Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tum se mohabbat karta hun

Aamir Azher

main tum se mohabbat karta hun

Aamir Azher

MORE BYAamir Azher

  maiñ tum se mohabbat kartā huuñ kartā huuñ mohabbat tum se maiñ

  is baat koī had hai kyā kahtā rahūñ har lahje meñ

  jis vaqt jahāñ dekhā thā tumheñ sochā thā nazar dhokā hai

  par husn tumhārā aisā thā rakkhā huā hai dhoke meñ

  har tarah bāteñ karte the aisī na anokhī thiiñ bāteñ

  ab ishq kaheñ nā-samjhī kuchh kahne meñ sunñe meñ

  ik lams meñ kyā kyā haath aaya ik pal meñ ka.ī sadiyāñ liiñ

  kuchh ishq kiyā kuchh kaam ai dil zanjīr paḌī darvāze meñ

  vo shaḳhs kahāñ hogā 'āmir' chhoḌo koī taaza baat kareñ

  to asl meñ baat kuchh aisī hai vo ye ki kahāñ thā vaise meñ

  main tum se mohabbat karta hun karta hun mohabbat tum se main

  is baat ki koi had hai kya kahta hi rahun har lahje mein

  jis waqt jahan dekha tha tumhein socha tha nazar ka dhoka hai

  par husn tumhaara aisa tha rakkha hi hua hai dhoke mein

  har tarah ki baaten karte the aisi na anokhi thin baaten

  ab ishq kahen ya na-samjhi kuchh kahne mein ya sunne mein

  ek lams mein kya kya hath aaya ek pal mein kai sadiyan ji lin

  kuchh ishq kiya kuchh kaam ai dil zanjir paDi darwaze mein

  wo shaKHs kahan hoga 'amir' chhoDo koi taza baat karen

  to asl mein baat kuchh aisi hai wo ye ki kahan tha waise mein

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now