SEARCH RESULTS
Showing search results for "طواف_کوئے_ملامت"
Ghazal MATCHES FOR "طواف_کوئے_ملامت"
Ghazal
dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaa.e hai
pindaar kaa sanam-kada viiraa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
kyuu.n ab tavaaf-e-kuu-e-malaamat se hai gurez
kyaa vo junuun-e-kuucha-e-jaanaa.n nahii.n rahaa
Gulzar Dehlvi
Ghazal
sa.ng barse.nge aur muskuraa.e.nge ham
yuu.n bhii ku-e-malaamat me.n jaa.e.nge ham
Haneef akhgar
Ghazal
ab kaun jaa.e ku-e-malaamat ko chho.D kar
qadmo.n se aa ke apnaa hii saaya lipaT gayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
'baaqar' saarii umr guzaarii kuu-e-malaamat me.n
aaKHir umr kii ye rusvaa.ii kaisii lagtii hai
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
phir qadam kuu-e-malaamat kii taraf uTThe hai.n
mire maulaa mire hisse kii KHataa.e.n denaa
Zaheer Kashmiri
Ghazal
bach ke har-chand zamaane kii nazar se niklaa
saamne kuu-e-malaamat thaa jidhar se niklaa
Aleem Masroor
Ghazal
meraa junuu.n hii kuu-e-malaamat kii jaan hai
mere fusuun-e-shauq ko pahchaan liijiye
Krishna Mohan
Ghazal
saahabo kuu-e-malaamat me.n nadaamat kaisii
shauq-e-rusvaa.ii yahaa.n khii.nch ke laayaa hai mujhe
Krishna Mohan
Ghazal
phir usii ku-e-malaamat kii tamanna dil me.n hai
aa.e ab ko.ii hamaarii himmat-afzaa.ii kare
Ghani Ahmad Ghani
Ghazal
roz kuchh shaGl nikal aataa hai diivaane kaa
roz kuchh kuu-e-malaamat se payaam aataa hai
Suhail Wasti
Ghazal
muddat hu.ii vo kuu-e-malaamat uja.D gayaa
ab ke baras charaaG-e-vafaa mat jalaa.iyo
Kailash Mahir
Ghazal
ai mire laaDle ai naaz ke paale hu.e dil
tuu ne kis kuu-e-malaamat se guzaaraa hai mujhe
Faizi
Ghazal
dil liye jaataa hai phir kuu-e-malaamat kii taraf
aa.nkh ko chaahiye phir KHvaab-e-haziimat dekhe
Akram Mahmud
Ghazal
ab kaun jaa.e kuu-e-malaamat se lauT kar
qadmo.n se aa ke apnaa hii saaya lipaT gayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
zindagii ku-e-malaamat hai ko.ii kyaa Thahre
apnii hii vaz.a kaa mai.n huu.n so Thahartaa gayaa mai.n
Pirzada Qasim
Ghazal
ishq jaa niklaa thaa phir kuu-e-malaamat kii taraf
aql phir khii.nch ke diivaane ko le aa.ii hai
Nasir Amrohvi
Ghazal
farsuuda-ravii aisii ki ham ne bhii ye sochaa
dil ku-e-malaamat se nikal jaa.e to achchhaa