Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne andaz mein auron se juda lagte ho

Wajeeh Sani

apne andaz mein auron se juda lagte ho

Wajeeh Sani

MORE BYWajeeh Sani

    apne andāz meñ auroñ se judā lagte ho

    tum pujārī nahīñ lagte ho ḳhudā lagte ho

    kis qadar maan se rokā thā use jaane se

    jis ne pūchhā hai javāban mire kyā lagte ho

    nīchī nazreñ kiye simTe hue ghabrā.e hue

    tum mujassam kyā kaheñ us ko hayā lagte ho

    achchhī lagtī ho mujhe tum kyā tumheñ maiñ achchhā

    nā-mukammal thā savāl us ne kahā lagte ho

    mujh se chhin jāoge tum dil ko ye ḳhadsha bhī nahīñ

    kis ne chhīnī hai duā tum to duā lagte ho

    kyā ho tum dhuup sūrat kabhī aa chubhte ho

    aur kabhī tez kabhī narm havā lagte ho

    apne andaz mein auron se juda lagte ho

    tum pujari nahin lagte ho KHuda lagte ho

    kis qadar man se roka tha use jaane se

    jis ne puchha hai jawaban mere kya lagte ho

    nichi nazren kiye simTe hue ghabrae hue

    tum mujassam kya kahen us ko haya lagte ho

    achchhi lagti ho mujhe tum kya tumhein main achchha

    na-mukammal tha sawal us ne kaha lagte ho

    mujh se chhin jaoge tum dil ko ye KHadsha bhi nahin

    kis ne chhini hai dua tum to dua lagte ho

    kya ho tum dhup ki surat kabhi aa chubhte ho

    aur kabhi tez kabhi narm hawa lagte ho

    Source:

    Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 149)

    • Author: Wajih Sani
      • Edition: 2016
      • Publisher: Samiya Publication
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now