SEARCH RESULTS
Showing search results for "हस्ब-ए-मंशा"
Ghazal MATCHES FOR "हस्ब-ए-मंशा"
Ghazal
hasab-e-manshaa mai.n banaa luu.ngaa muqaddar apnaa
tuu ye takliif uThaane ke liye mat aanaa
Nadim Ashrafi Burhanpuri
Ghazal
kuchh din hasb-e-manshaa bhii jii lene de
dekh tirii ThuDDii me.n haath lagaate hai.n
Shamim Abbas
Ghazal
hasb-e-manshaa dil-e-pur-shauq kii baato.n kaa javaab
de diyaa sharm me.n Duubii hu.ii a.ng.Daa.ii ne
Manzar Lakhnavi
Ghazal
Gazal-saraa.ii-e-'manshaa' pe yuu.n hu.aa mahsuus
ki jaise ruuh ke andar samo ga.e alfaaz
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
daulat-e-diidaar hasb-e-mudda.aa haasil hu.ii
mil ga.ii jis shaKHs ko taqdiir se iksiir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
qalam uThe to rahe azmat-e-qalam kaa KHayaal
ai 'manshaa' yuu.nhii sadaa hifz-e-aabruu kiije
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
nahii.n ma.aluum yuu.nhii KHud ko kahaa.n tak 'manshaa'
qaid-e-aKHlaaq se aazaad karegii duniyaa
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
kaunain ke har raaz ko mahram jise kahiye
'manshaa' ko vahii fikr-e-rasaa tujh se milii hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
faiz-e-'iqbaal' hai jo 'manshaa' kaa
naGma hindii hai lai hijaazii hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
chaman ko aur hasii.n-tar banaanaa hai 'manshaa'
to ra.ng-e-kaarii-e-KHuun-e-jigar zaruurii hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
soz-e-dil ke tufail ai 'manshaa'
shaa.irii bhii nikhar ga.ii aaKHir
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
jazb-e-daruu.n kaa faiz hai 'manshaa'
fikr-e-suKHan kii ye parvaaz
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
haq to ye hai ki KHalaa.o.n ke safar ai 'manshaa'
azmat-e-rutba-e-insaa.n kii KHabar dete hai.n
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
ye fart-e-girya-o-zaarii kaa hai asar 'manshaa'
zamii.n makaano.n kii giilii hai nam hai.n diivaare.n
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
sach to hai yahii 'manshaa' zindagii kii raaho.n me.n
tiirgii kaa KHatra hai sham-e-dil jalaane tak
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
ye pesh-raft kii hai shart-e-avvalii.n 'manshaa'
ki chalne vaalaa aTal azm-e-pur-yaqii.n se chale
Mansha ur Rahman Khan Mansha
Ghazal
shaa.irii kaa ye karam kam to nahii.n hai 'manshaa'
log tujh ko tire ash.aar se pahchaante hai.n