SEARCH RESULTS
Showing search results for "hilaane"
Ghazal MATCHES FOR "hilaane"
Ghazal
pursish-e-haal ko tum aa.oge us vaqt mujhe
lab hilaane kii bhii taaqat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
kyo.n zabt kii buniyaad hilaane pe tulaa hai
mai.n phe.nk na duu.n hijr tujhe aag lagaa ke
Komal Joya
Ghazal
ye safar paa.nv hilaane kaa nahii.n aa.nkh kaa hai
mai.n ne is baab me.n rukne ko masaafat likkhaa
Azm Bahzad
Ghazal
kachche pakke aam saham se jaate hai.n
jab bhii chi.Diyaa shaaKH hilaane lagtii hai
Nahid Akhtar Balooch
Ghazal
qaadrii ne Daa.nT kuchh aisii pilaa.ii sher ko
sher muslim-league kaa thaa dum hilaane se gayaa
Khalid Irfan
Ghazal
vo aa.e dam-e-naz.a kyaa kah sake.n
nahii.n ho.nT tak bhii hilaane ke qaabil
Mufti Sadruddin Aazurda
Ghazal
aasmaa.n pe jaa baiThe ye KHabar nahii.n tum ko
arsh ke hilaane ko ek gunaah kaafii hai
Ambareen Haseeb ambar
Ghazal
yaad aataa rahaa taa-der safar me.n mujh ko
haath rah rah ke dariiche se hilaane vaalaa
Manzoor Nadeem
Ghazal
vaqt ke aage sipar Daale hu.e kaun hai.n ye
ham to the vaqt kii buniyaad hilaane vaale
Rakhshan Hashmi
Ghazal
ab nahii.n aa.e.nge zanjiir hilaane vaale
apne hii naam se ab KHud pukaaraa jaa.e
Mushtaq Ahmad Mushtaq
Ghazal
lab hilaane nahii.n paataa vo ki ham naadiida
bas vahii.n baat ke aaGaaz me.n mar jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
train chalne lagii aur iztiraab me.n mai.n
bajaa.e haath hilaane ke haath malne lagaa
Umair Najmi
Ghazal
agar Gairat hai zinda to vasaa.il kiijiye paidaa
hamesha dum hilaane se kisii ko kuchh nahii.n miltaa
Iftikhar Raghib
Ghazal
naGmo.n ke ta.aaqub me.n na jaa.o ki abhii tak
insaa.n ko mayassar hii nahii.n ho.nT hilaane
Afzal Minhas
Ghazal
taqsiim kare.nge vo kahaa.n ilm kii daulat
jo ho.nT hilaane kii bhii zahmat nahii.n karte