wo shayad dilon ko dhaDakne na denge
vo shāyad diloñ ko dhaḌakne na deñge
guloñ se mahakne kā haq chhīn leñge
hamāre diloñ ke diye bujh chuke haiñ
ham āñkhoñ kī tahrīr kaise paḌheñge
hamāre badan bhī hamāre nahīñ haiñ
use chhū ke mahsūs kaise kareñge
lahū kā samandar hai palkoñ ke pīchhe
ye raushan jazīre larazte raheñge
wo shayad dilon ko dhaDakne na denge
gulon se mahakne ka haq chhin lenge
hamare dilon ke diye bujh chuke hain
hum aankhon ki tahrir kaise paDhenge
hamare badan bhi hamare nahin hain
use chhu ke mahsus kaise karenge
lahu ka samandar hai palkon ke pichhe
ye raushan jazire larazte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.