tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi

Mazhar Imam

tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

  hai gar mujh se ḳhafā ḳhud se ḳhafā huuñ maiñ bhī

  mujh ko pahchān ki terī adā huuñ maiñ bhī

  ek tujh se nahīñ fasl-e-tamannā shādāb

  vahī mausam huuñ vahī āb-o-havā huuñ maiñ bhī

  mujh ko paanā ho to har lamha talab kar na mujhe

  raat ke pichhle pahar māñg! duā huuñ maiñ bhī

  sabt huuñ dast-e-ḳhamoshī pe hinā sūrat

  nā-shunīda sahī terā kahā huuñ maiñ bhī

  jaane kis samt chalūñ kaun se ruḳh muḌ jā.ūñ

  mujh se mat mil ki zamāne havā huuñ maiñ bhī

  yuuñ na murjhā ki mujhe ḳhud pe bharosā na rahe

  pichhle mausam meñ tire saath khilā huuñ maiñ bhī

  tu hai gar mujh se KHafa KHud se KHafa hun main bhi

  mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi

  ek tujh se hi nahin fasl-e-tamanna shadab

  wahi mausam hun wahi aab-o-hawa hun main bhi

  mujh ko pana ho to har lamha talab kar na mujhe

  raat ke pichhle pahar mang! dua hun main bhi

  sabt hun dast-e-KHamoshi pe hina ki surat

  na-shunida hi sahi tera kaha hun main bhi

  jaane kis samt chalun kaun se ruKH muD jaun

  mujh se mat mil ki zamane ki hawa hun main bhi

  yun na murjha ki mujhe KHud pe bharosa na rahe

  pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Unknown

  Unknown

  Source :
  • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 90)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY