SEARCH RESULTS
Showing search results for "بد"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "بد"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
ye rashk hai ki vo hotaa hai ham-suKHan tum se
vagarna KHauf-e-bad-aamozi-e-aduu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
PAGE MATCHES FOR "بد"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "بد"
Nazm
ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
ye duniyaa hai yaa 'aalam-e-bad-havaasii
ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaa.o mujhe
tumhe.n bhulaane me.n shaayad mujhe zamaana lage
Qaisarul Jafri
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Ghazal
kisii tarah jo na us but ne e'tibaar kiyaa
mirii vafaa ne mujhe KHuub sharmsaar kiyaa














