Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saghar Siddiqui's Photo'

Saghar Siddiqui

1928 - 1974 | Lahore, Pakistan

Urdu and Punjabi poet

Urdu and Punjabi poet

Sher of Saghar Siddiqui

19K
Favorite

SORT BY

kal jinheñ chhū nahīñ saktī thī farishtoñ nazar

aaj vo raunaq-e-bāzār nazar aate haiñ

kal jinhen chhu nahin sakti thi farishton ki nazar

aaj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain

ai dil-e-be-qarār chup ho

chukī hai bahār chup ho

ai dil-e-be-qarar chup ho ja

ja chuki hai bahaar chup ho ja

jis ahd meñ luT jaa.e faqīroñ kamā.ī

us ahd ke sultān se kuchh bhuul huī hai

jis ahd mein luT jae faqiron ki kamai

us ahd ke sultan se kuchh bhul hui hai

zindagī jabr-e-musalsal tarah kaaTī hai

jaane kis jurm paa.ī hai sazā yaad nahīñ

zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaTi hai

jaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin

maut kahte haiñ jis ko ai 'sāġhar'

zindagī koī kaḌī hogī

maut kahte hain jis ko ai 'saghar'

zindagi ki koi kaDi hogi

log kahte haiñ raat biit chukī

mujh ko samjhāo! maiñ sharābī huuñ

log kahte hain raat bit chuki

mujh ko samjhao! main sharabi hun

tum ga.e raunaq-e-bahār ga.ī

tum na jaao bahār ke din haiñ

tum gae raunaq-e-bahaar gai

tum na jao bahaar ke din hain

bhūlī huī sadā huuñ mujhe yaad kījiye

tum se kahīñ milā huuñ mujhe yaad kījiye

bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye

tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye

maiñ aadmī huuñ koī farishta nahīñ huzūr

maiñ aaj apnī zaat se ghabrā ke gayā

main aadmi hun koi farishta nahin huzur

main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya

hai duā yaad magar harf-e-duā yaad nahīñ

mere naġhmāt ko andāz-e-navā yaad nahīñ

hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin

mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin

kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ is gila kyā

phūloñ vārdāt se ghabrā ke gayā

kanTe to KHair kanTe hain is ka gila hi kya

phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya

ai adam ke musāfiro hoshiyār

raah meñ zindagī khaḌī hogī

ai adam ke musafiro hoshiyar

rah mein zindagi khaDi hogi

aaj phir bujh ga.e jal jal ke umīdoñ ke charāġh

aaj phir tāroñ bharī raat ne dam toḌ diyā

aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh

aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya

hashr meñ kaun gavāhī mirī degā 'sāġhar'

sab tumhāre taraf-dār nazar aate haiñ

hashr mein kaun gawahi meri dega 'saghar'

