SEARCH RESULTS
Showing search results for "ممنون"
Ghazal MATCHES FOR "ممنون"
Ghazal
vus.at-e-rahmat-e-haq dekh ki baKHshaa jaave
mujh saa kaafir ki jo mamnuun-e-ma.aasii na hu.aa
Mirza Ghalib
Ghazal
husn kab ishq kaa mamnuun-e-vafaa hotaa hai
laakh parvaana mare sham.a pe kyaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Ghazal
ka.ii unvaan hai.n mamnuun-e-karam karne ke
ishq me.n kuchh na sahii zindagii be-kaar to hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
mamnuun huu.n mai.n teraa bahut marg-e-naa-gahaa.n
mai.n ab asiir-e-gardish-e-qismat nahii.n rahaa
Noon Meem Rashid
Ghazal
mamnuun-e-barg-e-gul hai.n na sharminda-e-sabaa
ham bulbul aur hii chaman-e-dil-kushaa ke hai.n
Ismail Merathi
Ghazal
jab ye samjhuu.ngaa ki merii ziist hai mamnuun-e-marg
maut merii zindagii kaa aasraa ho jaa.egii
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Ghazal
ham ranj bhii paane par mamnuun hii hote hai.n
ham se to nahii.n mumkin ehsaan-faraamoshii
Bedam Shah Warsi
Ghazal
mirii shohrat to hai ahbaab kii mamnuun-e-karam
KHuub ba.Dh ba.Dh ke sunaate hai.n fasaane mere
Jameel Azimabadi
Ghazal
apnii is vaaraftagii-e-shauq kaa mamnuun huu.n
baar-haa mujh ko bharii mahfil me.n tanhaa kar diyaa
Seemab Akbarabadi
Ghazal
ai KHudaa mamnuun huu.n teraa ki mere phuul me.n
tuu ne KHushbuu-e-havas ra.ng-e-vafaa rahne diyaa
Mazhar Imam
Ghazal
Anwar Masood
Ghazal
Mashkoor Mamnoon Qannauji
Ghazal
havas ke daur me.n mamnuun-e-yaad-e-yaar hai.n ham
ki yaad-e-yaar dilo.n kii sipar to ab bhii hai
Ummeed Fazli
Ghazal
sitam kaa us ke bahut mai.n nazaar huu.n mamnuun
jigar tamaam hu.aa KHuun-o-dil bajaa na rahaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
jab ko.ii sach baat chhupaanii pa.Dtii hai
tab jhuuTii ik baat banaanii pa.Dtii hai
Mashkoor Mamnoon Qannauji
Ghazal
dil to dil sar bhii kabhii hotaa hai mamnuun-e-firaaq
jis me.n hai ishq ye saudaa vo judaa hotaa hai
Saqib Lakhnavi
Ghazal
mujh ko honaa pa.Daa mamnuun-e-karam maujo.n kaa
kitnii mushkil se kinaare pe safiina aaya
Asar Ansari
Ghazal
junuu.n kii sarparastii chaahtii hai
baGaavat ab bulandii chaahtii hai