SEARCH RESULTS
Showing search results for "iflaas"
Ghazal MATCHES FOR "iflaas"
Ghazal
bas ek tohfa-e-iflaas ke sivaa 'saaqii'
mashaqqato.n ne mirii aur kyaa diyaa hai mujhe
Saqi Amrohvi
Ghazal
lab-kushaa.ii pe khulaa us ke suKHan se iflaas
kitnaa aaraasta vo atlas-o-baanaat se thaa
Aitbar Sajid
Ghazal
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
iflaas ke shabaab-e-muqaddas me.n baarhaa
aayaa hai puuchhne mire ghar par KHudaa mujhe
Ehsan Danish Kandhlvi
Ghazal
bhuuk iflaas daGaa jurm kii bahutaat 'vasii'
phir bhii lagtaa hai tujhe ko.ii kahii.n suntaa hai
Wasi Shah
Ghazal
Qateel Shifai
Ghazal
kii hai iflaas me.n doshiiza-e-ummiid javaa.n
ab to bas baiTh ke khaanii hai kamaa.ii us kii
Javed Shaheen
Ghazal
kyaa mai.n iflaas me.n KHat yaar ko likkhuu.n 'naasiKH'
na qalam hai na siyaahii na mayassar kaaGaz
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
iflaas ke aa.nsuu se tuufaa.n bhii larazte hai.n
sho'lo.n kaa jigar goyaa shabnam se dahaltaa hai
Nushur Wahidi
Ghazal
iflaas-o-ta.ng-dastii kaa e.ajaaz ye bhii hai
maa.ngoge gar qalam tumhe.n hathiyaar de.nge log
Nasir Amrohvi
Ghazal
ho jaa.e sach iflaas me.n suntaa huu.n rahegaa
do-chaar mahiine abhii maah-e-ramazaa.n aur
Riyaz Khairabadi
Ghazal
kis ko iflaas ne rakkhaa hai shagufta-KHaatir
ye to bachcho.n ko bhii chanchal nahii.n hone detaa
Mahtab Alam
Ghazal
suljhe na masaa.il Gam o aflaas ke lekin
tafsiir-e-masaa.il me.n qalam TuuT rahe hai.n
Kausar Jayasi
Ghazal
jis gaa.nv me.n iflaas me.n din ham ne guzaare
ab ho.nge vahaa.n maut ke saamaan yaqiinan
Rasheed Hasrat
Ghazal
ahl-e-dil pyaar se mahruum hu.e hai.n aise
jaise mah.ngaa.ii me.n iflaas ke maare TuuTe
Ehtisham Bachhrayuni
Ghazal
bhuuk aur iflaas kii suulii cha.Dhaa kar qaum ko
rahnumaa-e-vaqt ab parcham ko lahraane ga.e