SEARCH RESULTS
Showing search results for "hiddat-e-lams"
Ghazal MATCHES FOR "hiddat-e-lams"
Ghazal
hiddat-e-lams mujhe aatish-e-ehsaas lagaa
barf-aaluud havaa.o.n kaa jamaayaa huu.n mai.n
Qasim Yaqub
Ghazal
apnii hii aa.nch me.n jalne ke liye is dil ko
sho.ala-e-ishq kii hiddat to kabhii dii hotii
Noor -e-Shama Noor
Ghazal
jaa.n-baKHsh sii us barg-e-gul-e-tar kii taraavat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.n yaad rahegaa
Ibn-e-Insha
Ghazal
hiddat-e-husn-e-nazar se bhii bachaa kar KHud ko
ishq me.n risk uThaane kaa bhii sochaa jaa.e
Saim Ji
Ghazal
munjamid koh-e-nidaa par hai taGaaful se tire
hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTaa dii jaa.e
Asra Rizvi
Ghazal
jii muztarib hai hiddat-e-qiil-o-maqaal me.n
Dhuu.nDe hai ko.ii saaya-e-diivaar kyaa kare
Akhtar Saeed
Ghazal
sab naa-kas-o-kas jal ga.e az hiddat-e-dil-soz
ai piir-e-falak chaa.nd vale chand sitaare
Abdullah Saqib
Ghazal
KHuun me.n uu.nche chanaaro.n ke na hiddat aa sakii
yuu.n ba-zaahir sabz patte mushta.il hote ga.e
Zaheer Siddiqui
Ghazal
vo saaz kii lai ki naachtaa thaa lahuu rago.n me.n
vo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal rahaa thaa
Unknown
Ghazal
bhej de mujh ko jahaan-e-hissiyaat-o-lams me.n
shor se uljhe samaa.at aa.nkh se manzar la.De
Ahmad Jahangir
Ghazal
Sibt Ali Saba
Ghazal
hiddat-e-diid nigaaho.n kii 'ibaarat se nikal
aur yaKH-basta mire rauzan-e-tahriir me.n aa
Nadeem Sirsivi
Ghazal
mere lahuu se hiddat-e-ehsaas chhiin kar
meraa vujuud phir mujhe lauTaa diyaa gayaa
Rauf Shaikh
Ghazal
barq girtii hai jidhar aa.nkh uThaa kar dekhe.n
hiddat-e-husn se a.asaab pighal jaate hai.n
Mohammad Aftab Ahmad Saqib
Ghazal
kuchh to lutf-e-lams-e-aaGosh-e-talaatum chaahiye
taa-kujaa 'aKHgar' kinaare hii kinaare jaa.iye