SEARCH RESULTS
Showing search results for "insaaf-o-adaalat"
Ghazal MATCHES FOR "insaaf-o-adaalat"
Ghazal
jaane KHvaabiida ki bedaar hai munsif kaa zamiir
ham to insaaf kii zanjiir hilaa bhii aa.e
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
vaah-re insaaf itnaa bhii na vaa.n puuchhaa gayaa
ye qusuur-e-husn hai yaa asl me.n taasiir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
vo bhii sar-e-maqtal hai ki sach jis kaa thaa shaahid
aur vaaqif-e-ahvaal-e-adaalat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Ghazal
kyaa kare.n ham tire ash.aar pe tanqiid 'nadiim'
kab ko.ii nukta-e-tauhiin-e-adaalat nikle
Manzoor Nadeem
Ghazal
KHuu.n-bahaa ma.ashuuq se lete nahii.n
aashiq-e-insaaf-e-be-daadii hai.n ham
Maatam Fazl Mohammad
Ghazal
du.aa.e.n diijiye insaaf-e-dast-e-qaatil ko
ki rone vaale bhii baaqii rahe na laasho.n par
Rahi Quraishi
Ghazal
kaash bairuun-e-'adaalat dekh le.n
apne haq me.n faisla hotaa hu.aa
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
Ghazal
amn-o-insaaf-o-musaavaat kii KHaatir logo
tum uThaa.o jo baGaavat kaa alam achchhaa hai
Akhtar Madhupuri
Ghazal
mai.n ne is duniyaa ke dastuur se baaGii ho kar
haq-o-insaaf-o-mohabbat kaa alam thaam liyaa
Sabeen Yunus
Ghazal
Aslam Haneef
Ghazal
bane.nge ishq-e-adaalat me.n ham vakiil tire
puraanii baat me.n nukta nayaa nikaale.nge
Nasira Zuberi
Ghazal
vahii qaatil vahii munsif vahii ainii shaahid
adl aur aap kii miizaan-e-adaalat ma.aluum
Jafar Raza
Ghazal
hame.n bhii paas-e-adaalat hai avvalii.n lekin
ye ruKH badaltii hu.ii munsifii gavaara nahii.n
Rashid Taraz
Ghazal
allaah re ye adl ye miizaan-e-adaalat
paataa hai sazaa ko.ii hai taqsiir kisii kii
Ahsan Aazmi
Ghazal
haq baat bhii arbaab-e-adaalat ko khalii hai
iz.haar-e-haqiiqat kii sazaa dekhiye kyaa ho
Kausar Siwani
Ghazal
pesha hai kisii kaa to ko.ii bhuuk se majbuur
baazaar-e-adaalat me.n qasam bech rahe hai.n
Faizan Asad
Ghazal
KHaak chhaane hai ko.ii kuu-e-adaalat kii miyaa.n
darjano.n sar pe subuuto.n ke havaale le kar