SEARCH RESULTS
Showing search results for "تجلیات"
Ghazal MATCHES FOR "تجلیات"
Ghazal
sunaa hai din ko use titliyaa.n sataatii hai.n
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
huur o farishta hai.n asiir mere taKHaiyyulaat me.n
merii nigaah se KHalal terii tajalliyaat me.n
Allama Iqbal
Ghazal
tajalliyaat kii tasviir khii.nch kar dil me.n
tasavvuraat kii duniyaa basaa rahaa huu.n mai.n
Bedam Shah Warsi
Ghazal
ye zarf-e-baada kyaa hai baada-aashnaa se puuchhiye
ham is ko shiisha-e-tajalliyaat kahte aa.e hai.n
Nushur Wahidi
Ghazal
dar-haqiiqat tuur par muusaa ko suujhii hii nahii.n
varna aa.nkhe.n jazb kar letii.n tajalliyaat ko
Talib Baghpati
Ghazal
saahil-e-KHayaal par kahkashaa.n kii chhuuT thii
ek mauj le ga.ii in tajalliyaat ko
Mahboob Khizan
Ghazal
dil ko tajalliyaat kaa markaz banaa liyaa
ab un kaa naam lene ke qaabil hu.aa huu.n mai.n
Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
Ghazal
tajalliyaat se ma.amuur hai har ik zarra
bilaa-sabab na ko.ii koh-e-tuur par jaa.e
Aulad Ali Rizvi
Ghazal
bazm-e-tajalliyaat kii vaaraftagii na puuchh
ye hosh thaa ki hosh me.n aayaa na jaa sakaa
Behzad Lakhnavi
Ghazal
kahaa.n tak aa.ina-daar-e-tajalliyaat-e-KHud-biinii
ye parda bhii ulaT de o dil-o-jaa.n dekhne vaale
Basit Bhopali
Ghazal
hai kis gunah kii siyaahii mirii Galat-fahmii
mai.n jaantaa thaa ki ruuh-e-tajalliyaat huu.n mai.n
Siraj Lakhnavi
Ghazal
ko.ii guzar to rahaa hai nazar churaa.e hu.e
tajalliyaat-e-dar-o-baam kaa KHudaa-haafiz
Johar Siddiqi
Ghazal
raat tamaam ho ga.ii sirf takallufaat me.n
ishq ta.Dap ta.Dap uThaa husn kii baat baat me.n
Mustafa Husain Nayyar
Ghazal
madad kaa vaqt hai ai naa-KHudaa-e-kashtii-e-dil
tajalliyaat kii maujo.n me.n ghir gayaa huu.n mai.n
Muneer Bhopali
Ghazal
Sirajuddin Zafar
Ghazal
vo husn nuur kii baarish me.n jab nahaa rahaa thaa
machal rahaa thaa bahut tab tajalliyaat me.n ishq
Ezaz Kazmi
Ghazal
nigaah-e-naaz nayaa inqalaab rahne de
tajalliyaat ko zer-e-naqaab rahne de
Syed Akhtar Ali Akhtar
Ghazal
vo jalva-baar hai.n jis samt dekhtaa huu.n mai.n
tajalliyaat-e-mohabbat me.n ghir gayaa huu.n mai.n
S. Nooruddin Anwar Bhopali
Ghazal
mere vajuud-e-KHaas se silsila-e-fanaa-baqaa
mujh se hii raunaq-e-tamaam bazm-e-tajalliyaat me.n