Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zameer Atraulvi's Photo'

Zameer Atraulvi

1959 | Aligarh, India

Zameer Atraulvi

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 6

hazāroñ zulm hoñ mazlūm par to chup rahe duniyā

agar mazlūm kuchh bole to dahshat-gard kahtī hai

hazaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniya

agar mazlum kuchh bole to dahshat-gard kahti hai

  • Share this

ḳhuun ke jo rishte the ban ga.e azāb-e-jāñ

ham ko dal ke rishtoñ se istifāda pahuñchā hai

KHun ke jo rishte the ban gae azab-e-jaan

hum ko dal ke rishton se istifada pahuncha hai

  • Share this

ġharībī naam hai jis azāb-e-jān hotī hai

magar daulat kasrat mohlik-e-īmān hotī hai

gharibi nam hai jis ka azab-e-jaan hoti hai

magar daulat ki kasrat mohlik-e-iman hoti hai

  • Share this

izn sūraj kiran ko nahīñ jaane jahāñ

merī taḳh.īl shāhīn vahāñ bhī pahuñchā

izn suraj ki kiran ko nahin jaane ka jahan

meri taKHil ka shahin wahan bhi pahuncha

  • Share this

koī bhūkā jo fart-e-zo.af se kuchh laḌkhaḌā jaa.e

to duniyā tanz kastī hai use mad-mast kahtī hai

koi bhuka jo fart-e-zoaf se kuchh laDkhaDa jae

to duniya tanz kasti hai use mad-mast kahti hai

  • Share this

More Poets From "Aligarh"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now