sab tumhaare hi taraf-dar nazar aate hain

mar ga.e jin ke chāhne vaale

un hasīnoñ zindagī kyā hai

mar gae jin ke chahne wale

un hasinon ki zindagi kya hai

ab kahāñ aisī tabī.at vaale

choT khā kar jo duā karte the

ab kahan aisi tabiat wale

choT kha kar jo dua karte the

charāġh-e-tūr jalāo baḌā añdherā hai

zarā naqāb uThāo baḌā añdherā hai

charagh-e-tur jalao baDa andhera hai

zara naqab uThao baDa andhera hai

ye kināroñ se khelne vaale

Duub jaa.eñ to kyā tamāshā ho

ye kinaron se khelne wale

Dub jaen to kya tamasha ho

maiñ ne jin ke liye rāhoñ meñ bichhāyā thā lahū

ham se kahte haiñ vahī ahd-e-vafā yaad nahīñ

main ne jin ke liye rahon mein bichhaya tha lahu

hum se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin

maiñ talḳhi-e-hayāt se ghabrā ke gayā

ġham siyāh raat se ghabrā ke gayā

main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya

be-sāḳhta bikhar ga.ī jalvoñ kā.enāt

ā.īna TuuT kar tirī añgḌā.ī ban gayā

be-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat

aaina TuT kar teri angDai ban gaya

ab apnī haqīqat bhī 'saġhar' be-rabt kahānī lagtī hai

duniyā haqīqat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai

duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

hūroñ talab aur mai o sāġhar se hai nafrat

zāhid tire irfān se kuchh bhuul huī hai

huron ki talab aur mai o saghar se hai nafrat

zahid tere irfan se kuchh bhul hui hai

rañg uḌne lagā hai phūloñ

ab to aa jaao! vaqt nāzuk hai

rang uDne laga hai phulon ka

ab to aa jao! waqt nazuk hai

ek va.ada hai kisī jo vafā hotā nahīñ

varna in tāroñ bharī rātoñ meñ kyā hotā nahīñ

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin

warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin

ġham ke mujrim ḳhushī ke mujrim haiñ

log ab zindagī ke mujrim haiñ

gham ke mujrim KHushi ke mujrim hain

log ab zindagi ke mujrim hain

ab na ā.eñge rūThne vaale

dīda-e-ashk-bār chup ho

ab na aaenge ruThne wale

dida-e-ashk-bar chup ho ja

ham banā.eñge yahāñ 'saġhar' na.ī tasvīr-e-shauq

ham taḳhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam

hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq

hum taKHayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam

ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis aahaT se gul khile haiñ

mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār hai

ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain

mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai

jab jaam diyā thā saaqī ne jab daur chalā thā mahfil meñ

ik hosh saa.at kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein

ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

naġhmoñ ibtidā thī kabhī mere naam se

ashkoñ intihā huuñ mujhe yaad kījiye

naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam se

ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye

chhalke hue the jaam pareshāñ thī zulf-e-yār

kuchh aise hādsāt se ghabrā ke gayā

chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar

kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya

ḳhaak uḌtī hai terī galiyoñ meñ

zindagī vaqār dekhā hai

KHak uDti hai teri galiyon mein

zindagi ka waqar dekha hai

jin se zinda ho yaqīn o āgahī aabrū

ishq rāhoñ meñ kuchh aise gumāñ karte chalo

jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru

ishq ki rahon mein kuchh aise guman karte chalo

jin se afsāna-e-hastī meñ tasalsul thā kabhī

un mohabbat rivāyāt ne dam toḌ diyā

jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi

un mohabbat ki riwayat ne dam toD diya

muskurāo bahār ke din haiñ

gul khilāo bahār ke din haiñ

muskurao bahaar ke din hain

gul khilao bahaar ke din hain

terī sūrat jo ittifāq se ham

bhuul jaa.eñ to kyā tamāshā ho

teri surat jo ittifaq se hum

bhul jaen to kya tamasha ho

ab shahr-e-ārzū meñ vo ra.anā.iyāñ kahāñ

haiñ gul-kade niDhāl baḌī tez dhuup hai

ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan

hain gul-kade niDhaal baDi tez dhup hai

jo chaman hayāt ko Das le

us kalī ko babūl kahtā huuñ

jo chaman ki hayat ko Das le

us kali ko babul kahta hun

taqdīr ke chehre shikan dekh rahā huuñ

ā.īna-e-hālāt hai duniyā terī kyā hai

taqdir ke chehre ki shikan dekh raha hun

aaina-e-haalat hai duniya teri kya hai

ek naġhma ik taarā ek ġhuncha ek jaam

ai ġham-e-daurāñ ġham-e-daurāñ tujhe merā salām

ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam

ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam

jhilmilāte hue ashkoñ laḌī TuuT ga.ī

jagmagātī huī barsāt ne dam toḌ diyā

jhilmilate hue ashkon ki laDi TuT gai

jagmagati hui barsat ne dam toD diya

zulf-e-barham jab se shanāsā huī

zindagī chalan mujrimāna huā

zulf-e-barham ki jab se shanasa hui

zindagi ka chalan mujrimana hua

duniyā-e-hādsāt hai ik dardnāk giit

duniyā-e-hādsāt se ghabrā ke gayā

duniya-e-hadsat hai ek dardnak git

duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now