SEARCH RESULTS
Showing search results for "ganiim"
Ghazal MATCHES FOR "ganiim"
Ghazal
Ganiim se bhii adaavat me.n had nahii.n maa.ngii
ki haar maan lii lekin madad nahii.n maa.ngii
Ahmad Faraz
Ghazal
agar na ahd kiyaa ham ne ek hone kaa
Ganiim sab kaa yuu.nhii bechtaa rahegaa lahuu
Habib Jalib
Ghazal
kuchh vo Ganiim-e-jaan bhii hai mustaqil-mizaaj
kuchh merii jaa.n se jaane kii aadat nahii.n ga.ii
Mubarik Siddiqi
Ghazal
ye log KHvaab bahut karbalaa ke dekhte hai.n
magar Ganiim ko gardan jhukaa ke dekhte hai.n
Asad Badayuni
Ghazal
chho.Daa na kuchh bhii siine me.n tuGyaan-e-ashk ne
apnii hii fauj ho ga.ii lashkar Ganiim kaa
Momin Khan Momin
Ghazal
Saleem Ahmed
Ghazal
musaahibo.n me.n ghire ho.nge zill-e-sub.haanii
Ganiim shahr ko taaraaj kar rahaa hogaa
Azhar Inayati
Ghazal
Ganiim bhii ko.ii mujh ko nazar nahii.n aataa
ghiraa hu.aa bhii huu.n chaaro.n taraf se KHatre me.n
Muzaffar Warsi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
gayaa to kuchh na rahaa mere paas jiine ko
Ganiim thaa vo jo aayaa thaa dosto.n kii tarah
Najmi Siddiqui
Ghazal
athar shakeel
Ghazal
Guruur-e-kasrat-e-lashkar na mere kaam aayaa
mai.n so rahaa thaa ki shab-KHuu.n Ganiim maar gayaa
Rasikh Irfani
Ghazal
ko.ii dhuul u.Dtii thii raasto.n pe na khul sakaa
vo Ganiim thaa ki kumak Gubaar me.n kaun thaa
Sattar Syed
Ghazal
tajraba kar le mire shahr kii sarhad pe Ganiim
lauh-e-maidaan miraa harf hai.n lashkar mere
Mahshar Badayuni
Ghazal
duhaa.ii detii hai.n kaisii harii-bharii fasle.n
kisii Ganiim kii suurat lagaan sar par hai
Shabnam Rumani
Ghazal
ye pyaas dhuup safar dasht aur mai.n tanhaa
Ganiim vaqt kaa ik ik hisaab jhel gayaa
Mukhtar Shameem
Ghazal
ai shaah-e-karbalaa mirii imdaad ko ab aa
KHush hai Ganiim mujh se mirii pyaas chhiin kar
Nasir Shahzad
Ghazal
Gair-mahfuuz samajh kar na Ganiim aa jaa.e
dosto! mai.n na sahii KHud ko nazar me.n rakhnaa