Ali Akbar Natiq
Ghazal 15
Nazm 16
Short story 5
Sher-o-Shayari 15
koī na rasta naap sakā hai, ret pe chalne vāloñ kā
agle qadam par miT jā.egā pahlā naqsh hamārā bhī
koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka
agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi
-
Share this
- See Ghazal
itnā āsāñ nahīñ paanī se shabīheñ dhonā
ḳhud bhī ro.egā musavvir ye qayāmat kar ke
itna aasan nahin pani se shabihen dhona
KHud bhi roega musawwir ye qayamat kar ke
-
Share this
- See Ghazal
aadhe peḌ pe sabz parinde aadhā peḌ āsebī hai
kaise khule ye rām-kahānī kaun sā hissa merā hai
aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai
kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai
-
Share this
- See Ghazal
muḳhtasar baat thii, phailī kyuuñ sabā kī mānind
dard-mandoñ kā fasāna thaa, uchhālā kis ne
muKHtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind
dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne
-
Share this
- See Ghazal
āsmāñ ke rauzanoñ se lauT aatā thā kabhī
vo kabūtar ik havelī ke chhajoñ meñ kho gayā
aasman ke rauzanon se lauT aata tha kabhi
wo kabutar ek haweli ke chhajon mein kho gaya
-
Share this
- See Ghazal
Videos 5
Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Ali Akbar Natiq is an Urdu poet and fiction writer from Pakistan. He is a popular face of Urdu both in poetry and prose. Ali Akbar Natiq is reciting his nazm for Rekhta.org. Ali Akbar Natiq
