SEARCH RESULTS
Showing search results for "afvaah"
Ghazal MATCHES FOR "afvaah"
Ghazal
ik mulaaqaat ke Talne kii KHabar aise lagii
jaise mazduur ko ha.Dtaal kii afvaah mile
Umair Najmi
Ghazal
Ahmad Mushtaq
Ghazal
naam armaan nahii.n thaa jo nikaalaa tuu ne
ishq afvaah nahii.n thaa jo u.Daa baiThaa hai
Muztar Khairabadi
Ghazal
dam ghuTaa jaataa hai afsurda-dilii se yaaro
ko.ii afvaah hii phailaa.o ki kuchh raat kaTe
Nasir Kazmi
Ghazal
bas tire aane kii ik afvaah kaa aisaa asar
kaise kaise log the biimaar achchhe ho ga.e
Nomaan Shauque
Ghazal
khoj rahaa hai aaj bhii vo guular kaa phuul
duniyaa to afvaah u.Daa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Ghazal
jahaa.n me.n thii bas ik afvaah tere jalvo.n kii
charaaG-e-dair-o-haram jhilmilaa.e hai.n kyaa kyaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
hosh me.n ho ke bhii saaqii kaa bharam rakhne ko
la.Dkha.Daane kii ham afvaah u.Daa dete hai.n
Ajay Sahaab
Ghazal
tuluu-e-sub.h kii afvaah itnii aam hu.ii
ki nisf shab ko gharo.n ke diye bujhaa.e ga.e
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mire guzarne kii afvaah hii u.Daa de ko.ii
kise KHabar ki vo jhuuTii KHabar se lauT aa.e
Kuldeep Kumar
Ghazal
aabaad hai KHazaane kii afvaah se vajuud
matruuk ja.ngalo.n kaa ko.ii raasta huu.n mai.n
Azhar Faragh
Ghazal
har ek shaKHs hai afvaah aap hii apnii
har ik ko jaantaa hai har ko.ii gumaa.n ban kar
Manmohan Talkh
Ghazal
kaisii afvaah u.Dii tujh se mire rishte kii
sab tire chaahne vaale mire ghar lag ga.e hai.n
Farhat Ehsas
Ghazal
tumhaare aane kii afvaah bhii sar aa.nkho.n par
ye baam-o-dar se udaasii kii ghaas utaartii hai
Afzal Khan
Ghazal
afvaah kis ne aisii u.Daa.ii ki shahr me.n
har shaKHs bach rahaa hai na us se nazar mile