SEARCH RESULTS
Showing search results for "kuu-e-qaatil"
Ghazal MATCHES FOR "kuu-e-qaatil"
Ghazal
kuu-e-qaatil se jo guzregaa bikhar jaa.egaa
par yahaa.n KHauf kise hai ki vo mar jaa.egaa
Rashid Taraz
Ghazal
kuu-e-qaatil hai magar jaane ko jii chaahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Ghazal
na malak savaal karte na lahad fishaar detii
sar-e-raah-e-kuu-e-qaatil jo miraa mazaar hotaa
Ameer Minai
Ghazal
Akhtar Madhupuri
Ghazal
kuu-e-qaatil me.n ye pakvaan hai ye khaanaa hai
bhuunte dekhe jigar haatho.n ko talte dekhaa
Meer Ali Ausat Rashk
Ghazal
kuu-e-qaatil me.n tahii-dast ko jaa miltii nahii.n
jo bhii jaa.egaa liye haath me.n sar jaa.egaa
Aslam Farrukhi
Ghazal
KHuun kii gardish me.n shaamil ho ga.ii dil kii uma.ng
kuu-e-qaatil kii taraf be-iKHtiyaaraana chalaa
Shamim Tariq
Ghazal
vaah-re shauq-e-shahaadat kuu-e-qaatil kii taraf
gungunaataa raqs kartaa jhuumtaa jaataa huu.n mai.n