aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1993 | Uttarakhand, India
maiñ use dafnā to aayā huuñ magar royā nahīñ
farz puurā kar diyā par zimmedārī rah ga.ī
main use dafna to aaya hun magar roya nahin
farz pura kar diya par zimmedari rah gai
rone vaale kahāñ ye samjheñge
ro na paane meñ mas.ala kyā hai
rone wale kahan ye samjhenge
ro na pane mein masala kya hai
log ruk ruk ke lagātār tujhe dekhte haiñ
jo the yūsuf ke ḳharīdār tujhe dekhte haiñ
log ruk ruk ke lagatar tujhe dekhte hain
jo the yusuf ke KHaridar tujhe dekhte hain
office kī fā.iloñ meñ tirī zulf kā ḳhayāl
dil apne kaam se hai dimāġh apne kaam se
office ki failon mein teri zulf ka KHayal
dil apne kaam se hai dimagh apne kaam se
vo baḌī taab baḌe hausloñ vaalā laḌkā
jab tirī yaad se laḌtā hai to ro detā hai
wo baDi tab baDe hauslon wala laDka
jab teri yaad se laDta hai to ro deta hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books