SEARCH RESULTS
Showing search results for "लुत्फ़-ए-मुसलसल"
Ghazal MATCHES FOR "लुत्फ़-ए-मुसलसल"
Ghazal
go 'lutf'-e-KHufta-baKHt ke aa.o na KHvaab me.n
lekin tire KHayaal ko nit dil me.n raah hai
Mirza Ali Lutf
Ghazal
'lutf' ye sher kahaa jis ne ajab shaa.er thaa
jis ke sun.ne se hu.e Tuk.De hazaaro.n dil ke
Mirza Ali Lutf
Ghazal
'ishq ko lutf-e-musalsal se na be-kaif karo
gahe taskii.n bhii diye jaa.o gahe dil bhii dukhaa.o
Zeb Ghauri
Ghazal
dekhiye jaur-e-musalsal pe mire zabt kii taab
lab pe shikva ho gila ho ye zaruurii to nahii.n
Kanval M. A
Ghazal
roz-e-azal vo dard-e-musalsal ataa hu.aa
dil ko sukuun mil na sakaa umr bhar kahii.n
Kanval M. A
Ghazal
itnaa juuyaa-e-mulaaqaat na hotaa thaa 'lutf'
shakl nibhne kii jo kuchh thii so musaavaat me.n thii
Mirza Ali Lutf
Ghazal
Mirza Ali Lutf
Ghazal
dekhnaa taar-e-mohabbat ki hai mushkil phir saa.nTh
rishta-e-dostii ai 'lutf' kabhuu TuuT gayaa
Mirza Ali Lutf
Ghazal
kyaa din the vo bhii 'lutf' ki rahte the misl-e-zulf
kaano.n se us ke ham se pareshaa.n lage hu.e
Mirza Ali Lutf
Ghazal
jab se khii.nchaa 'lutf' ranj-e-furqat-e-yaar-o-dayaar
ab hu.ii maa'luum mehnat gardish-e-ayyaam kii
Mirza Ali Lutf
Ghazal
'lutf' ham us but-e-saffaak ke kuuche se aaj
bach kar is tarah se aa.e hai.n ki jii jaantaa hai
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
'lutf' kis tarah kare fikr-e-visaal-e-jaanaa.n
ek dam kii nahii.n fursat use Gam khaane kii
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
Gair ko dekhe.nge aataa dar-e-jaanaa.n pe jo 'lutf'
us galii se bhii to chal de.nge jo vahshat aa.ii
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
KHuub hai KHuub u.Daa ai shab-e-furqat ke maze
lutf har-haal me.n dete hai.n mohabbat ke maze
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
'lutf' se kis lutf se kahte hai.n saare aqrabaa
kushta-e-naaz-e-butaa.n mard-e-KHudaa kyuu.nkar hu.aa
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
kal shab-e-vasl-e-aduu 'lutf' to aaya hogaa
rashk se aap se shaayad ki milaa ho ki na ho