Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

Ummeed Fazli

wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

Ummeed Fazli

MORE BYUmmeed Fazli

    vo ḳhvāb sahī pesh-e-nazar to ab bhī hai

    bichhaḌne vaalā sharīk-e-safar to ab bhī hai

    zabāñ-burīda sahī maiñ ḳhizāñ-rasīda sahī

    harā-bharā mirā zaḳhm-e-hunar to ab bhī hai

    hamārī dar-ba-darī par na jā.iye ki hameñ

    shu.ūr-e-sāya-e-dīvār-o-dar to ab bhī hai

    kahāniyāñ haiñ agar mo'atabar to phir ik shaḳhs

    kahāniyoñ tarah mo'atabar to ab bhī hai

    magar ye kaun badaltī huī rutoñ se kahe

    shajar meñ saaya nahīñ hai shajar to ab bhī hai

    wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

    bichhaDne wala sharik-e-safar to ab bhi hai

    zaban-burida sahi main KHizan-rasida sahi

    hara-bhara mera zaKHm-e-hunar to ab bhi hai

    hamari dar-ba-dari par na jaiye ki hamein

    shuur-e-saya-e-diwar-o-dar to ab bhi hai

    kahaniyan hain agar mo'atabar to phir ek shaKHs

    kahaniyon ki tarah mo'atabar to ab bhi hai

    magar ye kaun badalti hui ruton se kahe

    shajar mein saya nahin hai shajar to ab bhi hai

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 251)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now