SEARCH RESULTS
Showing search results for "jihaad"
Ghazal MATCHES FOR "jihaad"
Ghazal
Atif tauqeer
Ghazal
sab jihaad hai.n dil ke sab fasaad hai.n dil ke
be-dilo.n kaa matlab kyaa aur tark-e-matlab kyaa
Yagana Changezi
Ghazal
KHudaa kaa ghar ho jo TuuTe jihaad-e-nafs se dil
KHaraab ho to bane laa-makaa.n ye KHaana-e-ishq
Khwaja Mohammad Wazir
Ghazal
hargiz na tum jihaad kaho maar-kaaT ko
la.D jaanaa apne nafs se aslii jihaad hai
Haidar raza Koralvi
Ghazal
kisii se jang kisii se jihaad chaahte hai.n
KHudaa ke naam pe kyaa kyaa fasaad chaahte hai.n
Hamza Yaqub
Ghazal
har dam jihaad-e-nafs me.n takbiir hai buland
sar par hai teG-e-jabr magar hai bapaa namaaz
Imdad Ali Bahr
Ghazal
Farhat Ehsas
Ghazal
sachchaa.ii kaa 'alam tuu uThaataa to hai magar
kaTte hai.n is jihaad me.n baazuu bhii dekh le
Saif Zulfi
Ghazal
jihaad-e-Gam me.n ko.ii sust zarb merii tarah
giraft-e-maisara-e-ashk-o-aah me.n aayaa
Ahmad Javaid
Ghazal
paTTii ta.assubaat kii baa.ndhii jo Gair ne
apno.n se hii jihaad ke chakkar me.n pa.D gayaa
Qamar Aasi
Ghazal
jihaad-e-saif ho 'KHaalid' ki ho jihaad-e-qalam
kisii zabaan me.n ho imtihaan ek saa hai
Khalid Yusuf
Ghazal
navaa-e-haq pe huu.n qaatil kaa Dar aziiz nahii.n
pa.De jihaad to apnaa bhii sar aziiz nahii.n
Zafar Kaleem
Ghazal
asr-e-haazir me.n hai jiinaa hii jihaad-e-akbar
jis kii KHaatir hame.n har shai se guzarnaa hogaa
Roohi Kanjahi
Ghazal
tamaam shahr-e-samaa.at laraz uThaa 'qaisar'
nikal pa.Dii hai KHamoshii jihaad par kab se
Qaisarul Jafri
Ghazal
vahaa.n to baat bhii karnaa jihaad karnaa hai
jahaa.n pe ho.nT siye jaa.e.n baat se pahle
Hazin Ludhianvi
Ghazal
kab se shariik huu.n mai.n jihaad-e-hayaat me.n
bahr-e-najaat ko.ii miraa sar utaar de
Badr Shamsi
Ghazal
tamaam umr nafas se jihaad karnaa hai
do-chaar din me.n to ko.ii bashar nahii.n hotaa