SEARCH RESULTS
Showing search results for "kamar-basta"
Ghazal MATCHES FOR "kamar-basta"
Ghazal
tiirgii in ko miTaane pe kamar-basta thii
phir bhii jangal me.n chamakte hu.e jugnuu aa.e
Pawan Kumar
Ghazal
muqaable pe kamar-basta ham nahii.n hote
agar shikast kaa KHatra zaraa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Ghazal
tiirgii aur ba.Dhii jaatii hai rafta rafta
aaj kyo.n raat kamar-basta hai uryaanii par
Asghar Ali Abbas
Ghazal
the kamar-basta 'sha'uur' aaj balaa-noshii par
piite jaate vo agar log pilaate jaate
Anwar Shuoor
Ghazal
shaafe-e-hashr shafaa.at pe kamar-basta hai
aaj har samt gunahgaar nazar aate hai.n
Mohammad Yusuf Rasikh
Ghazal
hazaar shimr jafaa.o.n pe hai.n kamar-basta
ye daur ham pe musallat hai karbalaa kii tarah
Mehdi Pratapgarhi
Ghazal
kartii hai kamar-basta safar par bhii yahii zaat
jab duur nikal jaataa huu.n detii hai sadaa bhii
Ameeq Hanafi
Ghazal
chalne ko to sab yaar kamar-basta kha.De hai.n
jis raah pe chalnaa hai sujhaa.ii nahii.n detii
Midhat-ul-Akhtar
Ghazal
kyo.n na aa.nkhe.n mirii rone pe kamar-basta ho.n
aaj us ne mire ashko.n ko guhar jaanaa hai
Naved Anjum
Ghazal
sub.h-e-kaazib raushnii ke jaal me.n aane lagii
siim-guu.n suuraj ujaale par kamar-basta rahaa
Yaseen Afzal
Ghazal
aa.ndhiyo.n kii zad pe thaa lekin vo nanhaa saa charaaG
zulmato.n se jang karne ko kamar-basta hu.aa
Riyaz Saghar
Ghazal
fitno.n kaa ye 'aalam hai saf-basta kamar-basta
paaband-e-ishaara hai tuufaa.n kii ravaanii bhii
Kamil Chandpuri
Ghazal
Shakeb Jalali
Ghazal
dil hii jab mujh se baGaavat pe kamar-basta ho
us ke haatho.n me.n ho aa.nchal to chhu.Daa.uu.n kaise
Amatul Hai Wafa
Ghazal
mai.n aap kamar-basta huu.n ab qatl pe apne
bin yaar hai jiine se miraa bas ki KHafaa jii
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
'aduu se jang karne pe hai saaraa shahr aamaada
ko.ii ab tak magar ghar se kamar-basta nahii.n niklaa
Asim Wasti
Ghazal
yuu.n kamar-basta hu.aa aglii manaazil ke liye
mai.n musaafir thaa miraa raKHt-e-safar aa gayaa thaa