le jae
haTā lī vaqt rahte aañkh qissa-go kī āñkhoñ se
mujhe us kī kahānī par bharosa hone vaalā thā
haTa li waqt rahte aankh qissa-go ki aankhon se
mujhe us ki kahani par bharosa hone wala tha
zaḳhm hare rahte haiñ dekhā-dekhī meñ
aur nazar-andāzī meñ bhar jaate haiñ
zaKHm hare rahte hain dekha-dekhi mein
aur nazar-andazi mein bhar jate hain
zinda rahā to kaun sā zinda rahūñgā maiñ
mar bhī gayā to kaun sā maiñ mar hī jā.ūñgā
zinda raha to kaun sa zinda rahunga main
mar bhi gaya to kaun sa main mar hi jaunga
nihāyat bhale tajriba-kār ahl-e-vafā chun liye haiñ
hamārī suhūlat se ham ne hamāre ḳhudā chun liye haiñ
nihayat bhale tajriba-kar ahl-e-wafa chun liye hain
hamari suhulat se hum ne hamare KHuda chun liye hain
kyā hai ki ham us ko kabhī puure nahīñ paḌte
ham hī nahīñ kar paate haiñ bharpā.ī hamārī
kya hai ki hum us ko kabhi pure nahin paDte
hum hi nahin kar pate hain bharpai hamari