aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ambar Bahraichi's Photo'

Ambar Bahraichi

1949 - 2021 | Lucknow, India

Well-known Sanskrit scholar, Sahitya Academy award winner.

Well-known Sanskrit scholar, Sahitya Academy award winner.

Sher of Ambar Bahraichi

589
Favorite

SORT BY

ye sach hai rañg badaltā thā vo har ik lamha

magar vahī to bahut kāmyāb chehrā thā

ye sach hai rang badalta tha wo har ek lamha

magar wahi to bahut kaamyab chehra tha

merā karb mirī tanhā.ī zīnat

maiñ chehroñ ke jañgal sannāTā huuñ

mera karb meri tanhai ki zinat

main chehron ke jangal ka sannaTa hun

bāhar saare maidāñ jiit chukā thā vo

ghar lauTā to pal bhar meñ TuuTā thā

bahar sare maidan jit chuka tha wo

ghar lauTa to pal bhar mein hi TuTa tha

jaane kyā soch ke phir in ko rihā.ī de

ham ne ab ke bhī parindoñ ko tah-e-dām kiyā

jaane kya soch ke phir in ko rihai de di

hum ne ab ke bhi parindon ko tah-e-dam kiya

har ik nadī se kaḌī pyaas le ke vo guzrā

ye aur baat ki vo ḳhud bhī ek dariyā thā

har ek nadi se kaDi pyas le ke wo guzra

ye aur baat ki wo KHud bhi ek dariya tha

jaane kyā barsā thā raat charāġhoñ se

bhor samay sūraj bhī paanī paanī hai

jaane kya barsa tha raat charaghon se

bhor samay suraj bhi pani pani hai

ik shaffāf tabī.at vaalā sahrā.ī

shahr meñ rah kar kis darja chālāk huā

ek shaffaf tabiat wala sahrai

shahr mein rah kar kis darja chaalak hua

chehroñ pe zar-posh andhere phaile haiñ

ab jiine ke Dhañg baḌe mahñge haiñ

chehron pe zar-posh andhere phaile hain

ab jine ke Dhang baDe hi mahnge hain

jaan dene hunar har shaḳhs ko aatā nahīñ

sohnī ke haath meñ kachchā ghaḌā thā dekhte

jaan dene ka hunar har shaKHs ko aata nahin

sohni ke hath mein kachcha ghaDa tha dekhte

aam ke peḌoñ ke saare phal sunahre ho ga.e

is baras bhī rāsta kyuuñ ro rahā thā dekhte

aam ke peDon ke sare phal sunahre ho gae

is baras bhi rasta kyun ro raha tha dekhte

har phuul pe us shaḳhs ko patthar the chalāne

ashkoñ se har ik barg ko bharnā thā hameñ bhī

har phul pe us shaKHs ko patthar the chalane

ashkon se har ek barg ko bharna tha hamein bhi

ham bhī ga.e aur salāmat bhī haiñ 'ambar'

paanī har ik buuñd meñ hiire kanī thī

hum pi bhi gae aur salamat bhi hain 'ambar'

pani ki har ek bund mein hire ki kani thi

ek sannāTā bichhā hai is jahāñ meñ har taraf

āsmāñ-dar-āsmāñ-dar-āsmāñ kyuuñ rat-jage haiñ

ek sannaTa bichha hai is jahan mein har taraf

aasman-dar-asman-dar-asman kyun rat-jage hain

ek sāhir kabhī guzrā thā idhar se 'ambar'

jā-e-hairat ki sabhī us ke asar meñ haiñ abhī

ek sahir kabhi guzra tha idhar se 'ambar'

ja-e-hairat ki sabhi us ke asar mein hain abhi

us ne har zarre ko tilism-ābād kiyā

haath hamāre lagī faqat hairānī hai

us ne har zarre ko tilism-abaad kiya

hath hamare lagi faqat hairani hai

roz ham jaltī huī ret pe chalte na the

ham ne saa.e meñ khajūroñ ke bhī ārām kiyā

roz hum jalti hui ret pe chalte hi na the

hum ne sae mein khajuron ke bhi aaram kiya

soup ke daane kabūtar chug rahā thā aur vo

sehn ko mahkā rahī thī sunnateñ paḌhte hue

soup ke dane kabutar chug raha tha aur wo

sehn ko mahka rahi thi sunnaten paDhte hue

ga.e the ham bhī bahr tahoñ meñ jhūmte hue

har ek siip ke laboñ meñ sirf regzār thā

gae the hum bhi bahr ki tahon mein jhumte hue

har ek sip ke labon mein sirf regzar tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now