SEARCH RESULTS
Showing search results for "dahshat"
Ghazal MATCHES FOR "dahshat"
Ghazal
sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.nkhe.n
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
aisii dahshat thii fazaa.o.n me.n khule paanii kii
aa.nkh jhapkii bhii nahii.n haath se patvaar gire
Shakeb Jalali
Ghazal
uTh uTh ke masjido.n se namaazii chale ga.e
dahshat-garo.n ke haath me.n islaam rah gayaa
Nida Fazli
Ghazal
Ahmad Salman
Ghazal
ye be-aavaaz banjar ban ke baasii ye udaasii
ye dahshat kaa safar jangal ye bela mai.n akelaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
sannaaTe me.n dahshat har pal guu.njaa kartii hai
is jangal me.n chain se kaise so saktaa huu.n mai.n
Alam Khursheed
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
husn kii dahshat ajab thii vasl kii shab me.n 'muniir'
haath jaise intihaa-e-shauq se shal ho gayaa
Muneer Niyazi
Ghazal
Zafar Iqbal
Ghazal
jaane kis dahshat kaa saaya us ko mohr-e-lab hu.aa
Dar rahaa hai vo mujhe khul kar sadaa dete hu.e
Riaz Majeed
Ghazal
vaqt-e-maaluum kii dahshat se laraztaa hu.aa dil
Duubaa jaataa hai ki mohlat nahii.n milne vaalii
Iftikhar Arif
Ghazal
ye shahr yuu.n bhii to dahshat bharaa nagar hai yahaa.n
dilo.n kaa shor havaa ko hiraas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
sab mulaaqaato.n kaa maqsad kaarobaar-e-zar-garii
sab kii dahshat ek jaisii sab kii ghaate.n ek sii
Muneer Niyazi
Ghazal
saa.e larazte rahte hai.n shahro.n kii galiyo.n me.n
rahte the insaan jahaa.n ab dahshat rahtii hai
Amjad Islam Amjad
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
ye zamaana kahii.n mujh se na churaa le mujh ko
ko.ii is aalam-e-dahshat se bachaa le mujh ko
Kamil Bahzadi
Ghazal
zulm sahne vaalo.n kaa sabr KHatm hotaa hai
sirf ek dhamkii hai phailtii hai dahshat kyaa
Saqi Faruqi
Ghazal
miraa dushman mujhe lalkaar ke jaa.egaa kahaa.n
KHaak kaa taish huu.n aflaak kii dahshat huu.n mai.n