Shahid Kabir
Ghazal 22
Nazm 1
Sher-o-Shayari 17
be-sabab baat baḌhāne kī zarūrat kyā hai
ham ḳhafā kab the manāne kī zarūrat kyā hai
be-sabab baat baDhane ki zarurat kya hai
hum KHafa kab the manane ki zarurat kya hai
-
Share this
- See Ghazal
ġham kā ḳhazāna terā bhī hai merā bhī
ye nazrāna terā bhī hai merā bhī
gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi
ye nazrana tera bhi hai mera bhi
-
Share this
- See Ghazal
is soch meñ zindagī bitā dī
jaagā huā huuñ ki so rahā huuñ
is soch mein zindagi bita di
jaga hua hun ki so raha hun
-
Share this
- See Ghazal
kāñToñ ko pilā ke ḳhuun apnā
rāhoñ meñ gulāb bo rahā huuñ
kanTon ko pila ke KHun apna
rahon mein gulab bo raha hun
-
Share this
- See Ghazal
kuchh to ho raat kī sarhad meñ utarne kī sazā
garm sūraj ko samundar meñ Duboyā jaa.e
kuchh to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza
garm suraj ko samundar mein Duboya jae
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 5
Gam kaa KHazaana teraa bhii hai meraa bhii ye nazraana teraa bhii hai meraa bhii apne Gam ko giit banaa kar gaa lenaa raag puraanaa teraa bhii hai meraa bhii kaun hai apnaa kaun paraayaa kyaa soche.n chho.D zamaana teraa bhii hai meraa bhii shahr me.n galiyo.n galiyo.n jis kaa charchaa hai vo afsaana teraa bhii hai meraa bhii tuu mujh ko aur mai.n tujh ko samjhaa.uu.n kyaa dil diivaana teraa bhii hai meraa bhii mai-KHaane kii baat na kar vaa.iz mujh se aanaa jaanaa teraa bhii hai meraa bhii jaisaa bhii hai 'shaahid' ko ab kyaa kahiye yaar puraanaa teraa bhii hai meraa bhii