ALL
Profile
Ghazal230
Nazm29
Sher107
E-book65
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari2
Audio8
Video20
Rubai22
Blog2
Other
TOP 20 SHAYARI of Nazeer Akbarabadi
judā kisī se kisī kā ġharaz habīb na ho
ye daaġh vo hai ki dushman ko bhī nasīb na ho
from their beloved separated none should be
such a fate should not befall even my enemy
juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho
ye dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
from their beloved separated none should be
such a fate should not befall even my enemy
-
Tag : Judai
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
thā irāda tirī fariyād kareñ hākim se
vo bhī ai shoḳh tirā chāhne vaalā niklā
tha irada teri fariyaad karen hakim se
wo bhi ai shoKH tera chahne wala nikla
mai pī ke jo girtā hai to lete haiñ use thaam
nazroñ se girā jo use phir kis ne sambhālā
mai pi ke jo girta hai to lete hain use tham
nazron se gira jo use phir kis ne sambhaala
the ham to ḳhud-pasand bahut lekin ishq meñ
ab hai vahī pasand jo ho yaar ko pasand
the hum to KHud-pasand bahut lekin ishq mein
ab hai wahi pasand jo ho yar ko pasand
dil kī betābī nahīñ Thaharne detī hai mujhe
din kahīñ raat kahīñ sub.h kahīñ shaam kahīñ
dil ki betabi nahin Thaharne deti hai mujhe
din kahin raat kahin subh kahin sham kahin
kyuuñ nahīñ letā hamārī tū ḳhabar ai be-ḳhabar
kyā tire āshiq hue the dard-o-ġham khāne ko ham
Unmindful one, why do you not / enquire after me?
Did I become your paramour / to suffer agony?
kyun nahin leta hamari tu KHabar ai be-KHabar
kya tere aashiq hue the dard-o-gham khane ko hum
Unmindful one, why do you not / enquire after me?
Did I become your paramour / to suffer agony?
-
Tag : Love, Longing, Loss
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duur se aa.e the saaqī sun ke mai-ḳhāne ko ham
bas taraste hī chale afsos paimāne ko ham
dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum
bas taraste hi chale afsos paimane ko hum
-
Tag : Maikada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis kaam ko jahāñ meñ tū aayā thā ai 'nazīr'
ḳhāna-ḳharāb tujh se vahī kaam rah gayā
jis kaam ko jahan mein tu aaya tha ai 'nazir'
KHana-KHarab tujh se wahi kaam rah gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kūche meñ us ke baiThnā husn ko us ke dekhnā
ham to usī ko samjhe haiñ baaġh bhī aur bahār bhī
kuche mein us ke baiThna husn ko us ke dekhna
hum to usi ko samjhe hain bagh bhi aur bahaar bhi
sab kitāboñ ke khul ga.e ma.anī
jab se dekhī 'nazīr' dil kī kitāb
sab kitabon ke khul gae mani
jab se dekhi 'nazir' dil ki kitab
-
Tag : Kitab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ huuñ patañg-e-kāġhzī Dor hai us ke haath meñ
chāhā idhar ghaTā diyā chāhā udhar baḌhā diyā
main hun patang-e-kaghzi Dor hai us ke hath mein
chaha idhar ghaTa diya chaha udhar baDha diya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
sach to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
sach to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
abhī kaheñ to kisī ko na e'tibār aave
ki ham ko raah meñ ik āshnā ne luuT liyā
abhi kahen to kisi ko na e'tibar aawe
ki hum ko rah mein ek aashna ne luT liya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
akelā us ko na chhoḌā jo ghar se niklā vo
har ik bahāne se maiñ us sanam ke saath rahā
akela us ko na chhoDa jo ghar se nikla wo
har ek bahane se main us sanam ke sath raha
husn ke naaz uThāne ke sivā
ham se aur husn-e-amal kyā hogā
husn ke naz uThane ke siwa
hum se aur husn-e-amal kya hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kal shab-e-vasl meñ kyā jald bajī thiiñ ghaḌiyāñ
aaj kyā mar ga.e ghaḌiyāl bajāne vaale
kal shab-e-wasl mein kya jald baji thin ghaDiyan
aaj kya mar gae ghaDiyal bajaane wale
ham haal to kah sakte haiñ apnā pa kaheñ kyā
jab vo idhar aate haiñ to tanhā nahīñ aate
hum haal to kah sakte hain apna pa kahen kya
jab wo idhar aate hain to tanha nahin aate
na gul apnā na ḳhaar apnā na zālim bāġhbāñ apnā
banāyā aah kis gulshan meñ ham ne āshiyāñ apnā
na gul apna na KHar apna na zalim baghban apna
banaya aah kis gulshan mein hum ne aashiyan apna
jo baat hijr kī aatī to apne dāman se
vo aañsū poñchhtā jaatā thā aur maiñ rotā thā
jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha