SEARCH RESULTS
Showing search results for "darja"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "darja"
Ghazal
paas baiThe hu.e yaaro.n ko KHabar tak na hu.ii
ham kisii baat pe is darja anokhaa TuuTe
Jawad Sheikh
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "darja"
Sher
kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse
ham zindagii me.n phir ko.ii armaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Ghazal
is kaa anjaam bhii kuchh soch liyaa hai 'hasrat'
tuu ne rabt un se jo is darja ba.Dhaa rakkhaa hai
Hasrat Mohani
Sher
uThte nahii.n hai.n ab to du.aa ke liye bhii haath
kis darja naa-umiid hai.n parvardigaar se
Akhtar Shirani
Ghazal
kah ga.ii baad-e-sabaa aaj tire kaan me.n kyaa
phuul kis darja sharaarat se tujhe dekhte hai.n
Parveen Shakir
Ghazal
is darja mujhe khokhlaa kar rakkhaa thaa Gam ne
lagtaa thaa gayaa ab ke gayaa ab ke gayaa mai.n
Abbas Tabish
Ghazal
karnaa hii thaa sipurd jo qaatil ko ek din
is darja kyo.n amaan me.n rakkhaa gayaa mujhe


