SEARCH RESULTS
Showing search results for "barzakh"
Ghazal MATCHES FOR "barzakh"
Ghazal
mujh ko tahziib ke barzaKH kaa banaayaa vaaris
jurm ye bhii mire ajdaad ke sar jaa.egaa
Parveen Shakir
Ghazal
ta.alluqaat ke barzaKH me.n hii rakhaa mujh ko
vo mere haq me.n na thaa aur KHilaaf bhii na hu.aa
Parveen Shakir
Ghazal
ta.alluqaat ke barzaKH me.n ain-mumkin hai
zaraa saa dukh vo mujhe de to mai.n tiraa ho jaa.uu.n
Irfan Sattar
Ghazal
Pritpal Singh Betab
Ghazal
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Ghazal
fasl-e-gul ho to nikaale mujhe is barzaKH se
bhuul jaa.e na tah-e-sa.ng vo bo kar mujh ko
Iftikhar Naseem
Ghazal
Himayat Ali Shayar
Ghazal
mai.n intizaar ke barzaKH me.n jaltii rahtii huu.n
hazaar vasvase rakhte hai.n be-qaraar mujhe
Fauzia Shaikh
Ghazal
'ajiib barzaKH-e-ulfat me.n mujh ko rakkhaa hai
ki vo KHafaa bhii rahe aur itaab bhii na kare
Rashid Aazar
Ghazal
Shabnam Shakeel
Ghazal
mujhe to arsa-e-barzaKH thaa jaa.n-kanii jaisaa
qayaamat aa.ii to saa.nso.n me.n saa.ns aa.ii mirii
Shahid Makuli
Ghazal
kaTii ek umr-e-furqat sar-e-barzaKH-e-mohabbat
ki chalaa na jaa rahaa thaa dil-e-naa-tavaa.n se aage
Mani Nagpuri
Ghazal
ham barzaKH-e-vafaa ke jazaa-yaafto.n ke paas
ik jism hai so jism kii jannat nahii.n ko.ii
Sahar Ansari
Ghazal
jahto.n ke barzaKH me.n paa.nv ulajh jaate hai.n
raste me.n saa.nso.n kaa raastaa kyuu.n aataa hai