aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1974 | USA
jitnā tumhārā zarf hai mil jā.ūñgā tumheñ
dariyā bhī merā ruup hai qatra bhī dastyāb
jitna tumhaara zarf hai mil jaunga tumhein
dariya bhi mera rup hai qatra bhi dastyab
kisī bhī kaam kā chhoḌā nahīñ mujhe jis ne
vo shaḳhs aaj mujhe ek kaam kah rahā hai
kisi bhi kaam ka chhoDa nahin mujhe jis ne
wo shaKHs aaj mujhe ek kaam kah raha hai
miltī nahīñ hai chiiz koī bhī jagah pe ab
maiñ apne ham-safar kī nafāsat se tang huuñ
milti nahin hai chiz koi bhi jagah pe ab
main apne ham-safar ki nafasat se tang hun
us kī tarkīb mat badal 'sayyad'
tū use hasb-e-zā.iqa na banā
us ki tarkib mat badal 'sayyad'
tu use hasb-e-zaiqa na bana
ziyā'-e-vaqt hai aisī ziyā bhī
bahut is meñ ziyāñ rakkhā huā hai
ziya'-e-waqt hai aisi ziya bhi
bahut is mein ziyan rakkha hua hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books